▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi surah ki tilawat karte jis me sajda hota toh wo Sajde me chale jate aur ham bhi wahi karte aur ham maise kuch ko jagah nahi milti thi.
 (Sahih al-Bukhari » Book of Prostration During Recital of Qur’an » Hadith 1079)

Sajda E Tilawat Mustahab Hai Farz Nahi. Iski Wazahat Umar R.A. Kuch Aise Karte Hai:

Rabia r.a. riwayat karti hai ki Umar bin Al-Khattab ne Jumua ke din Minbar par Surah-an-Nahl ki tilawat ki aur jab wo sajda ki ayat pe pohche to wo minber se utar kar sajda kiye aur sath me logo ne bhi kiye.

Agle Jumua ke din Umar bin Al-Khattab ne usi surah ki tilawat ki aur jab wo ayat e sajda pe pohche to unhone kaha, ”Ae logo! Jab ham sajda ki ayate tilawat karte hai job hi sajda karta hai wo sahi karta hai, Fir bhi jo sajda nahi karta hai uske upar koi gunah nahi hai. Aur Umar r.a. ne (us din) sajdah nahi kiya. Unhone kaha: “ Allah ne tilawat ke sajde ko Farz nahi kiya hai lekin agar koi chahe to wo kar sakta hai. “

– (Sahih al-Bukhari » Book of Prostration During Recital of Qur’an » Hadith 183)

sajda e tilawat me wahi padhna chaiye jo ham namaz ke sajde me padhte hai aur uske sath sath ham allah ki taareef kar sakte hai aur uska shukr ada kar sakte hai aur chahe to allah se apni zarurato ko bhi mang sakte hai.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment