╠ •HADEES E PAAK• ╣

Wazu Ka Tariqa Faraiz & Sunnaten
--------------
Jub zarurat se farig hon to wazu karna chahiye aur jub wazu Karen to in sunnaton ka lihaz rakhen, hamara wazu hamare Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki pyari sunnaton k sath ada hojaye. Kis qadar khush nasibi ki baat hai.

1. wazu se pehle
(bismillahir rahmanir rahim) padhiye.(bukhair,muslim) 

2. wazu k shuru me dono hath gatton tk teen martaba dholijiye
.(bukhari,muslim) 

3.Chahra dhone se pehle kulli kijiye aur naak saaf kijiye.
(bukhari,muslim) 

4. bayen hath se naak saaf kijiye.
(bukhari,muslim) 

5. kulli krne aur naak saaf krne me mubaliga kijiye, han!agar roze daar hai to mubalga na kijiye, aik hath se kulli krna aur aik hath se naak saf kijiye,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne aik hath se kulli ki aur aik hi hath se Naaksaf kiya.(bukhair,muslim) 

6. wazu me kulli krte waqt miswak kijiye.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:Agar meri ummat per ye baat shaq (mushkil) na guzarti to mai unhe har wazu k sath miswak ka hukum deta.(ahmed,nasai).

7. Agar dadhi ghani ho to Chahra dhote huwe dadhi ka khilal bhi kijiye
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) wazu me apni dadhi ka khilal kiya karte the.(tirmizi). 

8. Poore sir ka masah kijiye jaisa k mash karne ka masnoon tariqa hai.

9. hato aur pairon ki ungliyon ka khilal kijiye,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - wazu achhi tarah karo aur ungliyon k darmiyan khilal karo.(abudaood,tirmizi,nas ai) 

10. haton aur pairon ko dhote huwe sidhijanib se shuru Karen, is tarah k pehle sidha hath phir baya hath pehle sidha pair phir baya pair dhoyen,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko joote pehenne aur pakizgi hasil krne wagaira me sidhi janib se shuru krna psnd tha.(bukhair,muslim).

11. Har azu ko aik martaba se zyada yanido do martaba ya teen teen martaba dhoyye, jaisa k hadees me hai k
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do do martaba bhi aaza-e-wazu ko dhoya aur teen teen martaba bhi, albatta 3 martaba se zyada na dhoye.

12. pani k istemal me aai’tedal se kaam lijiye, pani ka istemal had se zyada bhi na ho ko israf hojaye aur na bilkul kmk aaza bhi sahi tour per na dhule,

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) pani k Istemal mi Aitedal (miyanarvi) se kaam lete the.

13. Apne ghr me wazu kar k masjid jayye,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Jo Shaksh apne ghr me wazu krta hai phir allah k ghron me se kisi ghr ki taraf chl kar jata hai ta k Allah Tala k Farayez me se koi fariza ada kare to us k qadmon me se har aik qadam aik gunah ko mitata hai aur dusrahar qadam aik darja ko bulnd karta hai. 

14. wazu se farig ho kar Allah Tala k Mabood hone ki aur
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  k Rasool hone ki Gawahi dijiye aur yun kahiye.("Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa-Rasooluhu") jo koi wazu k baad ye kalimaye shahadt padhta hai Jannat k Aaton Darwaze us k liye khul jate hai jis darwaze se chahe dakhil hojaye.(muslim)

15. wazu k baad 2 rakhat Namaz ada kijiye,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Jis ne Mere wazu ki tarah wazu kiya phir 2 Rakat Namaz ada ki Aur un 2 rakat k ada karte hue koi Dunyawi Khayal dil me na Laye, us k pichle gunah muaaf Kar diye jayenge.(bukhari,muslim)

16. Har azu ko acchi tarah dhoyyen k har aik ka haq ada hojaye
.(bukhari). {Click-More..}

Wazu KE FARA'IZ
Wazu ke Fara'iz 4 hain:
1) Pura Munh Dhona (Thodi Ke Neeche Se Peshaani Ke Upar Tak, Or Ek Kaan Ki Low Se Doosre Kaan Ki Low Tak Pani Pahunchana)
2) Dono Hath Kohniyon Samet Dhona
3) Kam Se Kam Ek Chothai Sar Ka Masah Karna
4) Takhno Samet Dono Paanv Dhona



*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

1 comments:

TeamFire64 said...

safar ki dua

Post a Comment