Wuzu Karne Ki Sunnate 
===============================
Wuzu karne se pahle, wuzu ki dua padh lijiye, jo is dua ko padh lega, uske baad jab tak uska wuzu rahega, bager kuch kiye bhi usko sawab milta rahega.

Dua ye hai : bismillahil azimi wal hamdu lillahi ala deenil islam

➡ Allah ko khush karne aur paak hone ki niyat karna (bukhari shareef)
➡ paak aur saaf pani se wuzu karna (abu daud shareef)
➡ Bismillaah kehkar wuzu shuru karna (Nasai Shareef)
➡ dono haath panjo tak 3 baar dhona (bukhari shareef)
➡ miswak karna, miswak na ho to ungli se daant saaf karna (bukhari shareef)
➡ 3 baar kulli karna (bukhari shareef)
➡ 3 baar naak mein paani daal kar left haath ki chhoti ungli se naak saaf karana (bukhari shareef)
➡ 3 baar chehra dhona, wo is tarah ke ek kaan ki lo se dusre kaan ki lo tak aur peshani ke baalon se dadhi ke neeche (thodi ke neeche tak) pura muh dhona (bukhari shareef) 
➡ 3 baar dono haath kohniyo se upar tak dhona (bukhari shareef)
➡ pahle right haath dhona phir left haath dhona aur haath ki ungaliyon ka khilaal karana (Bukhari Shareef)
Khilal matlab ek haath ki ungliyo se dusre haath ki ungliyo ke ke beech ki jagah mein ragad kar paani pahuchana

➡ dono haath paani se gila karke pure sar ka, phir kaano ka phir garadan ka ek marataba masah karana (Bukhari shareef) Masah aese karte hain ke pahle dono haath ko paani mein bhigo lijiye, phir kalma ki ungli ko chhod kar baaki dono haath ki ungliya mila lijiye, phir sar par haath feriye, haath is tarah feriye ke peshani ke baalo se shuru karke peeche guddi tak le jaaiye, phir wapas return aaiye, wapas return aane mein sirf kalma ki ungli ko mila kar (ab baaki ki ungli nahi milaenge) wapas peshani ke baalo tak aaiye.phir apne hatheliyo ki pusht ko gardan par ek baar ghuma dijiye, ladkiya seedhi hatheli ghumaengi aur ladke hatheli ki pusht ghumaenge. Ab kaano ke peeche kalma ki ungli ghuma dijiye, aur kaano ke adnar chhoti ungli ghuma dijiye. Is tarah masah ho gaya.
➡ 3 baar dono per takhano se upar tak dhona, pahle right per, phir left per, aur phir per ki ungliyon ka khilaal karana (Bukhari Shareef)
Yaha dhyan rakhiye ke dono per left haath se dhona hai, ungliyo ka khilal matlab per ki ungliyo ke beech mein paani paani haath ki ungliya daal kar pahuchana.
➡ Chehre haath per ko khoob achchhee tarah ragad kar dhona (Musand Ahmed)

➡ Wuzu ke baad ye dua padhiye.
" ash-hadu al-lailaha il-lal-lah va ash-hadu anna- muhammadan abduhu va rasuluh.
Wuzu jaldi kare, aur paani kam se kam dhole.


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment