▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

G). TARBIYAT KA 7th MARHALA: AULAAD KE BICH ADAL (INSAF) KAREY:
Aaj Aksar Dekha Jata Hai Ke Aulaad Me Nainsafi Bohot Aam Hai ,.. Baap Ek Bacche Ko Humesha Godd Leta Hai, Koi Puche Ke Isko Kyu Lete Ho Tou Kehta Hai: “Ye Baccha Bohot Gora Hai Mujhe Pasand Hai, Baaki Wale Thodey Rang Me Kum Hai” Subhan’Allah! Kya Ajib Baat Hai, Aap Sirf Rangat Ki Buniyad Par Baccho Me Nainsafi Karte Ho ,..

“Mujhe Pehle Ladkiya Hui 2-3 Isiliye Mujhe Inse Mohabat Nahi Jitni Is Ladke Se Mohabbat Hai,..” Subhan’allah ! Aap Is Tarha Se Nainsafi Karte Ho Baccho Me,..

– Tou Is Tarha Se Agar Nainsafi Karoge, Adal Nahi Karonge Tou Wo Bhi Badey Hokar Nainsafi Karne Lag Jayenge,..

Aur Aaj Nainsafi Ka Kya Muamla Hai Beharhaal Bataney Ki Jarurat Nahi,.. Maalo-Doulat Ki Taqseem Me Adal (Insaf) Nahi Karte Aajkal Hum, Aulaad Se Mohabbat Me Adal Nahi Karte ,..


– Jab Ki Humara Deen Hume Har Haal Me Adal Yaani Insaf Karne Ka Hukm Deta Hai..
Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Zamane Me Noman Bin Basheer(R.A) Farmatey Hai Ke, Mere Walid Ne Ye Irada Kiya Mujhe Kuch Tohfey Me Dey ,.. Tou Meri Walida Ne Kaha Ke Jabtak Tum Rasool’Allah Ko Is Muamle Par Gawah Na Banao, Mai Is Cheez Ko Kabool Nahi Karungi,..
Dono
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Paas Gaye Aur Uss Khatoon Ne Kaha Ke:

“Ya Rasool’Allah! Basheer Apne Bete Noman Ko Kuch Dena Chahtey Hai Aap Is Par Gawah Ho Jaiye ,..”
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Pucha: “Basheer! Kitne Bacche Hai Tumhare ? Sirf Noman Hi Hai Ya Aur Bhi Hai ? ”
Kaha Ke: “Aur Bhi Hai,..”
Pucha Gaya Ke : “Kya Sabko Dey Rahe Ho?”

Kaha Ke “Nahi! Sirf Noman Ko De Raha Hu,…”
Tou Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke: “Mai Zulm Ke Muamle Me Gawah Nahi Ban Sakta” Lihaja “Aulaad Me Nainsafi Karna Zulm Hai.” Is Se Ahtiyat Karey Warna Badey Hokar Unka Baagi Ban’na Lazmi Hai ,..

H). TARBIYAT KA 8th MARHALA: AQEEDA AUR ACCHE AKHLAAQ SIKHAYE:
Aulaad Ki Tarbiyat Me Sabse Aham Marhala Ye Hai Ke Unhe Aqeeda Aur Akhlaaq Sikhaye..
Khud
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Ye Mamool Tha Ke Aap Baccho Ko Aqeeda Sikhatey They..

Ek Riwayat me Aata hai Ke: Abdullah Ibn Aabbas Farmatey Hai Ke (Mere Bachpan Me) Mai Ek Martaba Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Sath Unth Ke Pichey Baitha Tha, Tab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Mujhe Kuch Taqeede Ki Aur Farmaya :


“Aye Abdullah! Tum Allah Ke Ahqaam Ki Hifazat Karna, Wo Tumhari Hifazat Karega ,..

Tum Allah Ke Ahqaam Ki Hifazat Karo Tou Tum Usey Apne Samne Paoge ,..
Jab Tum Koi Sawal Karna(Mangna) Tou Sirf Allah Se Karna,..

Hatta Ke Ek Riwayat Me Aapne Farmaya: Ke Tumhe Namaq Bhi Chahiye Abdullah Tou Allah Se Mangna Aur Jutey Ki Lais Bhi Chahiye Tou Allah Se Hi Talab Karna ,..


Jab Tumhe Madad Talab Karna Hai Tou Sirf Allah Hi Se Karna,..
Fir Aagey Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
“Yaad Rakh! Agar Puri Duniya Bhi Tumhare Haq Me Aajaye Aur Chahe Ke Tumhe Koi Fayda Dey Tou Wo Fayda Nahi Pohcha Sakti Siway Wo Jo Allah Ne Likh Rakha Hai ,..

Aur Agar Puri Dunia Bhi Tumhare Khilaf Khadey Ho Jaye Aur Chahe Ke Tumhe Nuqsaan Pohchaye Tou Wo Nuqsaan Nahi Pohcha Sakti Siway Allah Ne Jo Likh Diya Hai,.. Isiliye Ke Qalam Rakha Ja Chukha Hai Aur Syahi Sukh Chuki Hai ,.. – (Mahfum-e-Hadees; Tirmizi Sharif)

Aagey Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmatey Hai:
“Khush’hali Me Allah Ki Taraf Ruju Karo Tou Pareshan Haal Me Wo Tumhe Faramosh Nahi Karega,..

Yaad Rakho! Jo Cheez Tumhe Nahi Mili Wo Tumhe Kabhi Nahi Milni Thi,. Aur Jo Cheez Tumhe Mili Wo Tumse Nahi Cheen Sakti ,..

Yaad Rahe Ke “Allah Ki Madad Sabr Se Wabasta Hai, Koshish Takleef Ke Sath Hai,. Aur Aasani Tangi Ke Sath”
– (Mahfum-e-Hadees: Ahmed)

Tou Dekhiye Adullah-Ibn-Masood (R.A) Ko Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Kya Pyari Nasihate Ki,.. Lihaja Hume Bhi Chahiye Ke Hum Baccho Ko Aqeeda Sikhaye ,..
Aayiye Ek Aur Akhlaakh Ke Wakiye Par Gour Karte Hai.

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ek Martba Apne Ghulaam Zaid-Bin-Harsa(R.A.) Ko Lekar Ek Dawat Me Jatey Hai,.. Zaid-Bin-Harsa Bacche They Isiliye Wo Adab-e-Dawat Se Anjaan They, Ek Tash Me Khana Surf Kiya Tha Ke Zaid Apne Ultey Hath Se Aur Dusri Taraf Ke Hisse Ki Janib Badhkar Khane Lagey,..

Tou
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Ye Majra Dekha Aur Apne Ghulaam Zaid-Bin-Harsa Ke Akhlaakh Ki Islah Dekhiye Kitne Pyare Andaz Se Karte Hai ..
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Kaha Aye Mere Pyare Bete! Jab Khana Shuru Karo Tou Allah Ka Naam Lo(Yaani Bismillah Kaho),.. Sidhey Hath Se Khao, Aur Jo Samne Ho Pehle Wo Khao,..”

Zaid-Bin-Harsa(R.A.) Kehtey Hai Ke – “Rasool’Allah Ne Jis Andaz Se Meri Islah Aur Tarbiyat Ki Ke Tamam Zindagi Mera Yahi Usool Raha Aur Mai Khane Se Pehle Bismillah Kehta,.. Sidhey Hath Se Khata Aur Samne Wali Janib Se Shuru Karta..” (Subhan’Allah)

Tou Ye Nasihat Hai Jo Hume Karna Hai Apne Baccho Ko , Kyunki Bacche Tou Masoom Hotey Hai , Wo Anjan Hotey Hai Aise Taor Tareeko Se, Lihaja Unke Kafeel Hone Ke Naatey Hume Unki Islah Karni Hai Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik,..

Aur Agar Baccha Baar-Baar Samjhaane Ke Bawajud Bhi Aisi Galatiya Dohrata Hai Tou Thodasa Zarb Laga Saktey Hai Taaki Ayinda Wo Us Se Sabak Hasil Karey,
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment