▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Surah Al Baqrah Ki Aakhri Aayato Ki Fazilat
--------------
"Bismillahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:  Jo bhi haraf tum "Surah Al Baqarah" ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
---------------------
Al Quran: Eh Hamare Rabb Agar Hum Bhul Jaye Ya Galti Kare To Hamari Giraft Na Farma  

Eh Hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala
Eh Hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi,
✦  Aur Humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar.
Tu Hi Hamara Kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
(Surah Al-Baqara (2) Verse 286)

 Mahfum-e-Hadees:  Ek din Jibril Alaihi Salam Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sir uthaya , to jibril alaihi salam ne kaha ki ye ek darwaza hai aasman ka jo aaj khula hai aur us se pahle kabhi nahi khula phir us se ek farishta utra jibril alaihi salam ne kaha ki ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra aur phir usne kaha ki khushkhabri ho aapko do nooro ki jo aapko inayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur nabi ko nahi mile ek Surah Fatiha hai aur dusri Surah Al Baqarah Ki Aakhri Aayatein , aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
– (Sahih Muslim, Jild 2, 1877)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jisne Surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
– (Sahih Bukhari, Vol 6, 5009)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment