▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Allah Ka Zikr (zikar) aur Yaad Ki Fazilat....,"!...
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Al-Quraan:Beshak Allah Ki Yaad Se Hi Dilo Ko Sukun Milta Hai.
(Surah Ar-Rad (13) , Verse 28)
-------------
 Al-Quraan:Aur Allah Ko Bahut Yaad Karne Waley Mardo Aur Bahut Yaad Karne Wali Aurton Ke Liye (Allah Ne) Bakhshis Aur Bada Ajar Tayyar Kar Rakha Hai Hai.
(Surah Al Ahzab (33) : Verse 35)
-------------
 Al-Quraan:Aur Jo ALLAH Ki Yaad Se Ghafil Ho Jata Hai To Hum Us Par Ek Shaitan Muqarrar Kar Detey Hain Phir Wo Uska Saathi Ban Jata Hai.
(Surah Az-Zukhruf (43) , Verse 36)

-------------
 Mahfum-e-Hadees: – Hazrat Abdullah Bin Busr Radhi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Ek Shaks Ne Rasool’allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) - Se Arz Kiya Ya Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Islam Ke Ahkam Bahu Zyada Ho Gaye Hain , Aap Mujhe Koi Aisee Cheez Bata Dijiye Jisko Mein Hamesha Ke Liye Ikhtiyar Kar Lu To Aap (ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм) Ne Farmaya -Tumhari Zuban Ko Har Waqt Allah Subhanahu Ke Zikr Se Tar Rakho.  
– (Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1299-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment