♥ Mafhoome-Hadees:”Imam Tirmizi Ne Ek
Tabi Hazrat Shafi Ashabi (Rh) Ka
Waqeya Bayan Farmaya Hai - Ki Wah Madeena Pahunche To Dekha Ki Bahut Se Log Ek
Buzurg Ke Aas Paas Jama Hain, Unhone Poocha Yah Buzurg Kaun Hain? To Logon Ne
Bataya Ye Sahabi-E-Rasool Abu Hurairah Ra Hain, Iske Baad We Apna
Waqeya Bayan Karte Hue Farmate Hain:-
*************
" Wah Logon Ko Hadees E Nabi Suna Kar Dars De Rahe They, Main Ahista
Ahista Qareeb Hote Hote Aap (hz Abu Huraira) Ke Saamne Ja Baitha, Jab Wah Dars
Se Faarig Hue Aur Log Uthkar Jaane Lage:-
*************
To Maine Arz Kiya: Main Aap (ra) Ka Waasta Dekar Arz Karta Hun Ki Aap
Mujhe Aisi Koi Hadith Sunaaye Jo Aapne Janab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Barahe Raast Suni Aur Samjhi Ho Aur Aap Ko Acchi Tarah
Yaad Ho,
♥ Abu Hurairah (ra) Ne Farmaya: "*Haan Main Sunaunga, Main Aisi Hi Hadith Sunaounga★»*Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Mujhe Sunaayi, Aur Maine Use Samjha Aur Yaad Kiya",{Vdo-Lsn..}
»*Phir Achanak Unki Tabiyat Kharaab Ho Gayi (Gashi Tari Ho Gayi) –**Thodi Der Baad Hosh Theek Huwa To Farmaya:" Main
Aapko Zaroor Wah Hadith Sunaoga★»*Jo Rasool’Allah (ﷺ)
Ne Mujhe Is Ghar Me Sunaayi Thi, Us Waqt Aap(ﷺ) Ke
Paas Mere Elawa Koi Nahi Tha"
*************
»* Phir Achanak Unki Tabiyat Kharaab Ho Gayi (Gashi Tari Ho Gayi) –*Jab Aaraam Huwa To Chehre Se Paseena Pochne Lage, Phir Farmaya:
":-*Haan, Main Aapko
Zaroor Wah Hadith Sunaounga★»*,,Jo Aap ﷺ
Ne Mujhe Sunaayi Thi, Jabki Main Is Ghar Me Nabi ﷺ Ke
Hamraah Tha, Mere Siwa Aap ﷺ Ke
Saath Aur Koi Nahi Tha",
*************
»* Iske Baad Abu Hurairah Ra Ki Haalat Phir Kharaab Ho Gayi (Gashi Tari Ho
Gayi) –Aur Aap(ra) *Chehre Ke Bal Jhuk Gaye, Maine Bahut Der Tak Aap (ra) Ko Sahara Diye★»* Rakha,
Tab Aap (ra) Ki Haalat Sambhli To Farmaya:
♥ Mujhe Janab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Yah
Hadith Sunayi Ki:- " Jab Qiyamat Ka Din Hoga Allah Taala Bandon Ke Darmiyaan Faisla Karne Ke Liye Zameen
Par Tashreef Farma Hoga, Har Jamaat Ghutne Ke Bat Jhuki Hui Hogi,
+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
*Sabse Pahle
Allah Taala Jin Logon Ko Bulaayenge★»*
∗(1). Unme Se Ek Shakhs Wah Hoga Jisne Qur'an Paak Yaad Kiya Hoga,
**************
∗(2). Aur Ek Wah Shakhs Hoga Jo Allah Ki Raah Me Jung Karta Raha
Hoga,
*************
∗(3). Aur Ek Bahul Maaldaar Shakhs Hoga,
1. »* Allah Taala (Qur'an Ke Aalim) Se Farmayenge –
Kya Maine Wah Kitab Nahi Sikhaayi Thi Jo Maine Rasool Par Naazil Ki Thi? Wah
Kahega, Ji Haan Ya Rabb!, Allah Taala Farmayega: Phir
Tune Apne Ilm Par Kaise Amal Kiya? Wah Kahega, Main Raat Din Usme Mashgool
Rahta Tha, Allah Taala Farmayega:*Toone Jhoot Kaha, ★»* Aur
Farishte Usse Kahenge Toone Jhoot Kaha, Allah Taala Farmayenge: Teri Niyat To Yahi Thi Ki Kaha Jaaye Falan Shakhs (bada)
Qaari Aur Aalim Hai, Wah (duniya Me) Kaha Ja Chuka,
2. »* Isi Tarah (Maaldaar Shaks) Ko Haazir Kiya
Jaayega –
Allah Taala Usse Farmayenge: Kya
Maine Tujhe Maaldaari Nahi Bakshi Thi Yahan Tak Ki Maine Tujhe Kisi Ka Mohtaaj
Na Rahne Diya ? Wah Kahega: Ji Haan, Ya Rab. Allah Taala Farmayenge: Phir Tune
Mere Diye Hue Maal Ka Kya Kiya? Wah Kahega, Main Rishtedaaron Par Ahsaan Karta
Tha Aur (sab Zaroorat Mando Par) Sadqa Karta Tha, Allah Taala Farmayega::*Toone Jhoot Kaha, ★»*Farishte Bhi Kahenge: Tu Jhoota Hai, Allah Taala Farmayenge: Tu Yah Chahta Tha Ki Log Yah Kahen: Falan Shakhs Bahut Daani
Hai Wah(duniya Me) Kaha Ja Chuka,
3. »* Isi Tarah (Allah Ki Raah Me Qatl Hone Waale)
Ko Haazir Kiya Jaayega –
Allah Taala Usse Farmayenge: Tujhe
Kis Liye Qatl Kiya Gaya? Wah Kahega: Mujhe Teri Raah Me Jihaad Ka Huqm Mila, To
Main Jung Karta Raha Yahan Tak Ki Main Qatal Kar Diya Gaya, Allah Taala Use Farmayenga:*Tu Jhoota Hai,★»* Farishte
Bhi Use Kahenge: Tu Jhoota Hai, Allah Taala Farmayenge: Balki Teri Khwahish Sirf Yah Thi Ki Kaha Jaaye: Falan Bahut
Bahadur Hai, Wah Kaha Ja Chuka",
✦ Iske Baad Janab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne *Mere Ghutne Par Haath Maar Kar Farmaya★»*:- "Abu Hurairah! Ye Teen Log Hain, Jo Qiyamat
Ke Din Tamam Makhlooq Me Sabse Pahle Jahannam Me
Jhoke Jaayenge"
– (Sunan Tirmizi, Kitaab Sift Qiyamat Baab 49, Wa Sunan Ibne
Maaja, Kitaab Zuhud, Baab Zikr Tauba H 4251, Allama Albani Ne Hadith Ko Hasan
Kaha Hai)