▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •Al-QURAAN• ╣

Jahannum Ki Gehrai aur Uska Azaab, ! ….
--------------
Al Quran: Jahannum Ki Gehrai Zameen Wo Aasman Ke Darmiyani  

-------Jahannum Ki Wussat (width) -------

 Mahfum-e-Hadees: Jahannum Me Girne Wala Patthar Sattar (70) Saal Ke Baad Jahannum Ki Teh Tak Ponhachta Hai..
– (Sahi Muslim)

 Mahfum-e-Hadees: Jahannum Ki Gehrai Zameen Wo Aasman K Darmiyani Faasle Se Zyada Hai..
– (Sahi Muslim)

Jahannum Ke Ek Ihaate (Gheraao) Ki 2 Walls Ke Darmiyan
40 Years Ki Musafat Ka Fasla Hai.
(Isey Abu Ya'ala Ne Riwayat Kiya Hai)

Jahannum Me Ek Ek Kafir Ke Kaan Aur Kandhe Ke Darmiyan
70 Yrs Ki Musafat Ka Fasla Hoga.

 1000 Aadmiyon Mese 999 Jahannum Me Jane Ke Bawajud Jahannum Me Jaga Bach Jayegi Aur Jahannum Mazeed Logon Ka Mutalba Karegi..

 Al-Quraan:Qayamat K Din Hum Jahannum Se Puchenge, *Kya Tu Bhar Gayi? Wo Kahegi Kya Aur Bhi Kuch Hai? »*
(Surah Qaaf_A.30)

 Mahfum-e-Hadees: Hazrat Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu Farmate Hain, Qayamat K Din Jahannum Ko *Maidan-E-Hashr Me Lane Ke Liye 4 Arab 90 Crores Farishte Muqarrar Honge. »* Uski 70,000 Rassiyan Hongi Aur Har Rassi Ko 70,000 Farishte Kheench Rahe Honge.
– (Sahi Muslim)


 To be Continue....

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment