▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Aala Nasab 
--------------
Aala Hasab 
--------------
Qaum Ashraf 
--------------
Qabeela Ashraf 
--------------
Khandan ashraf
 
--------------
Aapka naam Ahrmed rakha gaya jis ka matlab hai sabse zyada qabil-e-tareef 
Aap sabse zyada sakhee (generous) thay 
Sabse zyada bahadur thay 
Sabse zyada duniya se be-raghbat (indifferent) thay 
Sabse zyada maharbaan thay 
Sabse zyada khubsoorat chehre wale thay 
Yaani sirf akhlaaqi aitbaar se hi khubsoorat nhi thay, Allah ne aapko shakl-o-soorat bhi behad haseen di thi 
Sabse behtreen akhlaaq ke haamil thay 
Bohat naram dil wale thay 
Nihayat maharbaan dost thay 
Tamaam jahan walo ke liye rahmat bana kar bheje gaye thay 
Kasrat se zikr-e-ilaahi karte thay 
Aap har waqt allah ko yaad karte aur kasrat se tasbeeh aur istighfaar karte 
Ek din mein 70-100 times istighfaar karte 
Jab kabhi ghamgeen hote to ya hayyu ya qayyoomu birahmatika astaghees parh allah se fariyad karte 
Aap  apne waqt per namaz parhte thay 
Aap  raat ka ek taveel hissa qayaam karte thay means kharre ho kar namaz parhte thay 
Namaz mein quran ko thahar thahar kar parhte thay 
Aayat-e-rahmat per ruk kar allah se rahmat maangte aur aayat-e-azaab per ruk kar allah se panah maangte 
Itni ibaadat karte ke pair sooj jaate aur farmate ke kya main allah ka shukr guzaar banda na banu 
Lekin logo ko halki namaz parhaate 
Namaz ke dauraan agar bachche ke rone ki awaz aati to namaz ko mukhtasar kar dete 
Beemar hote to baith kar namaz parhte lekin namaz chhorrte nhi thay 
Safar mein namaz-e-qasr ada karte 
Din charhne per nama-e-chasht ada karte 
Larrai mein fatah hoti ya koi khushi naseeb hoti to fauran sajda karte 
Yaani har aham kaam mein fauran namaz ki taraf daurrte 
Ramzan ke maheene mein nek kaamo mein bohat barh jaate thay khusoosan sadqa aur khairaat karne mein tez aandhi se bhi zyada barh jaate 
Jibreel (AS) ke saath quran ka daur karte 
Jaise hi ramzan ka akhri ashra shuru hota to aap khud bhi jaagte aur apne gharwalo ko bhi jaate 
Har saal aitkaaf karte 
Ramzan ke alawa shaban mein bhi kasrat se roze rakhte 
Baaqi maheeno mein bhi bohat roze rakhte 
Kabhi lagatar itne roze rakhte ke lagta tha ke abb kabhi aap roza nhi chhorrenge 
Aur jabb nahin rakhte to aisa lagta tha ke abb kabhi nhi rakhenge 
Chand ki 13, 14, 15/monday/thursday/10 Muharram aur ashra-e-dilhijah ke roze rakhte

Shawwal ke 6 rozo ka bhi ahtamaam farmaate 
Roza aksar khajoor se iftaar karte 
Eid per ghusl karte 
Behtreen libaas pahante 
Eid ke liye paidal aate aur jaate 
Khwateen ko bhi eidgaah jaane ka hukm dete 
Eid-ul-fitr ke din meethi cheez khaa kar namaz ke liye jaate 
Eid-ul-azha ke mauqe per har saal qurbaani karte 
Khud bhi sadqa karte aur doosro ko bhi sadqa karne ka hukm dete 
Koi cheez kal ke liye bacha kar nhi rakhte thay 
Koi sadqa le kar aata to uss ko dua dete 
Kisi mangne wale ko inkaar na karte 
Agar kuchh dene ke liye paas kuchh na hota to khamoshi ikhtiyaar karte 
Kisi ko hadiya keh kar dete to kisi ko kuchh hiba kar dete 
Kabhi khareed-o-farokht mein zyada adayegi karte 
Qarz lete to zyada lautaate hanlanki maal ka zaaya karna bilkul pasand na tha 
Gharwalo ki khidmat karne ko aib mahsoos na karte 
Aap apna joota khud see lete thay matlab usay khud hi repair kar lete thay 
Paani bharne ke dol ko bhi khud hi repair kar lete thay 
Apne kapdo per bhi khud hi paiband laga lete aur see lete thay 
Kapdo per lagi hui chhoti moti gandgi jaise baal ya keerre etc khud hi saaf kar lete 
Apne haath se bakri ka doodh nikaal lete thay 
Oral hygeine ka bohat khyal rakhte thay 
Subah so kar uthte to sabse pehle miswak karte 
Ghar mein enter karte to pehla kaam miswak karna hota 
Sote waqt bhi miswak aapke paas hota 
Jo shakhs raat ko wuzu karke sota hai to poori raat farishte uss ke liye rahmat ki duayein karte hain

Har Namaz Ke Liye Alag Wazu Ka ahtamaam farmaate 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) har namaz ke liye alag wuzu karte 
Wuzu ka aaghaaz bismillah se karte aur kabhi ek hi wuzu se kayi namazein bhi parh lete 
Wuzu mein paani ke israaf (wastage) se bachte 
Right hand se khaate 
Apne saamne ki side se khaate 
3 ungliyon se khaate 
Khaane ke baad ungliyaan chaat lete 
Khaane khaate hue tek na lagate 
Let ke bhi nhi khaate thay 
Zameen per baithte aur khaate thay 
Koi bhi cheez uss waqt tak na khaate thay jabb tak ke confirm na ho ke kya hai 
Kisi khaane mein aib nahi nikaalte 
Khaane ke baad alhamdulillah kehte 
Makkhan aur khajoor pasand farmaate 
Bohat hot drinks nahin peete thay 
Peene mein sabse zyada pasandeeda thandi aur meethi cheez hoti jaise sharbat 
Paani right hand se 3 saans mein peete 
Khaane mein doosro ko shareek karna pasand karte 
Hazrat Anas(ra) se farmate ke dekho agar koi mere saath khaane mein shaamil ho jaye 
Kabhi bistar per sote to kabhi zameen per 
Dahini (right) karwat se sote 
Leather ka takiya aur bistar istemaan karte jis mein khajoor ki chhaal bhari hoti 
Isha ki namaz se pehle sona pasand nahin farmaate thay 
Raat sone se pehle surma lagaate aur dua parh kar sote aur dua parhte hue jaagte 
Aapki chaal ba-waqaar aur pur-sukoon thi 
Jab chalte to peechhay murr kar nahi dekhte thay 
Kabhi joota pahan kar aur kabhi nange pair bhi chalte 
Ye baat Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko napasand thi ke koi aapke peechhay chale 
Jis tarah ka bhi kapda mayassar hota pahan lete 
Achchhe se achchha bhi aur paiband laga kapda bhi pahan lete 
Dikhaawe ke liye kapda pahanna pasand nahi farmaate thay 
Mardo ko resham pahanne se mana karte 
Kurta pasandeeda libaas tha 
Poori aasteen zeb-e-tan farmaate 
Umaama kabhi topi ke saath aur kabbi baghair topi ke istemaal farmaate 
Chandi ki angoothi pahante 
Zyadatar green color pasand tha 
Ghorre oont gadhe aur khachchar etc sab per sawari kar lete 
Kabhi apne aage ya peechhhe kisi aur ko bhi saath bitha lete 
Aksar sawari per nafil namaz ada karte 
Thursday ke din safar karna pasand karte 
Safar se wapsi per ghar jaane se pehle masjid mein 2 rakat namaz ada karte 
Mulaqat ke mauqe per salam mein pahal karte aur musafa karte 
Jab tak doosra shakhs haath na chhorrta aap bhi nhi chhorrte 
Salam ka jawab zabaan se dete sirf ishaare se nahin 
Mulaqat ke waqt baat ko dhyan se sunte 
Jab aap kisi majlis mein tashreef farma hote to jis baat per log taajjub karte uss baat per aap bhi taajjub karte 
Majlis mein jab koi hansta to aap bhi muskuraate yaani mood off karke ya bilkul chup kar ke nhi baithe rehte thay 
Kabhi koi baahar ka aadmi sakht kalaami karta to tahammul se kaam lete aur sakht jawab nahin dete 
Ehsaan ka badla dene wale ke siwa kisi ki tareef pasand na karte 
Zaroorat se zyada tarreef bhi napasand thi 
Kisi majme mein jaate to jahan jagah milti wahin baith jate 
Chheenk aane per awaz ahista ka lete aur alhamdulillah kehte 
Koi aur chheenkta to jawab bhi dete yaani ke yarhamukallah kehte 
Chehre ko haath ya kapde se dhaanp lete 
Jamhaai (yawning) ke waqt bhi aisa hi karte ya rok lete 
Majlis ke ikhtitaam () per Allah Tala ka zikr karte 
Aap (SAW) kasrat se Allah Tala ka zikr karne waale thay aur aapke kalaam mein laghw aur bekar baatein na thi 

Aap (S.A.W) Aala Misaal 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka kalaam waazeh (clear/understandable) tha. 
Samjhane ke liye thahar thahar kar bolte thay 
Baat ko 3 baar dohraate thay 
Is tarah bolte ke sunne wala baat poori tarah samajh jaata 
Aisi guftgu farmaate ke agar koi alfaaz (words) ko ginna chaahta to gin sakta tha 
Aap  baat utni karte jitni zaroori hoti 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko bohat zyada sawaal (questioning) aur qeel-o-qaal (gossips) pasand nahi thay.
Aap  ki guftgu mein kisi ki na to gheebat hoti aur na hi taane hote. 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi ke aib nahi ginwaate thay 
Aap  kisi ke androoni baaton (internal/personal affairs) ki toh mein na rehte thay 
Baat wahi karte jis se koi mufeed (beneficial) nateeja nikal sake 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) zyadatar khamosh rehte aur kam hanste lekin bohat khushmizaaj thay 
Khush hote to Aap  ka chehra mubarak chamak uthta tha aur jab naraz hote to chehre per narazgi ka izhaar hote means jo dil mein hota wahi baahar hota 
Na khushi mein kehkahe thay aur na rone mein cheekh pukaar thi. Bass ankhon ashqbaar hoti yaani aansu aa jaate 

Aap (S.A.W) Aala Sifaat 
Hazrat Jareer (RA) farmate hain ke aapne kabhi mujhe apne paas aane se nahin roka aur kabhi aisa nahin hua ke maine aapko dekha ho aur aap muskuraaye na ho 
Aap  ka akhlaaq Quran tha yaani ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) chalta phirta quran thay 
Hamesha sach bolte aur jhooth se nafrat karte 
Waade ki paabandi karte 
Haq ki himayat karte 
Bohat bahadur aur nidar thay 
Mushkilat aur pareshani mein sabr karne wale thay 
Baa-parda kunwati larrki se zyada hayadaat thay 
Jo aapko dekhta aapka rob uss per parrta lekin jaise jaise aashna (acquented) hote aapse mohabbat karne lagta 
Aap narm mizaaj thay. Sakht mizaaj na thay. 
Dunkiya aur uss ki cheezein ghussa na dila sakti thi 
Agar koi haq ki mukhaalifat karta tab hi ghussa karte 
Zaati (personal) maamlo mein kabhi ghussa na karte aur na hi kabhi intiqaam liya. 
Barri se barri sakht baat per aap tahammul se kaam lete 
Burai ka badla burai se na dete thay balki maaf farma dete aur darguzar kar dete thay.

Aap (S.A.W) Ka Azwaaj Ke Sath Achha Sulook Karna 
Azwaj-e-Mutahharaat (His (SAW) wives) ke saath nihayat achchha bartaaw tha 
Unn se achchhe akhlaaq se pesh aate 
Hazrat Aisha (RA) ko Aa-ish keh kar pukaarte 
Ek jagah khaana khaate 
Ek bartan se ghusl kar lete 
Unn ki god mein tek lagate aur quran parhte 
Hazrat Aisha ke saath daurh (running) ka muqabla kiya to ek baar wo aage nikal gayi aur doosri dafa Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) unn se aage nikal gaye 
Azwaj-e-Mutahharat ke saath adl-o-insaaf ka maamla karte 
Bachcho ke saath intahaai shafqat se pesh aate 
Unn ke paas se ghuzarte to khud salaam karte 
Fatima (RA) aati to unn ke haath aur maatha chumte phir khaas jagah per bithaate 
Hazrat Hassan (RA) bin Ali (Ra) ke liye apni zabaan nikaalte to wo apko dekh kar muskuraate yaani bachcho ke saath bachcho ki tarah maamla karte 
Aap namaz parh rahe hote aur Hasan (RA) aur Hussain (RA) khel rahe hote aur aapki peeth (back) per sawaat ho jaate jabb aap sajde mein jaate 
Umaama jo aapki nawasi thi kandhe per hoti aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) namaz parha rahe hote 
Fajr ki namaz ke baad masjid mein saathiyon ke saath baith jaate 
Unn ki baatein sunte. Koi khwaab sunaata to uss ka matlab bayaan karte. Sher (poetry) bhi sunte aur uss per inaam bhi dete 
Ghaneemat ya sadqa baantte. Hadiya qubool karte aur badle mein bhi dete. 
Khushbu bohat pasand thi. Iss liye khushbu ka tohfa kabhi radd na karte 
Achchhe naam pasand karte aur bure naam badal dete 
Mehmaan nawazi mein bohat aage rehte 
Khud bhi mehman nawaazi farmaate 
Kabhi aisa bhi hota ke ghar mein saara khaana mehmaan ki nazar ho jaata aur ghar wale khud faaqa karte 
Dawat bhi qubool karte 
Agar koi ghulaam bhi Jou ki roti ki dawat karte to qubool farmaate yaani mamooli se mamooli cheez ki bhi dawat qubool farmaate 
Logo ki hidaayat ke liye tadapte 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) thay 
[Yassiru wa la tuassiru] Aasani kiya karo, mushkil paida na kiya karo 
[Bashshiru wa la tunaffiru] khushkhabri diya karo aur nafrat na dilaaya karo 
koi do baaton mein selection karna hota to aasan ko select karte basharte ke gunah na ho 
Aap  ne kabhi kisi pe apna haath nhi uthaaya aur na kisi ki tauheen ki 
Logo ko aapse door nhi kiya jaata tha 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke liye hato bacho ki awazein nhi aati thi 
Aur na logo ko aapse mar mar kar door kiya jaata 
Kisi muhim per logo ko rawana karte hue ameer-e-karwan ko dua dete aur naseehat karte 
Miskeeno ke kaam aate aur yateemo ki sarparasti karte 
Maqroozo ko qarz utaarne mein madad karte 
Ghulamo ke saath husn-e-sulook karte aur unhe azad karte aur azar karne ki takeed farmate
Miskeeno aur bebaso ke saath aise baithte ke koi aapko pehchaan nahi sakta tha 
Bewaon (widows) aur miskeeno ki zarooratein poori karne ke liye unn ke saath jaate 
Ek maamuli laundi (female ghulaam) apne masail ke solution ke liye aapka haath pakad kar aapko jahan chaahti le jaati 
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ghareeb logo ki baat bhi iss tarah sunte thay jaise kisi bohat important shakhsiyat ki sun rahe ho 
Jab koi maangne wala ya zarooratmand aata to sathiyon ko nekiyon mein shareek karte 
Logo ke gham mein shareek rehte aur kamzor musalmaano se khud milne jaate 
Unn ki iyaadat ke liye jaate, dua farmaate aur unn ka janaza bhi parhte 
Jaanwaro per bhi khaas rehmat aur shafqat farmaate 

Darakhton (Trees) ko bina wajah kaatne aur khetiyaan kharaab karne se mana farmaate thay

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment