▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Badshaguni Yani (Buri Baat Par Yakeen Kar Ke Us Kaam Se Ruk Jana)..,!...
--------------
" Mahfum-e-Hadees: Hazrat Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Teen (3) Baar Farmaye Badshaguni Shirk Hai Aur Ham Mein Se Har Ek Ko Waham Ho Hi Jata Hai Lekin Allah Subhanahu Usko Tawaqqal (Sirf Allah Par Yakeen) Se Dur Farma Deta Hai.
– (Sunan Abu Dawud, Jild 3,511-Sahih)

 Mahfum-e-Hadees: Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Meri Ummat Ke 70,000 Log Bina Hisab Ke Jannat Mein Jayenge Ye Wo Log Honge Jo Jhaad-Foonk Nahi Karate Hain Aur Na Shagun Lete Hain ( Yani Achche Bure Shagun Mein Yakeen Nahi Karte) Aur Apne Rab Par Hi Bharosa Karte Hain.
(Sahih Bukhari, Vol 7, 6472)

✦ Note : Badshaguni Yani Koi Kisi Buri Baat Par Yakeen Kar Ke Us Kaam Se Ruk Jaye Jaise Kaali Billi Ke Raasta Kaat Jane Se Kuch Bura Hoga Agar Koi Aisa Sochta Hai To Wo Shirk Hai Kyunki Usko Allah Aur Uski Taqdeer Par Yakeen Nahi.


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment