1. Peene Se Pehle Bismillah Kehna

                                             2. Dahine Hath Se Peena

                                             3. Pani Baith Ker Peena

                                             4. Pani Daikh Ker Peena

                                             5. Teen Sans Me Peena

                                             6. Peene K Baad Alhumdulillah Kehna

╠ •HADEES E PAAK• ╣

DAAE HATH SE PINA
Yahya riwayat karte hai Abdullah ibn Umar se ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –  “Jab tum khao to dahine hath se khao aur daye hath se piyo . Shaytaan baye hath se khata hai aur baae haath se pita hai.
[Al-Muwatta Hadith 49.6]

Abdullah ibn Umar riwayat karte hai ki 
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –  jab tum maise koi (Khana) khane ki nayat kare, use daai hath se khana chaiye aur jab wo pine ka iradah kare toh use daai hath se pina chaiye , kyuki shaytaan baae hath se khata aur pita hai. 
[Sahih Muslim Hadith 5008.]

SONE-CHANDI KE BARTAN ME PINA KA HUKM
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “Jo sone chandi ke bartan me khata ya pita hai wo to beshak apna pet jahannam ki aag se bharta hai.
[Bukhari :: Book 3 :: Volume 69 :: Hadith 778 ]

PINE WALE BARTAN ME SAAS LENA KA HUKM
Abu Qatada riwayat karte hai: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jab kuch piyo to us bartan me saas mat lo.
[Bukhari :: Book 7 :: Volume 69 :: Hadith 534 ]

ZAM-ZAM KA PANI KHADE HOKAR PINE KA HUKM
Ibn Abbas riwayat karte hai: Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Zamzam ka pani pesh kiya aur unhone khade ho kar piya.
[Muslim :: Book 23 : Hadith 5023]

TEEN SAAS ME PINA
Anas riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) teen saas me pani pite the.
[Muslim :: Book 23 : Hadith 5029]

PINE KE BAAD ALHAMDULILAH KAHNA
Ibn Abbas riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –, Unto(camel) ki tarha Ek ghut me mat piyo, lekin teen ghuto me piyo. Allah ke naam ke sath(bismillah kahkar) piyo aur peene ke baad uski taareef karo(alhamdulilah kaho).
[At- Tirmidhi, Book 3, Hadith 758].  

DUSRO KO PILATE WAQT KHUD AAKHIR ME PINA
Abu Qatadah r.a. riwayat karte hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “ jo dusro ko pani pilata hai usko khud aakhir me pina chaiye.
[At-Tirmidhi, Book 3, Hadith 773].

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬● 

0 comments:

Post a Comment