▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

“Aye Wo Logo Jo Iman Laye Ho! Apne Aap Ko Aur Apne Ahlo Ayal Ko Jahannum Ki Us Aag Se Bachao Jiska Endhan Insan Aur Patthar Honge ” Al-Quran 66:6 – @[156344474474186:]


(A) - TARBIYAT KA 1st MARHALA › Nek Aur Deendar Maa Ka Intekhab:
Aulaad Ke Liye Sabse Pehla Haq Ye Hai Ke Uskey Liye Sabse Acchi Maa Ka Intekhab Kiya Jaye.” …


– Jiske Taaluk Se Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai
MAHFUM-e-HADEES: Aurto Se Nikah 4 Chezo Ki Buniyad Par Kiye Jate Hai, Lekin Tum Deendari Ko Thaam Lo,.”  (Bukhari: Jild 3, Safa 59)

– Yaani Deendar Aurat Se Nikaah Karke Duniya Aur Aakhirat Ki Kamiyabi Hasil Karlo.
Aur Acchi Nek Sifat Deendar Aurat Ko Hasil Karne Ke Talluk Se
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai
HADEES: “Ye Duniya Tamam Ki Tamam Khair Ki Cheez Hai, Kamane Ki Cheez Hai… Aur Usme Sabse Khair Jo Cheez Hai Wo Hai Nek Aurat (Biwi)”  (Sahih Muslim)
B). TARBIYAT KA 2nd MARHALA › Acche Naam Rakhey:

*Aur Isme Bhi ek Aham Baat ye Hai ke Unke
 Acche Naam Rakhey Aur Uss Naam Ko Shakshiyato se Wabasta Rakhey.

– Yaani “Beta humne Aapka Naam Salman Isliye Rakha ke ek Sahabi they Salaman Farsi (R.A.) Unke Imaan Laaney ki Dasta Aisi aur Aisi hai” tou Aapki Aulaad bhi Uss seerat par Gour Karegi,.. Aur Unki Tarha ban’ne ki Justju Rakhengi.

– Warna Naamo ke kya kuch Galat Asarat Nahi Hotey Beharhaal bataney ki jarurat nahi.
“Kyuni Jab Bacchey Ka Naam tou Salman Bhaijan Se Mutasir hokar rakha Aapne Fir Wo Usi Bhaijan Ko Role Model banakar Zindagi bhar Nachata Rahega Aapko,”

(C) - TARBIYAT KA 3rd MARHALA › Allah Se Nek Aulaad Talab Karey:

Ab Achi Biwi Ke Intekhab Ke Baad Jab Nikaah Ho Jaye Tou Allah Se Nek Aulaad Talab Karey,.. Khalis Apne Rab Se Duaye Karey Ke – “Aye Allah Hume Nek Aulaad Dey, Saleh Aulaad Ata Farma”


*Yaad Rakhey – Ye Bhi Aulaad Ki Tarbiyat Ke Marhale Me Se Hai. Isiliye Kyunki Allah Apne Bando Ko Waise Hi Ata Karta Hai Jaisa Ki Wo Tadap Rakhtey Hai. Lihaja Apne Rab Se Nek Aulaad Ki Hajat Bhi Tarbiyat Ke Marhalo Me Se Ek Marhala Hai

*Aur Nek Aulaad Ki Talab Ki Kitni Ahmiyat Hai Iske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Apne 2 Ambiyao Ki Duao Ka Tazkira Kiya,

– Ke Ek Jagah Ibrahim (Alaihi Salam) Dua Karte Hai:
”Rabbi Habli Minn Salehin” (37:100) Yaani “Aye Allah ! Mujhe Nek Aulaad Ata Farma”

– Aur Dusri Jagah Allah Rabbul Izzat Ne Zakariya (Alaihi Salam) Ki Dua Ka Tazkira Karte Hue Farmaya:

“Aye Allah Mujhe Aulaad Ata Farma , Aisi Aulaad Jo Acchi Ho”(3:38)

– Tou Aulaad Ki Tarbiyat Ka Dusra Marhala Ye Hai Ke Apne Rab Se Nek Aur Saleh Aulaad Talab Karey.

*Yaad Rakhiye Aulaad Dena Aur Na Dena Ye Sirf Aur Sirf Allah Ke Zimme Hai..

Allah Rabbul Izzat Iske Talluk Se Quraan Me Wajeh Farma Chuka Hai Ke:

“Saare Aasmaan Wa Zameen Ki Hukumat Allah Hi Ki Hai, Wo Jo Chahta Hai Paida Karta Hai,. Aur Jise Chahta Hai Sirf Betiyan Deta Hai Aur Jise Chahta Hai Mahaj Beta Ata Karta Hai. Ya Bete-Betiya Dono Kism Inayat Karta Hai Aur Jisko Chahta Hai Baanz Bana Deta Hai, Beshaq Woh Bada Wakifkar Qadir Hai”
– (42: 49-50)
(D) - TARBIYAT KA 4th MARHALA: Aulaad Ladka Ho Ya Ladki Dono Ko Kabool Karey

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)
 
Apni Ummat Ko Basharat Detey Hue Farmatey Hai
“Jisko 3 Ladkiya Ho Aur Unki Acche Se Tarbiyat Karey, Unka Nikaah Kara Dey Tou 
Wo Shakhs Jannat Me Mera Padosi Hoga.”
 
E). TARBIYAT KA 5th MARHALA: Aqiqah Karey


Aulaad Ki Paidaish Ke 7 Ve Din Uska Aqiqah Karna Ye Bhi Uski Tarbiyat Me Se Ek Hai, Isiliye Kyunki Jab Baccho Ko Ye Pata Chalega Ke Uske Walidain Itney Sanjida They Uski Tarbiyat Ke Liye Ke Uski Paidaish Se Pahle Se Hi Uske Liye Acchi Maa Ka Intkhab Kiya, Uske Liye Allah Se Dua Karte Rahe Aur Paidaish Ke Baad Sunnat Ke Mutabik 7 Ve Din Me Aqiqah Kiya Tou Ye Baccha Bhi Deen Ki Taraf Mayeel Hoga.
Aur Ye Aulaad Ke Hukuk Me Se Bhi Hai Ke 7ve Din Uska Aqiqah Kiya Jaye,

*Lekin Afsos Ke Jab Dushmanane Deen Ne Islam Par Waar Karna Shuru Kiya Tou Sabse Pahle Nabi Ki Sunnato Ke Bilmukabil Fizul Ke Rasmo Riaj Ijad Kiye.

– Sunnat Tou Ye Hai Ke 7 Ve Din Aqiqah Kiya Jaye Lekin Sunnat Ki Mukhalifat Me Aaj Humare Mu’ashare Me 6th Ve Din Chatti Ki Jaati Hai. Aur Usme Bhi Tarah Tarah Ki Rasme Ki Jaati Hai Jiska Shariyate Islamiya Se Koi Talluk Nahi. Allah Bachaye Hume In Khurafato Se

*Lihaja Ladka Ho Ya Ladki Ho Sunnat Se Sabit Aqeeqa Kiya Karo Unka, Ladki Ke Liye Ek Baqra aur Ladke Ke Liye 2 Baqre Zubah Karo, Accha sa naam Rakho Unka , Ija Dene Wali Cheez Unse Door Karo Yaani Unke Baal Tarshwao,.. Aur Istehaat Ho Tou Unke Baal Ke Wajan Ke Barabar Chandi Taqseem Karo Garibo Me,.. Aur Ladka Ho Tou Khatna Kiya Jaye

Ye Aulaad Ka Haq Hai.. Yahi Unki Tarbiyat Me Shamil Hai

*Aqiqeh Ke Ahmiyat Ke Talluk Se Riwayat Me Aata Hai Ke:
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai

“Her Bacha Apney Aqiqah Ke Sath Girvi Hota Hai’ Lehaza Uska Aqeeqah 7ve Din Karey Aur Bacchey Ka Naam Bhi Rakha Jaye.” (Abu Dawud H#2837 and At-Tirmithi No.1522.)

– Yaani Allah ne Ek Neymat Di hai Aapko, Tou Abhi Wo Girwi hai Allah ke Paas, Usey Churaiye Uska Aqeeqa karke.

Aur Jab Usey Pata Chalega Ke “Beta Humne Tumhara Aqiqah Allah ke
Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnat Ke Mutabik Kiya Tha, Tumhare Paida Hone Se Pahle Hi Tumhara Naam Tay Kiya Tha ,..” Tou Maa-Baap Ki Us Justju Aur Koshish Ko Dekhkar Uss Bacche Par Bhi Kya Asar Hoga Jara Gour Hi Kijiyega.

*Tou Beharhaal Aulaad ki Paidaish ke 7ve Din Sunnat Ke Mutabik Uska Aqiqah kare,.. Warna Humne Sunnat ko Chorr Biddate Apna li, tou Humari Aulaad bhi Biddato ke Aadi Ho Jaengi ,..
– Kyuni Shaitan ne tou har Cheez me Wargala diya Momino ko,. Ki Tum Sunnat ko kaha Amal me La Rahe ho ?. Biddatey Karo,. Khurafat karo,.. Rasam Rasmaney karo,.. usi me tou Maza hai. 

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment