▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •AL-QURAAN aur HADEES• ╣

Shab-e Qadar Ki Fazilat Quran aur Hadees Ki Roshni Me
--------------
♥ Quraan-e-Kareem - Insaniyat Ke Liye Ye Sabse Badi Aur Sabse Azeem Neymat Hai ,.. Iski EK Sabse Badi Fazilat Yeh Bhi Hai Ke –

“Jis Raat Ye Kitab Nazil Hui Uss Raat Ki Ibadat Ko Allah Rabbul Izzat Ne Hazaar(1000) Mahino Raato Ki Ibadat Se Afzal Karar Diya,.. ”

» Jiski Gawahi Rabbul Izzat Ne Apni Kitab Me Di Aur Farmaya –
• Tarjuma:
* “Ke Humne Iss Quraan Ko Qadr Aur Manjilat Waali Raat Me Utaara” – (Ad-Dukhan (44) Aayat 4)
* “Aye Musalmano Kya Cheez Hai Ke Tumhe Bataye Lailatul Qadr Kya Hai ? Ke Lailatul Qadr Hazaar Mahino Se Jyada Afzal Hai.. (Hazar Mahine Yaani 83 Saal Aur 4 Mahine) ..”– (Surah-tul-Qadr (97) Ayat 1 se 3).

*Tou Andaza Lagayiye Ke Jiss Kitaab Ke Nazil Hone Ka Ye Sabab Ho Ke Jis Raat Ye Utari Jaye Agar Uss Raat Ki Ibadat Ka Ye Sawab Hai Tou Iss Kitab Ki Fazilate Kya Ho Sakti Hai Bus Andaza Hi Lagaya Ja Sakta Hai.. Sirf Gumaan Hi Kiya Ja Sakta Hai

* Aur Yeh Shabe Qadr Ki Raat Hum Sab Jaantey Hai Ke Ramzan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato Me Se Koi Ek Raat Hoti Hai. Yaani 21, 23, 25, 27 Ya 29

* Iss Kitab Ke Talluk Se Aahadees Me Itni Beshumar Fazilate Aayi Hai Ke Tamam Fazilato Ko Bayan Karna Humare Liye Mushkil Hai… Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Chand Aahadees Ke Hawalo Se Iss Kitab Ki Fazilat Ko Jan’ne Ki Koshish Karte Hai

1). Hadees: “Tum Me Behtareen Log Wo Hai , Jo Quraan Sikhey Aur Dusro Ko Sikhaye” – (Sahih Bukhari H#545)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●



0 comments:

Post a Comment