▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  


╠ •HADEES E PAAK• ╣
"Zikr Allah Ki Fazilat aur Ahmiyat Ka Bayaan"...!..
--------------
 Mahfum-e-Hadees: - Hazrat Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu)Aur Abu Sayed Qari (Razi’Allahu Anhu) Dono Hazrat Iss Baat Ki Gawaahi Dete Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Fermaya,
“Jo Jamaat Allah Ta’ala Ki Zikr Me Mashgul Ho Farishte Iss Jamaat Ko Gher Lete Hai,
Rehmat Inn Ko Dhamp Leti Hain Sakaina Inn Per Nazil Hoti Hai
Aur Allah Ta’ala Inn Ka Tazkarah Farishto Ki Majlees Me Farmata Hai.”
– 
(Muslim Sharif)

Zikr-E-Ilahi Me Mashgul Raha Karo

Mahfum-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Kisi (Zaalim) Baadshah Per Bad’dua Me Mashgul Rehne Ke Bajay
Zikr (Zikr-e-Ilahi) Me Mashgul Raho,.”

– 
(Mishkat Sharif)
Dua: Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika”(Tarjumah:  Ya Allah! Meri Madad Kar Tera Zikr Karney Me,
Aur Tera Shukr Ada Karney Me Aur Teri Achchi Ibadat Karney Me)

– (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1509 ( Sahih)

 Unn Logo Me Se Na Ho Jaana Jo Ghaflat Me Padey Huve Hai

Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Apne Parwardigar Ko Dil Hi Dil Me Aajzi Aur Khauf Se
Aur Past(Halki) Aawaz Se Subha Shaam Yaad Karte Raho
Aur Dekhna Unn Logo Me Se Na Ho Jaana Jo Ghaflat Me Padey Huve Hai.”

– 
(Surah Al Araf : Aayat-205)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment