▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
….. ….. ….. …..
 2nd – FAZILAT  – Nuzul-e-Quraan Ke Liye Iss Mahine Ka Intekhab Kiya:
Iski Dusri Sabse Badi Failat Ye Hai Ke “Allah” Rabbul Izzat Ne Iss Mahine Ka Intekhab Apni Aakhri Kitab Qurane Majid Ko Nazil Karne Ke Liye Kiya,…
…Andaza Lagaiye Kitni Aham Baat Hai Ye Ke – “Allah” Rabbul Izzat Ne Apna Aakhri Qalam Utara ,.. Jiske Talluk Se “Allah” Taala Ne Quraan Hi Me Bayan Farmaya Ke –Al-Quraan:Ramzan Ka Wo Mahina Jisme Quraan Ka Nuzool Hua Insaniyat Ki Hidayat Aur Rahnumai Ke Liye” 
– [Sureh: Al Ba-Karah 2: Ayat-185]
…. Isiliye Ramzan Ka Mahina Quraan Ka Mahina Bhi Kehlata Hai ,.

*Aur Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Mamool Tha Ke Har Ramzan Aap Ek Quraan Ki Tilawat Puri Kartey They ,..*Tarawih Me Quraan Pura Karna Achi Baat Hai ,..
Lekin 
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tilawat Bhi Karte They,…
*Tou Koshish Karey Ki Hum Bhi Ek Quraan Pura Tilawat Karey Har Ramzan,..

…Aur Kyunki Humari Zaban Arbi Nahi Hai Tou Hum Koshish Ye Karey Ki Har Ramzan Ek Quraan Tarjume Se Padhu,.. Kum-Se-Kum Saal Me Ek Baar Tou Pata Chale Ke Humara Rab Humse Kya Chahta Hai,….

*Aur Ramzan Se Baad Tak Agley Ramzan Tak Ek Tafseer Padh Lu ,…*Tafseer Ka Fayda Ye Hoga Ke Unn Ayato Ke Ahqamat Kaise Hai ?… Unki Gehrayiya Kya Hai ?….. Unki Hikmatey Kya Hai ?….. Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aur Sahaba Ke Aqwal Kya Hai Iske Andar Ye Sab Jan’ne Ke Liye Mufasareen Ki Tafseer Padhiye,..

…. Agar Aisa Mamool Hum Bana Ley Tou Andaza Lagaiye Ilm Me Kya Ijafa Hoga Humare ,.. Jehan Bhi Khulega,…. Amal Me Pukhtagi Bhi Aayegi ,.. Aur In’sha’Allah-Ul-Azeez Hum Majbut Momin Banenge ….

*Tou Koshish Karey Ke Ramzan Me Ek Tarjume Se Quraan Padhu Aur Baad Ramzan Saal Bhar Ek Tafseer Padhu Aur Uss Se Apne Ilm Me Ijafa Karu,..
* * * * *
 2nd – FAZILAT  – Iss Mahine Nekiya Karna Aasan Ho Jaata Hai:
 Mahfum-e-Hadees: Hai Ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya -
“Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jaatey Hai ,. Hatta Ke Ek Bhi Band Nahi Rehta ,..
Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaatey Hai Hatta Ke Ek Bhi Khula Nahi Rehta ,..
Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jaatey Hai ,..”

– (Sahi Muslim) 
… Subhan’Allah!!! Kya Fazilat Hai Iss Mahine Ki Jara Gour Kijiye…
Accha Yaha Aap Ek Aur Baat Bhi Soch Saktey Hai Ke Abhi Jannat Me Koun Gaya Hai Aur Jahannum Me Koun ? Wo Sab Tou Qayamat Ke Baad Jayenge.. Tou Kyu Jannat Aur Jahannum Ka Tazkira Hadees Me Aa Raha Hai ?

*Darhakikat Ye Jannat Ke Darwaze Kholna Aur Jahannum Ke Darwaze Band Karna Ye Ek Alamat Hai,.. Ye Ek Ishara Hai Ke – “Iss Mahine Apne Rab Ki Ita-at Kar Ke Apni Magfirat Haasil Kar Lo ,.. Aam Hai Magfirat …”*Aur Jahannum Ke Darwaze Band Kar Diye Hai Allah Ne Iss Mahine – Yaani Allah Ta’ala Ailaan Kar Raha Hai Ke Apni Masiyat Se Rook Jao , Mujhse Taubah Kar Lo ,..Dekho Band Kar Liya Hai Humne Jahannum Ko … ”

….Tou Iss Hadees Me Alamat Bayan Farmayi Allah Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Ke Iss Mahine Aasan Hai Neki Ka Karna ,..

*Lihaja Apne Maasiyat Apne Gunaaho Se Sacchi aur Pakki Taubah Kar Ke Rab Ki Rehmato Ka Mustahiq Hone Wala Azeem Mahina Hai Ye..
* * * * *
 In’sha’Allah-ul-Azeez! 
Allah Taala Kehne Sun’ne Se jyada Hame Amal ki Taufiq De,….

To be Continue …
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment