▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Lailaha Illallah Kahne Ki Fazilat"...!..
--------------
1.  Mahfum-e-Hadees:   “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Shaksh Bhi Ikhlas Ke Saath (Sachche Dil Se) La Ilaha Illallah Kahta Hai To Uske Liye Aasman Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Yaha Tak Ki Wo Kalma Arsh Tak Pahuch Jata Hai Aur Wo Usee Haal Mein Tab Tak Rahta Hai Jab Tak Banda Kabira Gunah Na Kare (Yani Jaise Hi Isko Padhne Wala Banda Kabira Gunah Karta Hai To Uska Kaha Hua Wo Kalma Arsh Se Dur Ho Jata Hai).
– (Jamia tirmizi, jild 2, 1513- Hasan)
--------
2.  Mahfum-e-Hadees:  “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Bhi (Ek Baar) La Ilaha Illallah Kahega Uske Liye 20 Nekiya Likhi Jayengi Aur 20 Gunah Mita Diye Jayenge.
– (Masnad Ahmed, 7813-Sahih)
--------
3.  Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Qayamat Ke Din Sabse Ziyada Meri Shafaat Usko Naseeb Hogi Jo Sachche Dil Se La Ilaha Illallah Kahe.
– (Sahih Bukhari , Jild 1, 99)
--------
4.  Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Shaksh Mar Jaye Aur Usko Is Baat Par Yakeen Ho Ki Allah Ke Siwa Koi Bhi Ibadat Ke Layaq Nahi To Wo Jannat Mein Jayega.
– (Sahih Muslim, Jild 1, 136)
--------
5.  Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Apne Beemaro Ko Jo Maut Ke Kareeb Ho Usko La Ilaha Ilallah Padhne Ki Talqeen Karo.
– (Sahih Muslim, Jild 2,2123)
--------
6.  Mahfum-e-Hadees:  Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – *Afzal Zikr La Ilaha Illallah»*Hai.
– (Sunan ibn Majah, Jild 1, 681-Hasan)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment