╠ •Al-QURAAN• ╣

Ramzaan Ke Roze Ki Fazilat Quraan-O-Hadees Ki Roshni Me
--------------
 Aye Imaan Walon!Tum Par Roza Farz Kiya Gaya.. jaisa unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..Taki Tum Gunaho Se Bacho,,
phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe), aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha admi Ya aisa bimar jiske tandurust Hone ki ummid na Ho) wo Fidya Den, Eik Miskeen Ka Khana phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai, Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
 (Surah Al-Baqarah [2:183-185] - Al-Qur'an al-Kareem)

"ALLAH Subhanahu ne Musafir aur Hamila (Pregnant) Aurat Ko Roze maaf farma diye hain,Anas bin malik (RadiAllahu Anhu) se rivayat hai,Ki Rasool ALLAH (Sallallhu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, - ALLAH Subhanahu ne Musafir ke liye Aadhi Namaz maaf farma di hai aur Musafir aur Hamila aur doodh peelaney wali aurat ko Rozey maaf farma diye hain..
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1667 -Hasan)


Me Roze Se Hun!
 Mahfum-e-Hadees: Aadmi Ke Nek Kaam Ka Badla 10 Se 700 Tak Diya Jata Hai... Allah Tala Ne Farmaya Magar Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi uski Jaza Dunga... Banda apni Khwahish Aur Khane Ko Meri Wajah Se Chhod Deta Hai... Rozadar Ke Liye 2 Khushiyan Hain Eik iftar Ke WAQT Aur Eik Apne Rab Se Milne Ke WAQT Aur Rozadar Ke Muh Ki Boo Allah Ke Nazdeek Mushk Se Pakizah Hai... Aur Roza Dhaal Hai (admi ke liye Bachao ka Hatiyar) Aur Jab Koi Roze Se Ho To Be-hudah Na Bake Na Chillaye... aur jab Koi Rozadar Se Gali (Gaali Galoch) Kare Ya Ladne Ko Aaye To Kahe Mai Roze Se Hun.
– {مشكاة المصابيح، كتاب الصوم، الفصل الأول، جلد-1، صفحہ-541، الحديث-1959}

Hadees-e Mafhoom: Jisme Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Roza Dhaal hai. Jab tumme se koi Roze Se Ho to Behayai Ki Baten Na Kare  or Shor na kare.Agar koi Use Gaali de ya usse Ladai Jhagda kare to kehde ME ROZE DAR HU.
– (BUKHARI)

Roze Ki Fazilat!
Roze ki fazilat Me Ba-kasrat Hadeesen Aain Hain, Huzoor Sarkare 2 Aalam Janabe Muhammadur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Muqaddas irshadaat Roze Ki Fazilat Me Ye Hain.

 Mahfum-e-Hadees: Jab Ramzan Aata Hai Rehmat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, aur Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain,,,, Aur Shayateen Zanjiron Me Jakad Diye Jate Hain
– {صحيح مسلم، كتاب الصيام، باب فضل شهر رمضان، الحديث-1079}

 Mahfum-e-Hadees: Hazrat ibne ABBAS رضی اللہ عنہما Se Riwayat Hai Jab Ramzan Ka Mahina Aata To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tamam Qaidyon Ko Riha Farma Dete Aur Har Mangne Wale Ko Ata Farmate
– {{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان، ج-3، ص-311، الحديث-3629}

 Mahfum-e-Hadees: Hazrat Salman Farsi رضی اللہKehte Hain Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Shaban Ke Akhri Din Waz Farmaya,,, Farmaya Ki Aye Logon Tumhare Pas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya Wo Mahina Jisme eik Raat Hazaar Mahino Se Behtar Hai,,, iske Roze Allah Ne Tum Par Farz Kiye, Aur iski Raton Me Qayam (namaz Padhna) aur jo isme Neki Ka Koi Kaam Kare To Aisa Hi Hai jaise kisi Aur Mahine Me Farz Ada Kiya...

Aur isme Jisne Farz Ada Kiya Aisa Hi Hai Jaise Aur Dino Me 70 Farz Ada Kiye.... Ye Mahina Sabr Ka Hai Aur Sabr Ka Badla Jannat Hai, aur Ye Mahina Hamdardi Ka Hai, is mahine Me Momin Ka Rizq Badha Diya jata Hai.. aur jo isme Roza Dar Ko aftar Karaye uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai, aur uski Gardan Aag (Dozakh) Se Azad Hogi.. aur aftar Karane Wale Ko Aise Hi Sawab Milega Jaisa roza rakhne Wale Ko Milega..... hum Ne (sahaba ne) pucha Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hum Me Har Shakhs Wo Chiz Nahi Pata Ki Rozadar Ko Aftar Karaye, Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Allah pak Ye Sawab Har Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo eik Ghunt Doodh Ya Eik Khajoor Ya Eik Ghunt pani Se Roza Aftar Karwaye...

Aur Jisne Rozadar Ko Bhar Pet Khana Khilaya Use Allah Pak Mere Hauz (hauze kausar) Se pilayega Aisa Ki Kabhi Pyasa Na Hoga Yahan Tak Ki Jannat Me Dakhil Hoga.. Ye Wo Mahina Hai Jiska Awwal (10 din) Rehmat, jiska Awsat (11 se 20 din) Magfirat, jiska Aakhir {21 se akhri tak) Jahannam Se Azadi Hai.. Jo is Mahine Me Apne Gulam (kaam karne wale.nokar chakar mazdoor) Par Kaam Me Takhfeef (kami) Kare Allah Tala Use Bakhsh Dega Aur Jahnnam Se Azad Farmayega.
– {{شعب الایمان، باب في الصيام، فضائل شهر رمضان المبارك، ج-3، ص-305، الحديث-3608}

 Mahfum-e-Hadees: Jannat Me 8 Darwaze Hain Unme Eik Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, us Darwaze Se Wahi Jannat Me Jayenge Jo Roza Rakhte Hain.
– {{صحيح البخارى، كتاب بدء الخلق، باب صفةابواب الجنة، ج-1، ص-394، الحديث-3257}

 Mahfum-e-Hadees: Roza Aur Quran Bande Ki Shafa'at Karenge.. Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se ise Din Me Rok Diya.. meri shafa'at iske HAQ Me Qubool Farma... Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz rakha Meri Shafa'at iske HAQ Me Qubool Farma Dono Ki Shafa'aten Qubool Hogi.
– {المسند، للإمام أحمد بن حنبل، ج-2، ص-586}

 Mahfum-e-Hadees: Jisne Allah Ki Riza Ke Liye eik Din Ka Roza Rakha Allah Paak Use Jahannam Se itna Door Kar Dega jaise Kawwa jab Bachcha Tha us WAQT Se udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara
– {المسند، للإمام أحمد بن حنبل، الحديث-619}

 Mahfum-e-Hadees: Agar Kisi Ne Eik Din Ka Nafli roza (ramzan Ke ilawa) Rakha Aur Zameen Bhar Use Sona (Gold) Diya jaye Jab Bhi Uska Sawab Pura Na Hua... uska Sawab (sahi badla) To Qayamat Ke Din Hi Milega.
– {مسند أبي يعلي. الحديث-6104}

 Mahfum-e-Hadees: Hazrat Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hain.

Jab Ramzan Ka MAHINA Aata To Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Kamar (Himmat) Kass Lete, Aur Apne Bistar Par Tashrif Na Late... Yahan Tak Ki Ramzan Guzar Jata.
– {شعب الایمان للبيهقي، فضائل شهر رمضان، جلد-3، صفحہ-310}

Aur Aakhri Ashre Ke Bare Me Farmati Hain.

 Mahfum-e-Hadees: "Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Akhri 10 Dino Me Jo Koshish Farmate (Ibadat Ke Silsile Me) Wo BAQI Dino Me Nahi Farmate
– {صحيح مسلم، باب الاجتهاد في العشر الأواخر......إلخ، جلد-1، صفحہ-382}

 Mahfum-e-Hadees: IBNE KHUZAIMAH Ne ABU
MASOOD Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hai
Farmaya Allah Ke Rasool’ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho.
{صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان......إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886}


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

2 comments:

Zeehack said...

hi

Anonymous said...

ddddd

Post a Comment