▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Islamic Azkaar aur Unki Fazilat
--------------
"Bismillahirrahmanirrahim
------------
Share Karne Se Pahle Ek Baar Ye Azkar Khud Bhi Padh Lijiye-
------------
Ashhadu Alla ilaha illAllahu, Wa Ash-hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh 
------------
Alhamdulillahi Kathira
------------
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
------------
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
------------
La ilaha illAllahu, wa Allahu Akbar, wa La Hawla wa La Quwwata illa Billah
-------------
 Mahfum-e-Hadees-1: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jis nafs ko bhi is haal mein maut aaye ki wo is baat ki gawahi deta ho ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur main (Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Allah ka rasool hu aur ye gawahi dil ke yakeen se ho to Allah subhanahu uski maghfirat farma denga
Sunan ibn Majah, Jild 1, 677-Hasan
-------------
 Mahfum-e-Hadees-2: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Ek shakhs ne kaha
Alhamdulillahi Kathira
(yani Allah ke liye bahut zyada tarifein hain) to farishte ko ye likhna bhari mehsus hua to usne us baare mein Allah Subhanahu se ruju kiya to us se kaha gaya ki usko (uske sawab ko) usee tarah likho jis tarah mere bande ne kaha kathira (yani bahut zyada)
– (Al Silsila As Sahiha, 2868-Sahih)
-------------
 Mahfum-e-Hadees-3: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Do Kalme jo Zuban par halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain aur Rahmaan ko bahut aziz hai
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
– (Sahih Bukhari, Jild 6, 6406)
-------------
 Mahfum-e-Hadees-4: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge .
– (Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Hasan)
– (Sahih Ibn Hibban , 870-Hasan)
-------------
 Mahfum-e-Hadees-5: Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - zameen par koi bhi La ilaha illAllahu, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
kahta hai to
uske gunah bakhsh diye jate hain chahe samundar ke jhaag ke barbar hi kyu na ho
– (Jamia Tirmizi, Jild 2, 1385-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment