▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  
╠ •HADEES E PAAK• ╣
"Shab-O-Roz Parne Jane Wale Nek Kalimaat..!.."
--------------
 Mahfum-e-Hadees: - Share Karne Se Pahle Ek Baar Jarur Pura Padhkar Sawab Hasil Kar Liiyega.
-------------
 La ilaha illAllah
-------------
 Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
-------------
 La Quwwata illa billah
-------------
 SubhanAllahi wa biHamdihi
 Subhan-Allahil-Azeem
-------------
 Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
-------------
 Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed
-------------
 Mahfum-e-Hadees  1 : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Bhi (Ek Baar)
✦ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
La Ilaha Illallah Kahega Uske Liye 20 Nekiya Likhi Jayengi Aur 20 Gunah Mita Diye Jayenge.
– (Masnad Ahmed, 7813-Sahih) 
-------------
 Mahfum-e-Hadees  2 : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Koi Dil Se
✦ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Alhamdulillahi Rabbil Aalamin Kahega

(Yani Zuban Ke Saath Dil Se Bhi Iska Yakeen Ho Ki Tamam Tarife Allah Ke Liye Hain Aur Wahi Sare Jahan Ka Palne Wala Hai) To Uske Liye
30 Nekiya Likhi Jayegi Aur 30 Gunah Mita Diye Jayenge.
– (Masnad Ahmed, 7813-Sahih) 
-------------
 Mahfum-e-Hadees  3: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
✦ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
La Haula Wa La Quwwata Illa Billah Zyada Padha Karo Kyunki Ye Jannat Ke Khazano Mein Se Ek Khazana Hai.
– (Jamia Tirmizi,Jild 2, 1524-Sahih) 
-------------
 Mahfum-e-Hadees  4 : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Do Kalme Jo Zuban Par Halke Hain Aur Meezan (Taraju) Mein Bahut Bhari Hain Aur Rahmaan Ko Bahut Aziz Hai.
✦ سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi
Subhan-Allahil-Azeem
– (Sahih Bukhari, Jild 6, 6406) 
-------------
 Mahfum-e-Hadees  5 : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – jisne,

✦ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
**********
Kaha To Uske Gunah Maaf Kar Diye Jayenge Chahe Wo Maidan E Jung Se Bhag Gaya Ho.

Tarjuma : Main ALLAH Se Apne Gunaho Ki Maafi Maangta Hu Jiske Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi , Jo Zinda Aur Hamesha Rahne Wala Hai Aur Main Usee Ki Taraf Tauba Karta Hu)
– (Sunan Abu Dawud,Jild 1,1504-Sahih) 
-------------
 Mahfum-e-Hadees  6 : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – Jo Shaksh Mujh Par Ek Martaba Durud Bhejega.

✦ اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ
To Allah Subhanahu Us Par 10 Martaba Rahmat Bhejega Aur Uskey 10 Gunaah Maaf Honge Aur 10 Darjaat Buland Hongey.
– (Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment