▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
╠ •AL-Quraan aur HADEES• ╣
Roze Ka Maqsad aur Ahmiyat
--------------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – ALLAH” TALA Farmata Hai: Admi k sab Aamal us ke liye hain lekin roza khas mere liye hai aur me khud he is ki jaza dun ga.
(Sahi.Bukhari, 1904)

ROZE KA MAKSAD:
Allah Rabbul Izzat Ne Surah Baqraah Ki Aayat 183 Me Farmaya Aur Kaha:

╠ •Al-QURAAN • ╣
Aye Emaan Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gaye, Jaise Tumse Pichli Ummato Par Farz Kiye They Ta’ake Kahi Tum Taqwa(Parhezgaari) Ikhtiyar Karo”. 
(Al-Quraan 2:183)

 Taqwa - Waalon Ke Liye Allah Ke Paas Jannat Hai ….
*Hazrate Abi Bin Kaab Se Hazrate
Umar Bin Khat’taab (Razi’Allahu Anhu) Ne Puchha Ke ‘Taqwa Kya Hai ?’

Umar Bin Khat’taab (Razi’Allahu Anhu) Ne Kaha‘Kabhi Kaantodaar Raaste Me Chale Ho?Jaise Wahan Kapdo Ko Aur Jism Ko Bachate Ho Aise Hi Gunaahon Se Baal-Baal Bachne Ka Naam Taqwa Hai’.
(Tafseer-Ibn-Kaseer Jild:1 Page#75)

 
╠ •Al-QURAAN • ╣
“Ramzan Ka Wo Mahina Jisme Quraan Ka Nuzool Hua Insaniyat Ki Hidayat Aur Rahnumai Ke Liye” 
(Sureh: Al Ba-Karah 2: Ayat-185)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - “Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jaatey Hai ,. Hatta Ke Ek Bhi Band Nahi Rehta,Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaatey Hai Hatta Ke Ek Bhi Khula Nahi Rehta.Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jaatey Hai.
(Sahi Muslim)

"Jo Jhut Aur Dhoka Dena (Roza Rakh Kar Bhi) Na Chhore To Allah Azzwajal Ko Iski Zarurat Nahi Ke Woh Apna Khana 
Peena Chhod De"
(Ref: Al Bukhari)

NABI E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya -
Roza Dhaal hai, Jab tak ke usko phada na jaye.
(Yane jhoot, ghibat, wagaira se use kharaab na kiya jaye ).
(Sunan e Nasai)

Sarwar e Kaunain (Sallallahu Alaihi Wasallam) Irshad Farmate Haiñ - jo roze ki haalat mein behuda baatoñ ko tark na karey toh Allah Ta'ala ko aise shakhs ke roze ki zaroorat nahi ke bhooka pyasa rahe.*
(Bukhari Shareef.)

 Aye Imaan Walon!Tum Par Roza Farz Kiya Gaya.. jaisa unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..Taki Tum Gunaho Se Bacho,,
phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe), aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha admi Ya aisa bimar jiske tandurust Hone ki ummid na Ho) wo Fidya Den, Eik Miskeen Ka Khana phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
 (Surah Al-Baqarah [2:183-185] - Al-Qur'an al-Kareem)

"ALLAH Subhanahu ne Musafir aur Hamila pregnant) aurat ko Roze maaf farma diye hain,Anas bin malik (RadiAllahu Anhu) se rivayat hai,Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “ALLAH” Subhanahu ne Musafir ke liye Aadhi Namaz maaf farma di hai aur Musafir aur Hamila aur doodh peelaney wali aurat ko Rozey maaf farma diye hain..
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1667 -Hasan)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - KASAM Hai US ZAAT Ki Jiske KABZE QUDRAT Me MERI JAAN Hai. ROZEDAAR Ke MUH (Mouth) Ki BOO, ALLAH Taala Ke NAZDEEK MUSHK Se Zyada BEHTAR Hai.
{BUKHARI SHAREEF}

Ramzan Paaya Aur Uski Maghfirat Na Hosaki ..*_
Nabi E Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - Hazrat Jibreel (Alaihissalaam) Mere Paas Hazir Hue Aur Arz Kiye:Jis Shakhs Ne Mahe Ramazan Paaya Aur Uski Maghfirat Na Hosaki To Wo Aagh Me Gaya, Use ALLAH TAALA Apni Rahmat Se Dur Karde, (Aye Habeeb e Khuda ) Aap Ameen Kahe,*
Is par Main Ne Ameen Kaha..*
(Ibne Hibban,Hadith No:907)

NABI E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Ki Ahmiyat Kya Thi.
Hadees Me Aata Hai Ke,Jo Hi Ramzan Ka Mahina Kareeb Aata Tou NABI E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Kamarbasta Ho Jatey
(Sahih Bukhari , Vol 3, 2024)

» Yaani Tayyar Ho Jaatey,..
» Sadqe Aur Khairaat Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..
» Rozo Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Qiamullail Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Zikr-O-Azkar Ke Liye Tayyar Ho Jatey ,..
» Tilawatey Quraan Me Ijaafe Ke Liye Tayyar Ho Jatey.

Hazrate Abu MAsood Gaffari Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k
Huzoor-E-Aqdas (Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya “Agar Bandon ko maloom hota k ramzaan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti k poora saal ramzaan hi ho.(Ibne Khuzaima)

Ramzan Ki Raat me Qayaam ,….
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - “Jo Ramzan Ki Raat Me Allah Ta’ala Ke Waado Par Yakeen Karte Hue Aur Uss Ke Ajr Wa Sawaab Ke Shauk Me Namaz Padhta Ho,Uss Ke Pichle Sab Gunaah Muaf Ho Jaate Hai”.
(Bukhari Sharif)

 Ramzan Me Umrah Ka Sawaab Hajj Ke Barabar ….
Ibne Abbas (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai”.
(Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih)

╠ •Al-QURAAN • ╣
Ramzan Ka Wo Mahina Jisme Quraan Ka Nuzool Hua Insaniyat Ki Hidayat Aur Rahnumai Ke Liye”
[Sureh: Al Ba-Karah 2: Ayat-185]

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - “Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jaatey Hai ,Hatta Ke Ek Bhi Band Nahi Rehta ,Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaatey Hai Hatta Ke Ek Bhi Khula Nahi Rehta.Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jaatey Hai.
(Sahi Muslim)

Roza Tootne Ki Hadees:
KYA KHOON DENE SE ROZA TOOT TA HAI ?
Abu Saeed (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Rozedaar Ko Hijama Karwane Ki Ruksat Di.
(Darqutni, Tabarani, Bayhaqi)
(Irwa Ul Ghaleel Jild 4 Safa 75 Raqam 931)

QAY ( OOLTI) AANE PAR ROZA NAHI TOOT’TA.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -
“Jise Qaee Aajaye Is Par Roze ki Qaza Nahi Aur Jo Jaan Boojh Kar Qaee Kare Toh Is Par Qaza Hai.”
(Sunan Abu Dawood, Tirmizi, Nasa’i, Ibn Majah, Haakim)
(Saheeh Ul-Jami’ 6243) (Saheeh) Alfaaz Tirmizi Ke Hai)

Ibn Khuzaima Ke Alfaaz Hai:
 “Agar Rozedaar Khud Qaee Kare Toh Iska Roza Toot Gaya Aur Aagar Uss Par Qaee Galib Aagayi Toh Iska Roza Nahi Toota.”
(Saheeh Ibn Khuzaima 1960) (Isnaad Saheeh)

Imaam Bukhari (Rehmatullahi Alaihi) Kehte Hai:
Anas Ibn Malik (Razi’Allahu Anhu) Hasan Basri (Rehmatullahi Anhu) Aur Ibrahim Nakhi(Rehmatullahi Anhu) Ne Roze Ki Halat Me Surma Laga Ne Par Koi Karahat Nahi Samji.
(Sahih Al Bukhari, 451)
* * * * *


ROZE KI HALAT ME SAR PAR PAANI DAALNA YA PAANI NAHAA NE SE ROZA NAHI TOOT’TA.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Roze Ki Halat Me Pyaas Ya Garmi Ki Wajah Se Apne Sar Par Paani Daala Karte They.”
(Sunan Abu Dawood Hadees 2365)

TEL AUR SURMA LAGA NE SE ROZA NAHI TOOT THA.
Ibn Masood (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai “Jab Tum Me Se Kisi Ka Roze Ka Din Ho Toh Isey Chahiye Ke Woh Subha Tel Lagaye Aur Kangi Kare..”
(Imam Bukhari Ne As Saum: Al Agtesaal Lis Siyaam Me Taliqatan Zikr Kiya Hai)

Hazrat Aanas Bin Malik (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai,
“Woh Roze Ki Halat Me Surma Lagaya Karte Thein.”
(Abu Dawood) [Saheeh Abu Dawood 2082]

KOI KHANE KI CHEEZ KO CHAK NE SE ROZA NAHI TOOT’TA.
Hazrat Abdullah Ibn Abbas (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai:
“Koi Cheez Roze Ki Halat Me Chakhne Par Kuch Gunaah Nahi, Jab Tak Ke Wo Halaq Me Na Jaane Paaye,..”
(Sunan Baihaqi, Hadees 4/261)
(Ibn Abee Shaybah 9278)
(Mukhtasar Saheeh Bukhari: Aasar 361)
(Irwa Ul-Ghaleel Jild 4 Safa 86)* *

Daanto se khoon nikal kar halaq se niche utra or khoon thook se ziyada ya barabar ya kam (hi) hai magar uska maza halaq me maloom hua to in sab soorto me roza jata raha agar khoon kam tha or maza bhi maloom na hua to roza na gaya.
【Qanoon e Shariat Hissa 1 Safah 179】
                  &
MISWAK YA TOOTH PASTE ISTEMAAL KARNE SE ROZA NAHI TOOT’TA, IS BAAT KA QAYAAL RAKHEIN KE TOOTH PASTE ANDAR NA JAYE. Aur TOOTHPASTE YE WALA NA HO JO AAJ KE DOUR KA HAI,USKA TEST HALAQ K ANDAR TAK JATA HA

Ibn Umar (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai(Rozedaar) Din Ke Awwal Aur Akhri Hisse Me Miswak Kar Sakta Hai Magar Woh Is Ka Thook Na Nigle.
(Imam Bukhari Ne As Saum: Al Igtesaal Lis Siyaam Mein Taliqan Zikr Kiya Hai)

BHOOL KAR KHAA-PEE LENE SE ROZA NAHI TOOT’TA.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -
“Agar Koi Shakhs Bool Kar Khaa-Peele Tou Usey Chahiye Ke Wo Roze Ko Poora Kare, Kyu Ke Allah Ne Use Qilaya-Pilaya Hai.”
(Sahih Al Bukhari, Hadees 1933)
(Sahih Al Bukhari: Hadith 6669)
(Sahih Al Muslim: As-Siyaam, 171-(1155)
 Hazrat Abu Huraira Radiallahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshaad Farmaya - Jab MAAHE RAMDHAN AATA Hai Toh AASMAAN Ke DARWAAZE KHOL Diye Jaate Hai.JAHANNAM Ke DARWAAZE BAND Kar Diye Jaate Hai Aur SHAITAANO Ko KAID Kar Diya Jaata Hai.
(BUKHARI SHAREEF, VOL-1,PG NO-255)

Rozedaar Ka Shumaar Shohda Aur Swaleheen Me Hoga 
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kaha Ke“Aye Allah Ke Rasool,Agar Mai Gawahi Du Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Barhaq Nahi,Aur Namaz Qayam Karu, Aur Roza Rakhu Tou Mera Hisab Kin Logon Ke Sath Hoga ?”Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - Ke “Agar Tu Yeh Tin (3) Kaam Par Add Jaye Tou Tera Hisab Shohda Aur Swaleheen Ke Sath Hoga” 
(Ibne Hiban)

Jisne Rozadaar ka roza iftaar karaya uske liye uske barabar sawaab hai, Rozadaar ke sawaab me kuch kami hue bagair...
(Jame Tirmizi ,hadith no:807)

“ALLAH” Tala Irshad Farmata Hai - Aur Roze wale aur roze waliyan aur apni paarsai nigah rakhne wale aur nigah rakhne waliyan aur ALLAH ko bahot yaad karne wale aur yaad karne waliyan in sab ke liye ALLAH ne bakshish aur bada sawab tayar kar rakha hai.
(Tarjuma kanzul Iman-PARAH 22,SURAH AL EHZAB -35):

DIN KE ROZE PAR MADAD.
HAZRAT SAYYADNA IBNE ABBAS RADI ALLAHU TA'ALA ANHU se riwayat hai ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - "Sehri se din ke rozo par madad hasil karo aur din ke qeelula (yane aaram) se raat ke Qayam par madad hasil karo".
【IBNE KHUZAIMA,JILD -3,SAFAH-214】

Rozedaar Ke Liye Jannat Me Khaas Darwaze Se Istekhbaal:
Hazrate Sahal Ibne Saad (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Farmate Hain “Jannat Ke 8 Darwaze Hain, Unmey Ek Darwaze Ka Naam ‘Raiyyan’ Hai, Uss Darwaaze Se Wohi Jaayenge, Jo Roze Rakhte Hain”.
(Sahih Bukhari, Vol 3, 1896)
===================================
Aur ek maqam par irshad farmaya -khao aur piyo rachta hua sila uska jo tumne guzre dino me aage bheja.【Guzre dino se murad rozo ke din hai ke log inme khana peena chor dete hai】
(Tarjuma kanzul iman,PARAH -29,AL HAAQA-24)

NABI E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - 
Aur wo (Ramzan ) Sabar ka mahina hai aur Sabar ka sawaab Jannat hai aur ghamkhari ka mahina hai, Ye aisa mahina hai jisme Momin ka Rizq Badha diya jata hai.
(Baihaqi Shubul Imaan ,hadith no:3455)

Abu huraira (RadiAllahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -, Jisne imaan ke Saath sawab ki niyat se Ramazan ke roze rakhe uske pichle sare gunah bakhsh diye jayenge...
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1641-Sahih)

Hazrat e Sahal Ibne Saad رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Rehmat e Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Farmate Hain “ Jannat mein (8) darwaze hai un me ek darwaze ka naam 'Raiyyaan' hai usse darwaze se wohi jayeñge Jo roze rakhte hai.
(Bukhari Shareef)

"Iftar Ke Waqt Rozedar Ki Dua Radd Nahi Hoti.
Abdullah Bin
Amr Bin Aas (RaziAllahu Anhu) Se Rwvayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - “Iftar Ke Waqt Rozedar Ki Dua Radd Nahi Hoti”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1753-Hasan)

"Ramzan Me Nafl Ka Sawab Farz Ke Barabar Aur Farz Ka 
Sawab 70Guna(70 Times) Badha Diya Jata Hai"
(Ref: Al Tirmizi)

╠ •Al-QURAAN • ╣
Ramzan Ka Wo Mahina Jisme Quraan Ka Nuzool Hua Insaniyat Ki Hidayat Aur Rahnumai Ke Liye” 
[Sureh: Al Ba-Karah 2: Ayat-185]

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - “Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jaatey Hai,Hatta Ke Ek Bhi Band Nahi Rehta,Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaatey Hai Hatta Ke Ek Bhi Khula Nahi Rehta,Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jaatey Hai.” 
(Sahi Muslim)

Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Ke “Ramzan Aaya,Ye Barkat Ka Mahina Hai,Allah Ta’ala Ne Iske Roze Tumpar Farz Kiye,Isme Aasman Ke Darwaze Khol Diye Jaate Hai,Aur Dozakh Ke Darwaaze Bandh Kar Diye Jaate Hai,Aur Sarkash Shaitaanon Ke Tauqe Daal Diye Jaate Hain”.
(Nasai Sharif)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya -
Ilm ki fazilat ibadat ki fazilat se badh kar hai aur tumhare
 deen ka behtaren amal taqwa yane parhezgari hai.
(Tabrani,hadith no:3960)
===========
Hazrat Anas Radiallahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - SEHRI Kiya Karo Kyunki SEHRI Me BARKAT Hai.
(BUKHARI SHAREEF, VOL-1,PG NO-257)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Irshaad Farmate Han - Ke HAMARE Aur AHLE KITAAB Ke ROZO Ke Darmiyaan FARK SEHRI KHAANE Me Hai.
(ABU DAWOOD SHAREEF.TIRMIZI SHAREEF)

Huzoor Shaafi e Mehshar (Sallallahu Alaihi Wasallam) Irshaad Farmate Han - Ke Allah” aur uske Farishte sehri karne wale par rehmat nazil farmate hai.
(Abu Dawood Shareef)

=========== Jisne Allah Ki Riza Ke Liye ek Din Ka Roza Rakha
Allah” Pak Use Jhannam Se itna Door Kar Dega jaise Kawwa jab Bachcha Tha us WAQT Se udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara
{المسند، للإمام أحمد بن حنبل، الحديث-619}

Agar Kisi Ne Eik Din Ka Nafli roza (ramzan Ke ilawa) Rakha Aur Zameen Bhar Use Sona Diya jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hua,Uska Sawab (sahi badla) To Qayamat Ke Din Hi Milega
{مسند أبي يعلي. الحديث-6104}


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment