▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

3 Martaba Astagfaar Padhne Ki Fazilat
--------------
 Al Quran: ALLAH Subhanahu Tauba Karne Walon Se Muhabbat Karta Hai 
(Surah Al-Baqara (2), # 222)
------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jisne

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ 
Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 
Kaha To Uske Gunah Maaf Kar Diye Jayenge Chahe Wo Maidan E Jung Se Bhag Gaya Ho
------
♥ Tarjuma: Main ALLAH Se Apne Gunaho Ki Maafi Maangta Hu Jiske Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi , Jo Zinda Aur Hamesha Rahne Wala Hai Aur Main Usee Ki Taraf Tauba Karta Hu)
– (Sunan Abu Dawud,Jild 1,1504-Sahih)
------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Eh logo Allah Subahanhu Se Tauba Karo, Main Din Mein 100 Martaba Allah Subhanahu Se Tauba Karta Hu.
– (Sahih Muslim, Vol 6,6859)
------
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya - Beshaq Allah Izzat Aur Buzurgi Wala Raat Ko Apna Haath Phailata Hai Taki Din Ke Gunaahgar Tauba Karey Aur Haath Phailata Hai Din Ko Taki Raat Ke Gunaahgar Tawba Karey , (Allah Isi Tarah Tawba Qubul Karega) Yahan Tak Ki Afatab Nikley Paschim Se.(Yani Qayamat Tak)
– (Sahih Muslim , V ol6, 6989)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment