▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Roze Ki Ahmiyat Aur Fazilat
--------------
 Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – ALLAH” TALA Farmata Hai: Admi k sab Aamal us ke liye hain lekin roza khas mere liye hai aur me khud he is ki jaza dun ga.
(Sahi.Bukhari, 1904)

Sarwar-e Kaunain (Sallallahu Alaihi Wasallam) Irshaad Farmate Haiñ - jo roze ki haalat mein behuda baatoñ ko tark na karey toh Allah Ta'ala ko aise shakhs ke roze ki zaroorat nahi ke bhooka pyasa rahe.*
(Bukhari Shareef.)

"Jo Jhut Aur Dhoka Dena (Roza Rakh Kar Bhi) Na Chhore To Allah Azzwajal Ko Iski Zarurat Nahi Ke Woh Apna Khana Peena Chhod De"
(Ref: Al Bukhari)

NABI E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya -
Roza Dhaal hai, Jab tak ke usko phada na jaye.
(Yane jhoot, ghibat, wagaira se use kharaab na kiya jaye ).
(Sunan e Nasai)

Ramzan Sabr Ka Maheena Hai Or Sabr Ka badla Jannat Hai. {Click-More..}
(Baihaqi Shubul Imaan ,hadith no:3455)

“ALLAH” Tala Irshad Farmata Hai - Aur Roze wale aur roze waliyan aur apni paarsai nigah rakhne wale aur nigah rakhne waliyan aur ALLAH ko bahot yaad karne wale aur yaad karne waliyan in sab ke liye ALLAH ne bakshish aur bada sawab tayar kar rakha hai.
(Tarjuma kanzul Iman-PARAH 22,SURAH AL EHZAB -35)
To Be Continue ….
☼ Ramzan Ki Fazilat | All Parts:
Views: 30625

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •AL-QURAAN aur HADEES• ╣

ZAKAAT NA DENE WAALE KA ANJAAM
--------------
Allah Taala Ka Irshad Hai
” Aur jo log sona chandi ka khazaana rakhte hain, aur allah ki raah me kharch nahi karte, unhe dardnaak azaab ki khabar pahuncha dijiye, jis din us khajaane ko aatish dozakh(hell fire) me tapaaya jaayega, PHIR USSE INKI PESHAANIYAN AUR PAHLUON AUR PEETH DAAGHI JAAYEGI, (aur unse kaha jaayega) ye hai jise tumne apne liye khazaana bana rakha tha, pas apne khazaano ka maza chakkho” {Click-More..}
– (Al Quran (surah tauba 35)

Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Farmaan Hai:-” “Allah” ne jisko maal se nawaaza aur phir usne zakaat ada nahi ki, QIYAMAT KE DIN USKA MAAL - SAANP (SNAKE) KI SHAKAL ME AAYEGA, jiski aankhon ke uper siyaah(black) nuqte honge, ye saanp uske gale(neck) ka tauq hoga aur uske jabde ko pakad lega aur kahega, main hoon tera maal, main hoon tera khazaana”– (Sahi Bukhari).


Kya Sayed Afzal Hai Aur Unpar Zakaat Haram Hai ? {read-more}

To Be Continue ….
☼ Zakat K Bare Me Farmane Ilaahi  | All Parts:
1 2 3 4 5 6
Views: 27611

                         *~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
                                      ●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●


╠ •HADEES E PAAK• ╣

Dua Shab e Qadr (Laylat ul Qadr)
--------------
 Mahfum-e-Hadees: Ummul Momin Hazrat Ayesha (Razi’Allahu Anha) Ne Arz Kiya Ki –
Aye Allah Ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм!
Agar Mujhe Shab-e-Qadr Naseeb Ho Jaye
Tou Kya Dua Karu?

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -  Ye Kahna
Allahumma Innaka ‘Afuwwuntuhibbul ‘Afwa Fa’fu ‘Anni”.
» Tarjuma: (Aye Allah Tu Muaf Karne Wala Aur Muaf Karne Ko Pasand Karta Hai So Mere Bhi Gunaah Muaf Farma De).
– (Sunan Ibn Majah, Vol 3, 731)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Ramazan Me 4 Cheezon Ki Kasrat Kiya Karo
--------------
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -
“Maahe Ramzaan Me 4 Cheezon Ki Kasrat Karo Inn Me 2 Cheezen Aesi Hain Jinke Zarye Ham Apne Rab Ko Raazi Kar Sakte Hain. Aur 2 Cheezen Aisi Hain Jinke Bagair Hamare Liye Koyi Charah Nahi ,.

Woh 2 Cheezen Jinke Zarye Hum Apne Rab Ko Raazi Kar Sakte Ho,
Woh Yeh Hain Kalmaye Taiyyebah 
“La Ilaha Illalahu Muhammadur Rasoolullah” Ka Wird Karna ,Aur Allah Täala Se Maghfirat Talab Karna.
Ab Rahi Woh 2 Cheezen Jinke Baghair Hamare Liye Koyi Charah Nahi,
Woh Yeh Hain, Ham Allah Se Jannat Ka Sawaal Karte Rahain Aur Dozakh Ke Azaab Se Allah Ki Panaah Maangen”.
 
(Baihaqi:3455)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●
  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
* *ROZE Ki Fazilat* *
Roza Rakhega Jo Koe Wo Ajar Payega
Farmane Kibriya Hai Wo Jannat Me Jayega

Allah Ki Meher Hogi Inayat Rasool Ki
Payega Rozedaar Shafaat Rasool Ki

Mehshar Me Rozadaar 
Wo Payega Martaba
Chamkega Vahan Chodwi K Chand Sa Chehra

Har Rozedaar Ko Bare In-aam Milenge
Peene K Liye Rehmaton Ke Jaam Milenge

Sab Mardo-zan "Allah" Ka Deedaar Payenge
Jitne Bhi Rozedaar Han Jannat Me Jayenge 

Jannat Kaya Hai
======♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ========

Farmane Kibriya Hai Ke Jannat Hai Kaya Suno
Quraan Me Tafseel Ye Likhhi Hai Momino

Jannat Me 
Bare Khushnuma Hain Mehal Or Makan 
Bagaat Han Mewe Ke Vahan Nehre Hain Rawan

Nehron Me Shahd, Doodh Hai Khushbu Hai Be Misaal
Thandi Hawayen Or Bahare Hain Ba-kamaal

Marne Ke Baad Jo Koe Jannat Me Jayega
Phir Wo Hamesha Nemate Jannat Ki Khayega

Khidmat Ko Vahan Milte Han- 
Gilmaan Hoor Bhi
Hoti Hai Vahan Har Ghari Barsaat Noor Ki

"Mumtaz"
 Is Darja Hongi Rehmate Parwar--digaar Ki
Hasrat Nikali Jayegi Har Rozadaar Ki {more..}

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●