▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Dozakh Ka Azab aur Uska Bayaan..!..
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Douzakh Ek Aisa Makaan Hai Jo Allah T’ala Ki Shaane Jabbari Aur Jalaal Ki Mazhar (zahir Karne Wali) Hai.
******************
Jis Tarah Allah Ki Rahmat Aur Ne’amat Ki Koi Hadd Nahi Ki Insan Shumaar Nahi Kar Sakta
Aur Jo Kuch Insan Sochta Hai Woh Shammah (zarra) Barabar Nahi,usi Tarah Uske Gazab Aur Jalaal Ki Koi Had Nahi,

Insan Jis Qadr Bhi Douzakh Ki Aafaton Musibaton Aur Takleefon Ko Soch Sakta Hai Woh Allah Ke Azaab Ka Ek Bahut Chota Sa Hissa Hoga,

Qur’aan Aur Hadees Me Jo Douzakh Ke Bayaan Hai Usme Se Kuch Zikr Ki Jati Hain Ki Musalmaan Dekhein Aur Douzakh Se Panaah Maange,
Hadees Shareef Me Hai Ki Jo Banda Jahannam Se Panaah Mangta Hai,jahannam Kahta Hai Ki Aye Rab !yeh Mujhse Panaah Manga Hai Tu Isko Panaah De,

Qur’aan Shareef Me*Kai Jagahon Par Aaya Hai Ki Jahannam Se Bacho Aur Douzakh Se Daro,»*

Humare Sarkar Hazrat Muhammad (Sallallahu T’ala Alaeiyhi Wasallam) Hume Sikhaane Ke Liye Zyadatar Jahannam Se Panaah Mangta Karte The,

Jahannam Ka Haal Yeh Hoga Ki Uski Chingariyaan Unche Unche Mahlon Ke Barabar Is Tarah Udhengi Ki Jaise Zard Unton Ki Qitaarein Lagataar Aa Rahi Hon,

*Patthar, Aadmi Jahannam Ke Indhan Hain,»*

Duniya Ki Aag Jahannam Ki Aag Ke
(70 Hisson) Me Se Ek Hissa Hai,

Jis Jahannami Ko Jahannam Ka Sabse Kam Azaab Hoga Use Aag Ki Jootiyaan Pahnayi Jayegi Jisse Uska Bheja Aisa Kholega Jaise Taambe Ki Patilee Kholti Hai.aur Woh Yeh Samajhega Ki Sabse Zyada Azaab Usi Par Ho Raha Hai Jabki Yeh Halka Azaab Hai,

Jis Par Sabse Halke Darje Ka Azaab Hoga Usse Allah T’ala Poochhega? Ki Agar Saari Zameen Teri Ho Jaye To Kya Tu Is Azaab Se Sahne Ke Liye Saari Zameen Fidiye Me Dega? Woh Jawab Dega,haan Haan De Dunga,….

Fir Allah T’ala Irshad Farmayega,

*Aye Bande Maine Tere Liye Sabse Aasan Cheez Ka Hukm Us Waqt Diya Tha Jabki Tu Aadam Ki Peeth Me Tha Lekin Tu Nahi Manaa, »*

Allah Hum Sab Gunahgaro Ki Dozakh Se Hifazat Farmae..Aameen

Douzakh Ki Gahraai Ke Baare Me Kuch Bataya Nahi Ja Sakta Fir Bhi Hadeeson Ko Dekhne Se Pata Chalta Hai
Ki Agar Patthar Ki Chattan Jahhannam Ke Kinare Se Uski Gahraai Me Fenki Jaye To 70 Baras Me Bhi Uske Tah Tak Nahi Pahunchegi, Jabki Insan Ke Sar Ke Barabar Shishe Ka Gola Agar Aasman Se Zameen Par Fenka Jaye To Raat Aane Se Pahle Pahle Zameen Tak Pahunch Jayega,

Halanki Aasaman Se Zameen Tak 500 Saal Tak Ka Rasta Hai,


Fir Usme Alag Alag Tabke Waadiyaan Aur Kunche Hain,

Kuch Waadiyaan Aisi Bhi Hain Jinse Jahannam Bhi Har Roz 70 Baar Panaah Mangta Hai,

Ab Aap Andaza Lagaaiye Ki Jahannam Ki Gahraai Kya Hogi Jahannam Jaise Daraawne Ghar Me Agar Aur Ki Azaab Na Hota Fir Yeh Bahut Badhi Saza Aur Takleef Ki Jagah Thi Lekin Jahannam Me Kafiron Ke Liye Alag Alag Sazaayein Bhi Hain Jaise Ki Bataya Gaya,


Ab Kuch Aur Jahannam Ka Haal Aur Azaab Llikhe Ja Rahe Hain,


Kafiron Ko Farishte Lohe Ke Aise Aise Bhari Gurzon Se Maarenge Ki Agar Koi Gurz Zameen Par Rakh Diya Jaye Aur Use Duniya Ke Saare Insan Aur Jinnat Milkar Sath Uthana Chahein To Na Utha Sakein,

Jahannam Me Bahut Bade Bade Saanp Aur Bukhti Oont Ke Barabar Bichchhu Honge
Jo Ek Baar Kaat Lein To Us Se Dard, Jalan Aur Bachaini Hazaar Saal Rahe,

Bukhti Oont Aise Oont Kahlate Hain Jo Har Tarrah Ke Oonton Se Bade Hote Hain,

Jahannamiyon Ko Tel Se Jalee Hui Talchhat Ki Tarah Bahut Kholta Hua Pani Peene Ko Diya Jayega Ki Jaise Hi Us Pani Ko Muh Ke Qareeb Le Kar Jayenge Uski Garmi Aur Tezi Se Chehre Ke Khaal Jal Kar Gir Jayegi,sar Par Woh Pani Bahaya Jayega, Aur Jahannamiyon Ke Badan Se Niklee Hui Peep Unhe Pilaai Jayegi,

Kaantedar Thuhadh Unhe Khane Ko Diya Jayega Woh Aisa Hoga Ki Agar
Uski Ek Boond Duniya Me Aa Jaye To Uski Jalan Aur Badboo Se Saari Duniya Ka Rahan Sahan Barbaad Ho Jaye,


Jahannami Jab Thuhadh Khayenge To Unke Gale Me Fans Jayega,use Utaarne Ke Liye Woh Jab Pani Maangege To Unhe Wohi Panii Diya Jayega Jiska Zikr Pahle Kiya Ja Chuka Hai, Woh Talchhat Ki Tarah Pani Pet Me Jate Hi Aanton Ke Tukde Tukde Kar Dega Aur Aantein Shorbe Ki Tarah Qadamo Ki Taraf Se Nikalengi,


Pyaas Is Balaa Ki Hogi Ki Jahannami Us Pani Par Bhi Aise Girenge Jaise ‘ Touns ‘ Ke Maare Oont Girte Hain.

Jahannam Ki Aag 3000 Baras Tak Dhoukaai Gai

*Jahannam Ki Aag 1000 Baras Tak Dhoukaai Gai Yahan Tak Ki Bilkul Laal Ho Gai,
*fir 1000 Baras Dhoukaai Gai Yahan Tak Ki Safed Ho Gai,uske Baad
*Fir 1000 Baras Dhoukaai Gai Yahan Tak Ki Kaali Ho Gai..aur Ab Woh Bilkul Kaali Hai Aur Usme Roushni Ka Naamo Nishaan Nhi,

Jahannam Ka Haal Batate Hue..

Hazrate
Zibrail Aleihissalaam Ne Huzoor E Akram (Sallallahu T’ala Aleiyhi Wasallam) Se “Qasam Khaa Kar Kaha Ki Agar *Jahannam Se Sooi Ke Nok Ke Barabar Khol Diya Jaye To Zameen Ke Saare Basne Wale Uski Garmi Se Mar Jayein,»*aur Isi Tarah Yeh Bhi Kaha Ki Agar Jahannam Ka Koi Daroga Duniya Walon Ke Samne Aa Jaye To Uski Darawni Soorat Ke Dar Se Sabke Sab Mar Jayein,

Aur Unhone Yeh Bhi Bataya Ki Agar *Jahannamiyon Ke Zanzeer Ki Ek Kadi Duniya Ke Pahaado Par Rakh Di Jaye To *»Thar-thar Kaapne Lage Aur Pahaad Zameen Me Dhans Jaye,

Duniya Ki Yeh Aag Jiski Garmi Aur Tezee Ko Sab Jante Hain Ki Kuch Mousam Me Uske Paas Jana Bhi Mushkil Hota Hai Fir Bhi Aag Allah Se Dua Karti Hai Ki Ya Allah Hume Jahannam Me Fir Na Bhej Dena,

Lekin Ta’ajjub Ki Baat Yeh Hai Insan Jahannam Me Jane Ka Kaam Karta Hai,aur Us Aag Se Nahi Darta Jisse Aag Bhi Panaah Mangti Hai.

Kafir Jab Jahannam Ki Musibaton Aur Taqleefon Se Apni Jaan Se Aajiz Aa Jayenge To
Aapas Me Tay Karke Jahannam Ke Daroga. Hazrate Malik Aleihissalaatu Wasallam Ko *»Pukarte Hue Fariyad Karenge Ki Aye Malik, Tera Rab Humara Qissa Tamaam Kar De*»,lekin Woh 1000 Baras Tak Jawab Na Denge,1000 Saal Ke Baad Kahenge Ki Tum Mujh Se Kya Kahte Ho Usse Kaho Jiski Nafarmani Tumne Ki Hai,fir Woh Allah Ko Uske Rahmat Bhare Naamon Se 1000 Saal Tak Pukarenge Woh Bhi 1000 Saal Tak Jawab Na Dega *Uske Baad Farmayega Ki,door Ho Jaao Jahannam Me Pade Raho Mujhse Baat Na Karo*»,fir Yeh Kafir Har Tarah Ki Bhalaai Se Naummid Ho Kar Gadho’n Ki Tarah Rona Aur Chillana Shuroo Karegne,pahle Aansoo Niklenge Aur Jab Aansoo Khatm Ho Jayenge To Khoon Ke Aansoo Royenge,rote Rote Unke Gaalo’n Me Gadde Pad Jayenge,

Unke Rone Se Khoon Aur Peep Itna Niklega Ki Agar Usme Kashtiyaan Daal Di Jaye To Wo Bhi Chalne Lage.

Jahannamiyon Ki Soortein Aisi Buri Hongi Ki Agar Koi Jahannami Apni Usi Soorat Ke Sath Duniya Me Laya Jaye To Uski Soorat Aur Uski Badboo Se Tamaam Log Mar Jaye Aur Unka
Badan Itna Bada Kar Diya Jayega Ki Unke Ek Kandhe Se Dusre Kandhe Ki Doori Tez Sawaar Ke Liye 3 Din Hogi Unke Badan Ki Khaal 42 Hath Ya 42 Gaz Ki Hogi Unke Zubaanein 2, 3 Km Tak Ghasit’ti Hogi Ki Log Us Par Pair Rakh Kar Guzrenge,unke Baithne Ki Jahag Itni Hogi Jaise Madeena Se Makka Aur Wo Jahannam Me Muh Sikude Hue Honge Unke Upar Ke Hont Simat Kar Beech Sar Ko Pahunch Jayenge Aur Unke Neeche Ka Latak Kar Naaf Tak Aa Jayega, In Mazaameen Se Yeh Pata Chalta Hai Ki Jahannam Me Kafiron Ki Soorat Insano Jaisi Nahi Hogi,

Is Liye Ki Insan Ki Soorat Ko Ahasane Taqweem Kaha Gaya Hai Aur Allah Ko Insan Ki Soorat Is Liye Pasand Hai Ki Insan Ki Soorat Uske Mahboob Humare
Aaqa Sallallahu T’ala Aleiyhi Wasallam Se Kuch Na Kuch Milti Hai,

Is Liye Allah Ne Jahannamiyo Ki Soorat Aadmi Ki Soorat Se Alag Kar Di Hai. Akhir Me Kafiron Ke Liye Yeh Hoga Ki Unme Se Har Ek Ko Unke Qad Ke Barabar
*Aag Ke Sandooq Me Rakha Jayega*»,,sandooq Me Aag Badkaai Jayega Fir Us Bakse Ko Aa Ke Ek Dusre Sandooq Me Rakha Jayega Aur Un Dono Ke Beech Aag Jalaai Jayegi Aur Us Dusre Sandooq Me Bhi Aag Ka Taala Lagaya Jayega Fir Us Bakse Ko Ek Teesre Aag Ke Sandooq Me Dala Jayega Aur Use Bhi Aag Ke Taale Se Band Kiya Jayega Aur Aag Me Daal Diya Jayega *Ab Har Ek Kafir Samajhega Ki Uske Siwa Ab Koi Bhi Aag Me Nahi Raha*» Aur Yeh Azaab Tamaam Azaabon Se Bada Hai Aur Humesha Uske Liye Azaab Hi Azaab Hai,jab Sab Jannati Jannat Me Dakhil Ho Jayenge Aur Jahannam Me Sirf Wohi Rah Jayenge Jin Ko Humesha Usme Rahna Hai,

Us Waqt Jannat Aur Douzakh Ke Beech Mout Ko Mendhe Ki Shakl Me Lakar Khada Kiya Jayega,

*Fir Jannat Walo Ko Pukara Jayega,wo Darte Hue Jhaakenge*»,, Ki Kahin Aisa Na Ho Ki Yahan Se Nikalna Pade, Fir Jahannamiyon Ko Aawaz Di Jayegi Woh Khushi Se Jhakenge Ki Shayad Unhe Is Musibbat Se Chhutkara Mil Jaye, *Fir Jannatiyon Aur Jahannamiyon Ko Wo Mendha Dikha Kar Puchha Jayega*» Ki Kya Tum Log Ise Pahchante Ho,to Jawab Me Sab Kahenge Ki Haan Yeh Mout Hai,

To Fir Woh Mout Zabah Kar Di Jayegi Aur Kaha Jayega Ki »*Aye Jannat Walo, Hameshgee Hai, Ab Mout Na Aayegi, 
Aur Aye Douzakh Walo,tumhe Ab Hamesha Jahannam Me Rahna Hai »*Aur Ab Tumhe Bhi Marna Nahi,

Us Waqt
Jannatiyon Ke Liye Behad Khushi Hogi Aur Jahannamiyon Ko Be Imtehaan Gum.
Allah Ta’ala Ham Sab Ki Jahannam Ke Azaab Se Hifaazat Farmaye..AAMEEN ...

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment