▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

Jahannam Me Aag Ki Shiddat Ka Azaab, ! ….
--------------
♥ Al-Quraan:Bukhaar - Jahannam Ki Bhaap Se Aata Hai, 

-------Jahannam Ki Aag Ki Shiddat-------

Jahannam Ki Aag Ka Pehla Shola Hi Kafir Ke Jism Ka Saara Gosht Haddiyon Se Alag Kardegi.

 Al-Quraan:Aag Unke Chehron Ko Chaat Jayegi Aur Unke Jabdey Bahar Nikal Ayenge
(Surah Mominoon_A.104)

*Jahannam Ki Aag Duniya Ki Aag Se 69 Darja Zyada Garm Hai»*, Aur Uske Har Hisse Me Garmi Ki Utni Hi Shiddat Hai Jitni Duniya Ki Aag Me Hai..

 Mahfum-e-Hadees:  Hazrat Abuzar RA Kehte Hain, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Agar Loag Jahannam Ki Aag Dekhle To Hasnaa Chod Dein, Biwiyon Se Milne Ki Khwahish Tark Kardein, Shaher Ki Araam'dah Zindagi Chod Kar Jangalon Me Jaa Ja Basein Aur Har Waqt Allah Ki Panah Talab Karte Rahein..
– (Hadees - Ibn E Maaja)

Garmiyon Ke Mausam Me Shadeed Tareen Garmi Sirf Jahannam Ki Aag Ki Bhaap Se Paida Hoti Hai..

 Mahfum-e-Hadees:  Hazrat Ayesha Raziallahu Anha Se Riwayat Hai K, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – "Bukhaar Jahannam Ki Bhaap Se Aata Hai, Lihaza Usey Pani Se Thanda Karo"
– (Hadees - Sahi Bukhari)

Mahfum-e-Hadees:  Hazrat Abu Saeed Khudri Raziallahu Anhu Se Riwayat Hai K, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – "Jahannam Me Sab Se Halka Azaab Us Aadmi Ko Hoga Jise Aag Ki Jootiyan Pehnai Jayengi Jis Se Uska Damagh Khaolne Lage Ga" – (Hadees - Sahi Muslim)

“Allah'hummaa Ajirni Minan Naar”

To be Continue..

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment