▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Jahannam aur Usme Hone Wala Dardnak Azab..!..
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Abu Dawood, Nasa'i Aur Tirmizi Ki Riwaayat Hai, Jab Allah Ta'ala Ne Jannat Aur Jahannam Ko Paida Farmaya To Jibraeel عليه السلام Ko Bheja Ke Jannat Aur Usmein Jo Kuch Bhi Maine Jannatiyon Ke Liye Taiyyaar Kiya Hai , Use Dekh Aao, Jibraeel عليه السلام Ne Aa Kar Jannat Aur Usmein Rehnewaalon Ke Liye Taiyyaarshuda Ne'maton Ko Dekha Aur Baargaah E Ilaahi Mein Jaa Kar Arz Kiya,tere Izzat Wa Jalaal Ki Qasam ! Jo Bhi Iska Tazkira Sunega Ismein Aane Ki Koshish Karega, Allah Ta'ala Ne Hukm Diya Aur Jannat Par Masaaib-taari Kar Diye Gaye , Phir Allah Ta'ala Ne Farmaya Jao Aur Dekho Ke Maine Jannat Mein Aanewaalon Ke Liye Kya Intezaam Kiya Hai ? Jibraeel Jannat Ki Taraf Aaye To Dekha Ke Woh Masaaib Mein Chupa Di Gayi Hai, Chunaanche Jibraeel Waapas Aagaye Aur Kaha Mujhe Teri Izzat Ki Qasam Mujhe Darr Hai Ke Ismein Koi Nahi Jaayega.

Phir Allah Ta'ala Ne Farmaya Jao Jahannam Aur Usmein Pohonchne Waalon Ke Liye Maine Jo Kuch Taiyyaar Kiya Hai Use Dekho, Jibraeel Ne Jahannam Ko Dekha Uski Aag Ek Doosri Aag Ko Raund Rahi Thi,
Jibraeel عليه السلام Waapas Aa Gaye Aur Baargaah E Ilaahi Mein Arz Ki Teri Izzat Ki Qasam ! Jo Bhi Iska Tazkira Sunega Usmein Nahi Aayega, Allah Ta'ala Ne Hukm Diya Aur Jahannam Ko Shahwaat Se Dhaanp Diya Gaya. Rab Ta'ala Ne Jibraeel عليه السلام Se Farmaya Ab Jao Aur Use Dekho, Jibraeel عليه السلام Aaye , Jahannam Ko Dekha Aur Waapas Jaa Kar Baargaah E Ilaahi Mein Arz Ki ,teri Izzat Ki Qasam Mujhe Darr Hai Ke Koi Bhi Usmein Girne Se Nahi Bachega.

Baihaqqi Ne Hazrate Abdullah Bin Mas'ood رضي الله عنه Se Riwaayat Ki Hai ,

Unhone Farmaane Ilaahi :

"beshak Jahannam Mahallon Jaisi Chingaariyaan Phenkti Hai."

Ki Tashreeh Mein Farmaaya, Ye Nahi Kehta Ke Woh Darakhton Jitni Badi Chingaariyan Phenkti Hai Balke Qilon Aur Shehron Jitni Badi Badi Chingaariyan Phenkti Hai.

Ahmed, Ibne Maajaa, Sahih Ibne Habbaan Aur Haakim Ki Riwaayat Hai Ke Wail Jahannam Ki Ek Waadi Hai , Kaafir Usmein 40 Saal Baraabar Girta Chala Jaayega Magar Uski Gehraayi Tak Nahi Pohonch Sakega.

Tirmizi Ki Riwaayat Hai Ke Wail Jahannam Ki Ek Waadi Hai , Kaafir 70 Saal Mein Bhi Iski Gehraayi Tak Nahi Pohonch Sakega.

(Dono Riwaayaton Mein Gehraayi Tak Pohonchne Ki Muddat Ka Farq Hai , Dono Ka Maqsad Ye Hai Ke Uski Gehraayi Bohot Hi Zyaada Hai Jo Barson Mein Taiy Hogi ).

Jubbul Huzn Ka Azaab :
Ibne Maajaa Aur Tirmizi Ki Hadees Hai, Aapne Farmaya Ke Jubbul Huzn Se Allah Ki Panaah Maango, Sahaba E Kiraam Ne Poocha Yaa Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jubbul Huzn Kya Hai ? Aapne Farmaya Jahannam Ki Ek Waadi Hai Jisse Jahannam Bhi Din Mein Chaar Sau (400) Martaba Panaah Maangta Hai, Poocha Gaya Huzoor! Usmein Kaun Jaayenge ? Aapne Farmaya Woh Riyaakaar Qaariyon Ke Liye Taiyyaar Ki Gayi Hai Jo Apne Aamaal Ki Numaish Karte Hai Aur Allah Ta'ala Ke Yahaan Sabse Zyada Naapasand Aise Qaari Hai Jo Zaalim Haakimon Se Mel-jol Rakhte Hai.

Tibraani Ki Riwaayat Hai Ke Jahannam Mein Ek Aisi Waadi Hai Ke Jahannam Us Waadi Se Din Mein 400 Martaba Panaah Maangta Haai Aur Ye Huzoor ﷺ Ki Ummat Ke Riyaakaaron Ke Liye Taiyyaar Ki Gayi Hai.

Ibne Abi Al Duniya رحمت لله عليه Ki Riwaayat Hai Ke Jahannam Mein 70,000 Waadiyaan Hai ,har Waadi Mein 70,000 Ghaatiyaan Hai ,har Ghaati Mein 70,000 Suraakh Hai, Har Suraakh Mein Ek Saanp Hai Jo Dauzakhiyon Ke Chehron Ko Dasta Rehta Hai.

Bukhaari Ne Apni Taareekh Mein Ye Munkirus-sanad Hadees Naql Ki Hai Ke Jahannam Mein 70,000 Waadiyaan Hai , Har Waadi Mein 70,000 Ghaatiyaan Hai, Har Ghaati Mein 70,000 Ghar Hai, Har Ghar Mein 70,000 Makaan Hai , Har Makaan Mein 70,000 Kunwe Hai, Har Kunwe Mein 70,000 Asdahe Hai Har Asdaha Ki Baachon Mein 70,000 Bichchoo Hai. Kaafir Aur Munaafiq Un Tamaam Ka Azaab Paaye Bagair Nahi Rahega.

Tirmizi  Mein Munqatius-sanad Riwaayat Hai Ke Jahannam Ke Kinaare Se Azeem Chattaan Ludkaayi Jaati Hai Aur 70 Saal Guzarne Ke Baawajood Bhi Woh Jahannam Ki Gehraayi Tak Pohonch Nahi Paati Hai.

Hazrate Umar رضي الله عنه Farmaya Karte Jahannam Ko Aksar Yaad Kiya Karo Kyunki Uski Garmi Sakht ,uski Gehraayi Behadd Hai Aur Usmein Lohe Ke Hathaude Hai.

Bazaaz, Abu Yo'laa , Sahih Ibne Hibbaan Aur Baihaqqi Ki Riwaayat Hai Ke Agar Jahannam Mein Paththar Phenka Jaaye Aur Usey Neeche Jaate Huwe 70 Saal Guzar Jaayein, Tab Bhi Woh Uski Gehraayi Tak Nahi Pohonch Sakega.

Muslim Mein Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه Se Marwi Hai Ke Hum Huzoor ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Saath The Ke Humne Ek Dhamaka Suna , Huzoor ( ﷺ) Ne Farmaya Jaante Ho Yeh Kya Tha ? Humne Arz Kiya Allah Aur Uska Rasool ( ﷺ) Zyada Jaante Hai , Aapne Farmaya Yeh Paththar Tha Jise Allah Ta'ala Ne 70 Saal Pehle Jahannam Mein Daala Tha, Abhi Bhi Woh Uski Gehraayi Tak Pohonch Saka Hai.

Tibraani Mein Hazrate Abu Saeed Khudri رضي الله عنه Se Marwi Hai , Huzoor ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Ek Haulnaak Aawaaz Suni , Jibraeel عليه السلام Huzoor ﷺ Ke Paas Aaye To Aapne Poocha , Jibraeel Ye Kaisi Aawaaz Thi ? Jibraeel عليه السلام Ne Arz Kiya, Ye Chattaan Thi Jise 70 Saal Pehle Jahannam Ke Kinaare Se Giraaya Gaya Tha Aur Woh Abhi Jahannam Ki Gehraayi Tak Pohonchi Hai, Allah Ta'ala Ne Chaaha Ke Aapko Bhi Uski Aawaaz Suna Di Jaaye, Iske Baad Kisi Ne Wisaal Tak Aapko Hanste Huwe Nahi Dekha.

Ahmed Aur Tirmizi Ki Riwaayat Hai Ke Huzoor ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Sar Ki Taraf Ishaara Karke Farmaya, Agar Is Jitna Seesa Aasmaan Se Zameen Ki Taraf Phenka Jaaye To Zameen Wa Aasmaan Ki 500 Saal Safar Ki Doori Ke Baawajood Raat Se Pehle-pehle Ye Zameen Par Aa Jaaye Aur Agar Ise Jahannam Ke Kinaare Se Jahannam Mein Phenka Jaaye To 40 Saal Guzarne Se Pehle Uski Gehraayi Tak Naa Pohonch Sake.

Ahmed , Abu Yo'laa Aur Haakim Ki Riwaayat Hai Ke Agar Jahannam Ka Hathauda Jo Lohe Se Taiyyaar Kiya Hua Hai , Zameen Par Rakh Diya Jaaye Aur Jinn O Insaan Mil Kar Usey Uthaana Chaahe To Usey Uthaa Nahi Sakenge.

Haakim Ki Riwaayat Hai Ke Agar Pahaad Par Hathaude Ki Ek Zarb Lagaayi Jaaye To Woh Reza Reza Ho Kar Ret Ban Jaaye.

Ibne Abi Al Duniya Ki Riwaayat Hai Ke Agar Jahannam Ka Ek Paththar Duniya Ke Pahaadon Par Rakh Diya Jaaye To Woh Uski Garmi Se Pighal Jaayein.

Haakim Ki Ek Riwaayat Hai Ke Zameenein 7 Hai Aur Har Zameen Ka Doosri Zameen Ke Darmiyaan 500 Saal Ke Safar Ke Baraabar Faasla Hai ,

1,Sabse Upar Waali Zameen Machli Ki Pusht (peeth) Par Hai Jisne Apni Dono Aankhein Aasmaan Se Milaayi Hui Hai, Machli Chattaan Par Hai Aur Chattaan Farishte Ke Haath Mein Hai,

2, Doosri Zameen Hawa Ka Qaid Khana Hai, Jab Allah Ta'ala Ne Qaum E Aad Ki Halaakat Ka Iraada Farmaya To Hawa Ke Khaazin Ko Farmaya Ke Unpar Hawa Bhej, Jo Unko Halaak Karde, Khaazin Ne Arz Kiya Yaa Allah! Main Unpar Bail Ke Nathnon Ke Baraabar Hawa Bhejunga, Rabbe Zuljalaal Ne Farmaya Tab To Duniya Ki Tamaam Makhlooq Halaak Ho Jaayegi Aur Ye Sabke Liye Kaafi Hogi, Unpar Angoothi Ke Suraakh Ke Baraabar Hawa Bhejo Aur Yehi Woh Hawa Hai Jiske Muta'alliq Irshaad E Ilaahi Hai :

"usne Kisi Cheez Ko Nahi Chorda , Jinpar Woh Aayi Magar Usey Bosidaa Haddi Ki Tarah Kar Diya.

3, Teesri Zameen Mein Jahannam Ke Patthar Hai ,

4, Chauthi Zameen Mein Jahannam Ka Gandhak Hai, Sahaba E Kiraam Ne Arz Kiya Yaa Rasoolallah ! ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Jahannam Ke Liye Bhi Gandhak Hai ? Aapne Farmaya Bakhuda Usmein Gandhak Ki Kayi Waadiyaan Hai , Agar Un Mein Buland Wa Baala Mustahkam Pahaad Daale Jaayein To Narm Ho Kar Reza Reza Ho Jaayein ,

5, Paanchvi Mein Jahannam Ke Saanp Hain Jinke Munh Gaaron Ki Tarah Hai Jab Woh Kaafir Ko Ek Martaba Dasenge To Uski Haddiyon Par Gosht Baaki Nahi Rahega .

6, Chhatti Mein Jahannam Ke Bichhoo Hai Jinmein Sabse Chhota Bichhoo Bhi Pahaadi Khacchar Ke Baraabar Hai, Woh Jab Kaafir Ko Dasega To Kaafir Jahannam Ki Shiddat Aur Garmi Ko Bhool Jaayega.

Saathvi Mein Iblees Lohe Se Jakda Hua Hai , Uska Ek Haath Aage Aur Ek Peeche Hai , Jab Allah Ta'ala Chaahta Hai Ke Usey Kisi Bande Ke Liye Chord De To Usey Chord Deta Hai.

Ahmed , Tibraani , Sahih Ibne Hibbaan Aur Haakim Ki Riwaayat Hai Ke Jahannam Mein Bukhti Oonton Ki Gardanon Jaise Saanp Hai Jab Unmein Se Koi Ek Dasta Hai To Uski Garmi Sattar Saal Ke Raaste Ki Doori Se Mehsoos Ki Jaati Hai Aur Jahannam Mein Pahaadi Khaccharon Jaise Bichhoo Hai , Jab Woh Daste Hain To Unki Garmi Chaalees Saal Ki Doori Se Mehsoos Ki Jaati Hai .

Tirmizi , Sahih Ibn E Hibbaan Aur Haakim Ki Riwaayat Hai Ke Huzoor ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaane Ilaahi -

" Kaal Mohle" Ke Baare Mein Farmaaya Hai Ke Woh Zaitoon Ke Tel Ki Talchat Ki Tarah Hoga , Jab Woh Unke Chehron Ke Qareeb Aayega To Unke Chehre Ki Khaal Baalon Samet Udhad Kar Usmein Gir Jaayegi .

Tirmizi Ki Riwaayat Hai Ke Garm Paani Unke Saron Par Daala Jaayega To Woh Shadeed Garm Paani Unke Saron Se Guzar Kar Unke Pet Mein Asar Andaaz Hoga Aur Jo Kuch Unke Peton Mein Hoga Usey Baahar Nikaal Dega Yahan Tak Ke Usi Shiddat Se Unke Pairon Se Beh Niklega Aur Unke Wajood Ki Charbi Khatm Kar Dega , Fir Dobaara Usey Waise Hi Daala Jaayega Aur Baar Baar Insaanon Ko Bhi Pehli Waali Haalaton Par Kiya Jaata Rahega .

Zahhaak Ka Qaul Hai Ke Hameem Woh Garm Paani Hai Jo Zameen O Aasmaan Ki Paidaaish Ke Waqt Se Jahannamiyon Ko Pilaane Ke Waqt Tak Baraabar Garm Ho Raha Hai Aur Phir Unhe Pilaane Ke Saath Unke Saron Par Bhi Daala Jaayega .

Ek Qaul Yeh Hai Ke Woh Jahannam Ke Ghadon Mein Jamaa Hone Waale Jahannamiyon Ke Aansu Honge Jo Unhein Pilaaye Jaayenge , Aur Bhi Mukhtalif Aqwaal Hai.

 Al-Quraan: Quran E Paak Mein Isi Paani Ka Zikr Hai , Irshaad E Ilaahi Hai :

"*aur Woh Garm Paani Piyenge Jo Unki Antadiyaan Kaat Dega»*

Ahmed , Tirmizi Aur Haakim Ki Riwaayat Hai , Huzoor ﷺ Ne Is Farmaan E Ilaahi Ke Baare Mein :

"*aur Usey Peep Ka Paani Pilaaya Jaayega Jise Woh Ghoont Ghoont Piyega Aur Usey Gale Se Utaar Nahi Sakega."»*

Farmaaya Ke Dauzakhi Usey Apne Munh Ke Qareeb Laayega To Uski Badboo Ki Wajah Se Usey Sakht Naapasand Karega Magar Jab Pyaas Ke Maare Munh Ke Aur Zyaada Qareeb Layega To Uska Munh Bhun Jaayega Aur Uske Sar Ki Khaal Baalon Samet Usmein Gir Jaayegi Aur Jab Woh Usey Ghoont Ghoont Piyega To Woh Uski Antadiyaan Kaat Kar Baahar Nikaal Dega Chunaanche Farmaan E Ilaahi Hai:

"*aur Jab Woh Fariyaad Karenge To Unki Fariyaad Rasi Ki Jaayegi , Aise Paani Ke Saath Jo Gale Huwe Taambe Jaisa Hoga Jo Unke Dehnon (munh) Ko Bhun Daalega , Woh Bohot Bura Peena Hai.»*

Ahmed Aur Haakim Ki Riwaayat Hai Ke Agar Jahannam Ke Badboodaar Paani Ka Dol Duniya Mein Giraa Diya Jaaye To Tamaam Makhlooq Uski Badboo Se Pareshaan Ho Jaaye ,us Paani Ka Naam Gassaaq Hai Jiska Farmane Ilaahi Mein Bhi Zikr Hai Chunaanche Irshaad Hota Hai Ke "pas Chakho Garam Paani Aur Gassaaq Ko " Aur Jahannamiyon Ke Mashroob Ke Muta'alliq Irshaad Farmaya "magar Garam Paani Aur Gassaaq Hoga" Gassaaq Ke Maana Mein Kuch Ikhtilaaf Hai.

Hazrate
Ibne Abbas رضي الله عنهما Ka Qaul Hai Ke Is Se Muraad Woh Mawaad Hai Jo Jahannamiyon Ke Chamdon Se Bahega Aur Baaz Mufassireen Ka Kehna Hai Ke Is Se Muraad Unki Peep Hai .

Hazrate Kaab رضي الله عنه Ka Qaul Hai Ke Woh Jahannam Ka Ek Kuwaan Hai Jisme Har Zahreeli Cheez Jaise Saanp Bichchoo Wagaira Ka Zaher Behkar Aayega Aur Wahan Jamaa Hota Rahega Phir Kaafir Ko Wahan Laaya Jaayega Aur Usey Usmein Gota Diya Jaayega, Jab Woh Niklega To Uska Chamda Aur Gosht Gir Chuka Hoga Aur Uske Pairon Aur Taangon Ke Peeche Chimtaa Huwa Ghaseet-ta Huwa Aayega Jaise Aadmi Apne Kisi Kapde Ko Ghaseet-ta Huwa Laata Hai.

Tirmizi Ki Riwaayat Hai Ke Huzoor ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Ye Aayat Padhi :

"*Allah Se Kamaa Haqquhu Daro Aur Tum Hargiz Na Maro Magar Ye Ke Musalmaan Ho Kar Maro."»*

Aur Farmaya Ke
Zaqqoom Ka Agar Ek Qatra Zameen Par Daal Diya Jaaye To Makhlooq Par Zindagi Guzaarna Dubhar Ho Jaaye, Us Shakhs Ka Kya Haal Hoga Jiski Giza Hi Zaqqoom Hogi.

Doosri Riwaayat Ke Alfaaz Ye Hai, Us Shakhs Ka Kya Haal Huwa Jiska Zaqqoom Ke Siwa Koi Khaana Nahi Hoga.

Hazrate
Ibne Abbas رضي الله عنهما Se Sahi Riwaayat Ke Saath Marwi Hai, Unhone Farmane Ilaahi:

"*aur Khaana Gale Mein Phans Jaanewala."»*

Ki Tafseer Mein Farmaya Ke Us Mein Kaante Honge Jo Halaq Pakad Lenge, Naa Upar Aayenge Aur Naa Neeche Pet Mein Utrenge.

Kafir Ka Wajood Dozakh Me (Jahannamiyon Ke Jism) -

Bukhaari Aur Muslim Ki Riwaayat Hai Ke Kaafir Ke Kandhon Ka Darmiyaani Faasla Tez Raftaar Sawaar Ke Teen Din Ki Masaafat Ke Baraabar Hoga.

Ahmed Ki Riwaayat Hai Ke Kaafir Ki Daadh Ohad Pahaad Ke Baraabar Hogi Aur Uski Raan Baizaa Pahaad Ke Misl Hogi Aur Jahannam Mein Uski Baithak Qadeed Aur Makkah Muazzama Ke Darmiyaani Faasle Ke Baraabar Hogi Yaani Teen Din Ke Safar Ke Baraabar, Uske Chamde Ki Motaayi Bayaalis Yamani Haath Hogi Yaa Bayaalis Ajami Haath, Ibne Habbaan Ne Pehle Qaul Ko Tarjeeh Di Hai.

Muslim Ki Riwaayat Hai Ke Kaafir Ki Daadh Yaa Daant Ohad Pahaad Jaisa Hoga Aur Uske Chamde Ki Motaayi Teen Din Ke Safar Ke Baraabar Hogi.

Tirmizi Ki Riwaayat Hai Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Ke Qayamat Ke Din Kaafir Ki Daadh Ohad Pahaad Ke Baraabar Hogi, Uski Raan Baizaa Ke Baraabar Aur Jahannam Mein Uski Baithak Teen Din Ke Safar Ke Baraabar Hogi Jaise Zabda Aur Madeena Ka Darmiyaani Faasla Hai.

Ahmed Ki Riwaayat Hai Ke Qayamat Ke Din Kaafir Ki Daadh Ohad Pahaad Jaisi Hogi, Uske Chamde Ki Motaayi Sattar Haath Hogi, Uska Baazu Baizaa Pahaad Jaisa Aur Uski Raan Darqaan Jaisi Aur Jahannam Mein Uski Baithak Mere Aur Zabda Ke Darmiyaani Faasle Ke Baraabar Hogi, Ek Riwaayat Mein Hai Ke Jahannam Mein Uski Baithak Teen Din Ke Safar Ke Baraabar Hogi Jaise Zabda Hai.

Ahmed ,tirmizi Aur Tibraani Ki Riwaayat Hai , Jise Haafiz Munzari Ne Achchi Sanad Waali Hadees Kaha Hai Aur Tirmizi Ne Isey Fuzail Bin Yazeed Se Naql Kiya Hai Ke Kaafir Jahannam Mein Ek Yaa Do Farsakh Ke Baraabar Lambi Zabaan Jahannam Mein Kheenchta Phirega Aur Log Usey Raundte Hoge , Ek Farsakh Teen Meel Ke Qareeb Hota Hai .

Fuzail Bin Yazeed Ne Abil Ijlaan Se Riwaayat Ki Hai Ke Kaafir Qayamat Mein Do Farsakh Lambi Zabaan Kheench Raha Hoga Aur Log Usey Raund Rahe Honge.

Baihaqi Wagaira Ki Riwaayat Hai Ke Jahannamiyon Ke Jism Jahannam Mein Bohot Bade Kar Diye Jaayenge, Yahan Tak Ke Uske Kaan Ki Lau Se Uske Kandhe Tak 700 Saal Ke Safar Ka Faasla Hoga , Uski Khaal Ki Motaayi 70 Haath Aur Uski Daadh Jabal E Ohad Ke Baraabar Hogi.

Ahmed Aur Haakim Ne Ba-sanad E Sahi Mujaahid Se Riwaayat Kiya Hai Ke Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما Ne Farmaya Jaante Ho Jahannamiyon Ke Jism Kitne Azeem Honge ? Maine Kaha Nahi ,tab Unhone Kaha Haan Baakhuda Tum Nahi Jaante Ke Uske Kaan Ki Lau Aur Unke Kandhe Ke Darmiyaan 70 Saal Ke Safar Ka Faasla Hoga, Uski Waadiyon Mein Khoon Aur Peep Rawaan Hogi, Maine Kaha Nehrein Hongi To Unhone Farmaya Nahi Balki Waadiyaan Hongi.

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment