╠ •HADEES E PAAK• ╣

 Har Tarah Ki Aazmayeesh Aur Museebat Ke Waqt Padhne Ki Dua
--------------
Bismilahirrahmanirrahim
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen 
-----------------------
Saad Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Kya main tumko aisee dua na sikhauu jisko koi ranj aur gam aur aazmayeesh mein mubtala aadmi padhe to uski takleef dur ho jaye , unhone kaha jarur sikhayee to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya wo Dua Zun-Noon (machli wale yani Yunus Alaihi Salam ) ki hai

لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen

(Ya ALLAH) Tere siwa koi ibadat ke layaq nahi , tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
– (Al Silsila As sahiha 2784, Masnad Ahmed 1/170 –Sahih)

Al Quran : Phir Machli ne unko ( Yunus Alaihi salam ko) nigal liya , aur wo malamat karne wale they phir agar wo ( ALLAH k) tasbeeh bayan nahi karte, to us roz tak jab log dobara uthaye jayange ( Yani Qayamat tak) uske pet mein hi rahte
– (Surah As-Saaffat (37) , 142-144)
Al Quran : Aur Zun-Noon (Yunus Alaihi Salam ko yaad karo ) jab wo (apni qaum se naraz hokar) gusse ki halat mein chal diye aur khayal kiya ki hum un par qabu nahi pa sakenge aakhir andhere mein pukarne lage ki

لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen

(Ya ALLAH) Tere siwa koi ibadat ke layaq nahi , tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
to humne unki Dua Qubul kar li aur unko gam se nijat bakhshi aur imaan walo ko hum usee tarah nijat dete hain

– (Surah Al-Anbiya (21), verse 87-88)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment