▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Shaykh Muhammad Salih Al Munajjid farmate hai  Witr ki namaz ka shuru ka waqt tab hota hai jab ek shaks Isha padh chuka hota hai agarche isha  ko magrib ke sath hi kyu na padha gaya ho magrib ke waqt. Aur is namaz ka khatm hone ka waqt fajr se pahle hai. Rasullullah  ne farmaya, “Allah ne tumpar ek namaz Mukarrar ki hai jo Witr hai; Allah ne tumpar ye namaz Isha ki namaz aur Fajr ki shuruat ke bich mukarrar ki hai.”

Narrated by al-Tirmidhi, 425; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi. 

2 - WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya“Jo shaks aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki namaz behtreen hai.”{more}
Sahih Muslim, hadith-755 .

3 - WITR KI NIYAT:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai”
Sahih al Bukhari, hadith-1.

Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se na ke Zuban se ki jati hai.

4 - WITR KI RAKAT:

Rasullullah  ne farmaya,”Witr har musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe.”
Sunan Abu Daud, hadith-1422, Sahih (Al-Albani).

NOTE: Rasullullah  ne farmaya, “Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”. Sahih Muslim, hadith-752 .

5 - TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA

Teen rakat witr padhne ke do (2) tarike hai:

Pahla Tarika:

Ek ye hai ki Teen rakat ke witr me kisi rakat me na baithe siwae aakhri rakat me. Iska matlab dusre rakat me tashahudd ke liye bina baithe hi uth jana hai ya aesa kah sakte hai ki dusri rakat ke sajde ke baad hi uth jana hai.
Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki Rasullullah  teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.
Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad. 

Dusra Tarika 

Dusra tarika ye hai ki 2 rakat padh kar salaam fere hai aur fir ek rakat alag se padhna ha.
Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki wo do rakat ko ek rakat se Tasleem (Salaam) ke sath alag kiya karte the, aur wo farmate hai ki aesa Rasullullah  kiya karte the.
Narrated by Ibn Hibbaan (2435); Ibn Hajar said in al-Fath (2/482): its isnaad is qawiy (strong). 

6 - PAANCH YA SAAT RAKAT WITR

Lekin agar koi panch ya saat rakat witr padhe to wo musalsal honi chaiye aur sirf akhri rakat me Tashahudd padhe aur fir Tasleem (salaam) kahe. Kyuki:
Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) raat ko terah (13) rakat padha karte the jisme wo paanch rakat witr padhte the jisme wo akhri rakat ke alawa kisi rakat me na baithte the. 
Narrated by Muslim, 737. 

Umm Salamah r.a. riwayat karti hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) panch ya sath rakat witr padhte the aur wo  uske bich koi salam ya alfaz se alag nahi karte the.
Narrated by Ahmad, 6/290; al-Nasaa’i, 1714. al-Nawawi said: Its isnaad is jayyid. Al-Fath al-Rabbaani, 2/297. and it was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Nasaa’i. 

7 - NAU (9) RAKAT WITR

Agar wo nau (9) rakat witr padhna chahe to kisi bhi rakat me na baith siwae aathwe rakat me. Aantwe rakat me baith kar sirf tashahud kahe aur salaam na kahe aur fir wo khada ho jaye. Fir 9 rakat me tashahud aur salaam dono padh kar namaz khatm kare.

8 - GYARA RAKAT WITR

Agar wo 11 rakat witr padhna chahe to har 2 rakat me salaam fere aur fir akhir me 1 rakat padhe.

9 - WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki Witr ko teen rakat magrib ke tarha na banao.
Narrated by al-Haakim, 1/403; al-Bayhaqi, 3/31; al-Daaraqutni, p. 172. Al-Haafiz ibn Hajar said in Fath al-Baari (4/301): Its isnaad fulfils the conditions of the two Shaykhs (al-Bukhaari and Muslim). 
Aur is hadith ka jawab dusri hadith deti hai ki witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye.
Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.
Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad. 

Is hadith se pata chala ki Witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye jisse Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mana farmaya hai.

10 - KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?

Dua e Qunoot witr mein hath uthane ke bare mein koi marfoo riwayat nahi hai lekin Hadiths ke kitabo me Baaz Sahaaba Ikraam r.a. ke asaar milte hain. Islamic shariah me jab koi baat Rasullullah  se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki Hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaye. 

Ibn Masood kahte hai ki wo Witr me apne hath uthate the aur us ke baad use niche kar lete the.
Abdur Razzaq (4/325), Sanad Hasan.
Qunut me hath uthana Umar r.a. se bhi sabit hai.
Al-Bayhaqi in a report which he classed as saheeh (2/210).


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment