▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄   

╠ •Al-QURAAN• ╣

Jahannum Ke Sabse Nichley Gadhey Me Azaab, ! ….
--------------
Al Quran: *Jis Trah Jannatiyo Ka Maqaam Bulandiyo Par Hai ,..
*Usi Tarha Gunahgaro Ke Azab Ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion Me Hai»*
*Lihaja Jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab Ki Shiddat Bhi Utni Sakht,…

-------Munafiqo Par Azaab -------

# Munafiqat Kya Hai aur Unhe Itni Sangeen Saza Kyu ?
Allah Ke Nazdeeq”*Shirk Aur Kufr Se Bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat)»* Hai.
Yaani Koi Shakhs Jo Andar Se Kafir-wa-Mushrik Hai Aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan Ka Dawa Karey.
Ta’aki Momino ki Safo me Daakhil hokar Unme Inteshar Faila Sakey ,..
– Aise Shakhs Ko Munafiq Kaha Jata Hai Jo
Allah Ke Nadeez*Sabse Bada Gunahgaar»* Hai.
* Isiliye Aise Munafiqo Ke Sangeen Jurm Ke Sabab Allah Rabbul Izzat Ne
Jahnnnum Ki
Sabse Gehrayio Me Azab Rakha Hai
Jiske Talluk Quraan Me Allah Taala Farmata Hai –

Al Quran:Munafiq Wo Hai Jo Jahannum Ke Sabse Nichley Gadhey Me Rahne Waley Han”
(Surah(4) Nisa; Aayat-145)

# Munafiqo Ki Sifat: Aur Aise Shakhs Ki Sifat Bayan Karte Hue ,
Allah Ke
Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki –
Mahfum-e-Hadees: Chaar Aadatey Aesi Hai Ki,
*Jinkey Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga.»*
Unn Chaar Me Se Agar Koi Ek Paayi Jaayegi Tou Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi,
Yahan Tak Ki Usey Chhor De”.
∗(1). Jab Boley Tou Jhoot Boley.
∗(2). Waada Karey Tou Poora Na Karey.
∗(3). Lade-Jhagde Tou Gaali Bakey.
∗(4). Muaahida(Deal) Kare Tou Dhoka De.
(Sahih Al-Bukhari, Hadith no.2459)

# Beharhaal Hum Sabko Gour Karna Chahiye Ke Ye Saari Sifat Kahi Hum’me Tou Nahi?
*Jhooth, Wada-Khilafi, Gaali-galoch aur Dhoka Kahi Humara Shaiwa Tou Nahi ?
*Kahi Hum Naam Ke Hi Musalman aur Sifat Ke Munafiq Tou Nahi ? ,…
*Tou hume Chahiye Ke In Tamaam Mu’amlo Me Bohot Ahtiyat Karey ,..
Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufiq Ata Farmaye.


To be Continue...

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

1 comments:

Anonymous said...

Ameen Jazakillaho khairan ❤️

Post a Comment