▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

Rasullullah  Ne Farmaaya:
Jahannamiyon ke 2 group aise hain jin ko main ne abhi tak nahin dekha hai, yaani is ka wujood baad mein hoga. Ek group to un logon ka hai jin ke haathon mein dum ki tarah kode honge jin se woh logon ko naahaq maarenge aur doosra group un aurton ka hoga jo bazaahir kapde pehne huwe hongi magar woh dar haqeeqat nangi hongi, mardon ko apni taraf maail karengi aur khud bhi maail hongi, un ke sar (ke baal) bakhti oont ke kohaan ki tarah honge, aisi aurtein na to jannat mein jaaengi aur na khushbu paaengi, haalaanke Jannat ki khushbu itni itni itni masaafat yaani bahot door se mehsoos hone lagti hai.
–  (Muslim: 5704)
* * * * *

Ek aurat libaas pahen kar bhi nangi ho, is ki kai sooratein ho sakti hain, ek yeh ke woh libaas itna baareek ho ke badan ka androoni hissa nazar aaraha ho, doosri soorat yeh ho sakti hai ke libaas itna chust ho ke us se badan ki banaawat zaahir ho rahi ho, teesri soorat yeh ho sakti hai ke badan ke kuchh hissa par kapda ho aur kuchh hissa khula ho. Hadees mein bayaan karda sooraton mein teenon sooratein daakhil hain. Is liye har soorat se tamaam aurton ko bachana chaahiye.

Isi tarah aurton ko libaas mein kaafiron aur faasiqon ki naqqaali aur un ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bachna chaahiye aur mardon jaisa libaas bhi nahin pahenna chaahiye. kyun ke Rasullullah  ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain.–  (Bukhaari :5885)
* * * * *

Neez aurton ko chaahiye ke apni isteta’at se ziyaada qeemat ke kapde ka ehtemaam bhi na karein aur libaas pahen kar fakhr wa numaaish aur takalluf se parhez karein. Kyun ke Allah ke Rasullullah  ne farmaaya: Jis ne shohrat ka kapda pehna, #Allah Ta’ala us ko qayaamat ke din zillat wa ruswaai ka kapda pehnaaeinge.
–  (Ibne Maaja : 3606)
* * * * *
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment