▁  ▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

"Kisi Cheez Ke Nuqsan Ya Naimat Ke Chale Jane Par Padhne Ki Dua...,!..;"
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Umm Salma (Hind Bint Abu Umayya) Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Agar Koi Musalman Jisko Koi Museebat Pahuche Aur Wo Ye Kahe Jiska Allah Subhanahu Ne Usko Hukm Farmaya. 

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajeuun , Allahumma Ajurni Fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha

Tarjumah : Beshak Hum Allah Ke Hain Aur Usee Ki Taraf Laut Kar Jane Wale Hain ,Eh Allah Mujhe Meri Museebat Par Ajar De Aur Mujhe Is Se Behtar Naimat Ata Farma

To Allah Subhanahu Usko (Zaya Naimat Se) Behtar Naimat Ata Farma Dega
Umm Salma Radi Allahu Anha Farmati Hain Ki Jab (Unke Shohar) Abu Salma Radi Allahu Anhu Ki Wafat Ho Gayee To Maine (Dil Mein) Socha Ki Kaunsa Musalman Abu Salma Radi Allahu Anhu Se Behtar Ho Sakta Hai Wo Pahla Gharana Hai Jisne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ki Taraf Hijrat Ki Phir Maine Ye Dua Padhi To Allah Subhanahu Ne Mujhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ki Surat Mein Us Naimat Ka Badal Ata Farmaya Aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Hatib Bin Abu Batla Radi Allahu Anhu Ko Mere Paas Unke Nikah Ka Paigam Dekar Bheja.
– (Sahih Muslim, Jild 2, 2126)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment