▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Fajar aur Magrib Ke Baad Ke Azkar - 10 Baar 4 (Chotha) Kalma aur Uski Fazilat 
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees: Jo Fajar Ke Baad Bina Baat Kiye 10 Baar Ye Azkar Padhe To Wo Us Din Har Burayee Se Mehfooz Rahega*
---------------
Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -  Jo Shakhs Fajr Ki Namaz Ke Baad Do Zanu Hokar Baitha Rahe (Jis Tarah Tashahud Mein Baithta Hai ) Aur Phir Kisi Se Baat Kiye Bagair 10 Baar Ye Padhe.
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
*********************
✦ To uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge,Aur Us Din Har Burayee Se Mehfooz Rahega, Aur Usko Shaitan Ki Pahuch Se Dur Kar Diya Jayega Aur Usko Us Din Shirk Ke Alawa Koi Gunah Halaq Nahi Kar Sakega
– (Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan)
**************
 Mahfum-e-Hadees: Hazrat Umarah Bin Shabib As-sabai Radi Allahu Anhu Se Farmaya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -  Jo Shakhs Magrib Ke Baad 10 Baar Ye Padhe.
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ
يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ


Lā Ilāha Illallāh, Waḥdahu Lā Sharīka Lahu, Lahul-mulku Wa Lahul-ḥamdu, Yuḥyi Wa Yumītu, Wa Huwa Aalā Kulli Shai’in Qadīr

To
Allah Subhanahu Uski Hifazat Ke Liye Farishta Muqarrar Kar Denge Jo Subah Tak Shaitan Se Uski Hifazat Karega, Uske Liye 10 Rahmat Ki Nekiya Likh Di Jayegi, Uske Das Barbad Kar Dene Wale Gunah Maaf Kar Diye Jayenge, Aur 10 Musalman Gulam Aazad Karne Ka Sawab Ata Kiya Jayega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan

 Tarjuma : Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi, Wo Akela Hai Uska Koi Sharik Nahi , Mulk Usee Ka Hai Aur Tamam Taarif Usee Ke Liye Hai Wahi, Zindagi Aur Maut Deta Hai, Aur Wo Har Cheez Par Qadir Hai.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment