▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄   

╠ •Al-QURAAN• ╣

Jahannam Ke Darajaat aur Unme Hone Wala Azaab, ! ….
--------------
Al Quran: Jahannam Ka Bayan.

-------Jahannam Ke Darajaat -------

Jahannum Ke Alag Alag Darjaat Hain. Sab Se Nichle Darje Me Shadeed Tareen Azaab Hoga Aur Oopar Wale Darje Me Sab Se Kamtar Darje Ka Azaab Hoga.

 Al Quran: Yaqeenan Munafiq Jahannum Ke Sab Se Nichle Darje Me Honge. Aur Tum Kisi Ko Unka Madadgar Na Paoge.
(Surah Nisaa_ A. 145)

Jahannum K Darjaat Muqtalif Gunahon K Mutabiq Muqtalif Azaabon Ke Liye Maqsoos Hogi.. Wallahu Aalam..

1. »* Jahannum Ka Pehla Darja Al'jaheem Hai
*********
(Yani Bhadakti Huwi Aag Ka Gad'ha..)
 Al Quran: Jisne Sarkashi Iqtiyar Ki, Aur Duniya Ki Zindagi Ko Tarjeeh Di Uska Thikana Bhadakti Huwi Aag Ka Gad'ha Hoga.
(Surah Naziyaat_ A. 37---39)

2. »* Jahannum Ka Doosra (2nd Darja) Al'hutamah Hai –
*********(Yani  Chakna'choor Kar Dene Wala..)
 Al Quran: Hargis Nahi... Wo Saqs Chakna'choor Kar Dene Wali Jaga Me Phenk Diya Jayega Aur Tum Kya Jano Wo Chakna'choor Kar Dene Wali Jaga Kaisi Hai? Allah Ki Aag Hai Khoob Bhadakti Huwi..
(Surah Humazah_ a.4--6)

3. »*  Jahannum Ka Teesra Darja Haawiyatu Hai –
*********(Yani Gehri Khaai..)
 Al Quran: Aur Jinke Meezan Halke Honge Unki Jaga Gehri Khaai Hogi Aur Tumhe Kya Malum Wo Gehri Khaai Kya Hai? Bhadakti Huwi Aag Hai..
(
Surah Qaariyah_ A.8---11)

To be Continue…Part 3....

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment