▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Kisi Ke Bare Me Hashr Ke Daawe Karne Se Ahtiyaat."...!...
--------------
  Mahfum-e-Hadees:  Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
*Bani Israeel Me Do Shakhs They Inme Se Ek Tou Gunaahgar Tha Aur Dusra Ibadat Me Koshish Karney Wala Tha, Ibadat Ki Koshish Karne Wala Hamesha Dusre Shakhs Ko Gunaah Karta Hua Hi Dekhta Tha Aur Uss Se Kehta Tha Ki Inn Gunaaho Se Rook Ja.
Ek Roz Uss (Aabid yaani Ibadat Karnewale Ne) Kisi Ko Gunaah Kartey Huye Paya Tou Uss Sey Kaha Ki Iss Se Rook Ja!
Tou Gunaahgar Ne Kaha Ki “Mujhe Mere Rab Ke Saath
Chorh De, Kya Tu Mujh Par Nigahban Bana Kar Bheja Gaya Hai ? ”
Usney Kaha Ki Allah Ki Qasam Allah Ta’ala Teri Maghfirat Nahi Karenga! Ya Kaha Ki Allah Ta’ala Tujhe Jannat Me Dakhil Nahi Karenga”.
Phir Unn Dono Ki Rooh Qabz Kar Le Gayee Tou Dono Ki Roohain Allah Rabbul Aalameen Ke Samne Jamaa Huyee, Aur Allah Ta’ala Ne Aabid (Ibadatguzar) Se Farmaya Ki, “Kya Tu Uss Cheez Par Qadir Hai Jo Mere Qabza-e-Qudrat Me Hai?”, Aur
Gunaahgar Se Farmaya Ki, “Ja Jannat Me Dakhil Ho Ja Meri Rahmat Ke Baadaulat”
Aur Dusre(Ibadat aur Daawaa Karnewale) Se Farmaya Ki Usey Jahannam Ki Taraf Le Jao”,
Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Farmatey Hai Ki – Qasam Hai Uss Zaat Ki Uss Aabid Ne Aisa Kalma Kah Diya Jisney Uski Duniya Aur Aakhirat Dono Tabah Kar Di.
– (Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469 (Sahih
)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment