•HADEES E PAAK•
 Baghair Hawale Ke - Hadees Post Ya, Share Krne Ki Waeed

---------------
Hazrath Arbaaz bin sariyah (r.a) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hume ek din subah ki namaz ke baad aise andaaz me nasihat farmayee jisse aankhon se aansu jari ho gaye, aur dil me khouf paida ho gaya, ek shakhs ne arz kiya, yeh to ruksati(farewell) ki nasihat maloom hoti hai, phir aap hume kis chiz ki wasihat farmate hai??, Nabi-e Kareem (s.a.w) Ne Irshaad Farmaya - main tumhe Allah se darte rehne ki wasihat karta hon, tumme jo mere baad zinda rahega, wo deen mey bohat se ikhtelaf dekhega,Tum par lazim hai ki deen me nayi-nayi nikali huwi chizon se bachna, kyunki har nayi chiz deen me gumrahi hai, lihaza tum aisa zamana pao to, meri aur hidayat-yaftah, khalifa-e-rashe deen ki sunnat ko masbooti se thame rehna.
- (Sunan Abu Dawud, Model Behavior of the Prophet (Kitab Al-Sunnah) [40:4590]
 
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment