▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Dozakh Ki Aag Se Bachne Ki Dua"...!...
--------------
 Mahfum-e-Hadees:Dozakh Ki Aag Kahti Hai Ya “Allah” Isko Dozakh Ki Aag Se Mehfooz Farma*
-----------------
✦ Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
Jo Shaksh 3 Martaba Dozakh Ki -
Aag Se Panah Maangta Hai 
To Dozakh Ki Aag Kahti Hai
Ya “
Allah” Isko Dozakh Ki Aag Se Mehfooz Farma.
– (Sunan Nasaii, Jild 3, 1822 –Sahih)
------------
*اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ*
Allahumma Ajirni Minan Naar
Allahumma Ajirni Minan Naar
Allahumma Ajirni Minan Naar
*✦ Ya ALLAH Mujhko Dozakh Ki Aag Se Mehfooz Farma*

Fajar aur Magrib Ke Baad Parhne Ki Dua
------------------
 Mahfum-e-Hadees: Hazrat  Harith bin Muslim Al - Tamimi Radi Allahu Anhu Apne Walid Se Se Rivayat Karte Haiin Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – *Jab Tum Subah Ki Namaz Se Farig Ho Jao To 7 Baar Ye Dua Padho»*

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ
Allahumma Ajirni Minan Naar
Eh Allah Mujhe Jahanam Ki Aag Se Bacha

 Mahfum-e-Hadees: Agar Tumne Ye Dua Padh Li Aur Us Din Tumhari Wafat Ho Gayee To Tumhare Liye Jahannam Ki Aag Se Aazadi Likh Di Jayegi Aur *Jab Magrib Ki Namaz Se Farig Ho Jao Tab Bhi 7 Baar Ye Hi Dua Padh Liya Karo»*Agar Tumne Ye Dua Padh Li Aur Raat Mein Tumhari Wafat Ho Gayee To Tumhare Liye
Jahannam Ki Aag Se Aazadi Likh Di Jayegi
– (Al-Mu'jam Al-Kabeer, Tabrani, 16425, Hasan)
– (Nata'ij Al-Afkar ,1/162, Hafiz Ibn hajar –Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment