▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Dua Ki Qabooliyat Wale Askaar.,"....!...
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Ek Shakhs Ko Ye Dua Karte Huye Suna

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأَنَّ لَكَ الْحَمْدَ،‏‏‏‏ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ،‏‏‏‏ الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ،‏‏‏‏ ذُو الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ،‏‏‏‏
 Allahumma! Inni asaluka bi-anna lakal-hamd. La ilaha illa anta,
Wahdaka La Sharika Lak, Al-Mannan.
Badi-Us-Samawati Wal-Ard, Dhul-Jalali Wal-Ikram

 Tarjumah: Eh Allah Main Tujhse Sawal Karta Hu Kyunki Tere Hi Liye Hamd Hai Tere Siwa Koi Mabud E Barhaq Nahi , Tu Akela Hai , Tera Koi Sharik Nahi, Tu Bahut Ehsan Karne Wala Hai, Aasmano Aur Zameeno Ko Baghair Misal Ke Paida Karne Wala Hai Jalal Aur Azmat Wala Hai

♥ Ye Sunne Ke Baad Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Is Shakhs Ne Allah Se Uske Ism-E-Aazam Ke Zariye Sawal Kiya Hai Jab Bhi Uske Jariye Sawal Kiya Jata Hai To Wo Ata Karta Hai Aur Jab Uske Zariye Dua Maangi Jati Hai To Wo Qubul Karta Hai
– (Sunan Ibn Maja, Jild 3, 738-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment