▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

Gardano Me Zehrile Saanp aur Touq Daale Jane Ka Azaab, ! ….
--------------
♥ Al Quran: Jahannamiyon Ko Khaolte Huwe Chashme 

---- (Ahl E Jahannam Ka Khana Aur Peena) ----


2.
»*  Zaree Yani Kaante Daar Ghaas (Grass)
Thohar Ke Ilawa Kantedaar Grass Aur Intehai Zehreeli Aur Badbu'dar Jhaadi Bhi Jagannamiyon Ka Khana Hoga.

 Al-Quraan:Jahannamiyon Ko Khaolte Huwe Chashme Ka Pani Peene Ko Diya Jayega Aur Kantedaar Sookhi Ghaas K Ilawa Unke Liye Koi Khana Na Hoga Jo Mota Kare Na Bhook Mitaye Ga..
(Surah Ghaashiya_A. 5--7).


3. »*Ghisleen.. (Yani, Zakhmon Ko Wash Kiya Gaya Pani)

 Al-Quraan:Aaj Yahan In (Gunahgaron) Ka Koi Gham Khwar Hai Na Ghisleen K Ilawa Koi Khana Hai, Jise Inke Ilawa Koi Doosra Nahi Khayega...
(Surah Haaq'qah_A. 35--37)


4. »*Zaa'ghussah.. (Yani, Halaq Me Phans'ne Wala Khana)
Zaqqum, Zaree Aur Ghisleen K Ilawa Jagannamiyon Ko Aisa Zehrila Khana Diya Jayega Jo Halaq See Phans Phans Kar Neeche Utrega...

 Al-Quraan:Hamare Paas (Jahannamiyon K Liye) Bhaari Bediyaan Aur Bhadakti Huwi Aag Hai, Halaq Me Phans'ne Wala Khana Aur Dard'naak Azaab Hai..
(Surah Muzzammil_A. 12--13) 


To be Continue....

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment