▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
╠ •AL-QURAAN• ╣
★"Quraan Ki Fazilat aur Ahmiyat- Part 2"
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
♥ Quraan-e-Kareem - Tmam Insaano Ke Liye Ye Sabse
Badi Aur Sabse Azeem Neymat Hai ,.. Iski EK Sabse Badi Fazilat Yeh Bhi Hai Ke –
Jis
Raat Ye Kitab Nazil Hui Uss Raat Ki Ibadat Ko Allah Rabbul Izzat Ne Hazaar (1000)
Mahino Raato Ki Ibadat Se Afzal Karar Diya,.. •» Jiski Gawahi ALLAh Rabbul Izzat Ne Apni Kitab Me Di Aur Farmaya
**************
“Aye Musalmano Kya Cheez Hai Ke Tumhe Bataye Lailatul Qadr Kya Hai ? Ke Lailatul Qadr Hazaar Mahino Se Jyada Afzal Hai.. (Hazar Mahine Yaani 83 Saal Aur 4 Mahine) ..”
************
•»Tou
Andaza Lagayiye Ke Jiss Kitaab Ke Nazil Hone Ka Ye Sabab Ho Ke Jis Raat Ye
Utari Jaye Agar Uss Raat Ki Ibadat Ka Ye Sawab Hai Tou Iss Kitab Ki Fazilate
Kya Ho Sakti Hai Bus Andaza Hi Lagaya Ja Sakta Hai.. Sirf Gumaan Hi Kiya Ja
Sakta Hai..
* Aur Yeh Shabe Qadr Ki Raat Hum Sab Jaantey Hai Ke Ramzan Ke
Aakhri Ashre Ki Taaq Raato Me Se Koi Ek Raat Hoti Hai. Yaani 21, 23, 25, 27 Ya
29…
•» Iss
Kitab Ke Talluk Se Aahadees Me Itni Beshumar Fazilate Aayi Han Ke Tamam
Fazilato Ko Bayan Karna Humare Liye Mushkil Hai… Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki
Chand Aahadees Ke Hawalo Se Iss Kitab Ki Fazilat Ko Jan’ne Ki Koshish Karte Han
,…
************
************
1). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Tum Me
Behtareen Log Wo Hai , Jo Quraan Sikhey Aur Dusro Ko Sikhaye”
– (Sahih Bukhari Hadith no. 545)
– (Sahih Bukhari Hadith no. 545)
2). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quraan
Sikhne Ke Liye Jo Shakhs Ghar Se Nikalta Hai , Allah Rabbul Izzat Uske Liye
Jannat Ka Rasta Aasan Kar Deta Hai ,.”
– (Sahih Muslim)
– (Sahih Muslim)
3). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quraan
Padhney-Padhaney Waale Allah Waale Hai,. Aur Ye Allah Ke Chahitey Bandey Hotey
Hai,.”
– (Sunan Ibne Maja)
– (Sunan Ibne Maja)
4). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quraan
Ko Baqasarat Tialawat Karne Wala Kabile-Rashk Hai”.
– (Sahih Bukhari)
– (Sahih Bukhari)
5). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quraan
Ki Baqasarat Tilawat Karne Wala Qayamat Ke Roz Mukarrab (Khaas) Farishto Ke
Saat Saff Me Khada Hoga,..”
– (Sahih Muslim)
– (Sahih Muslim)
6). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quraan Ke Padhney-Padhaaney Walo Par Allah Taala
Sakinat Nazil Farmata Hai..(Sukun Aur Itminan Nazil Karta Hai),.. ,.. Farishtey Inki Majliso Ko Ahtraam Se Gher Letey
Hai,.. Aur Allah Ta’ala In Logon Ka Zikr Faqr Ke Taur Par Farishto Ke Samney
Karta Hai…”
– (Sahih Muslim)
– (Sahih Muslim)
7). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quraan Ka Ek Sira Allah Ke Haath Me Hai Aur Dusra Sira Ahle Imaan Ke Hath Me Hai,..Bus
Jo Isey Thamey Rakhega Duniya Me Gumraah Nahi Ho Sakega Aur Aakhirat Me Halaq
Nahi Hoga,..”
– (Tibrani)
– (Tibrani)
8). ♥ Mahfum-e-Hadees: – “Quran
Ki Tilawat Karne Wale Ko Har Harf Ke Tilawat Par 10-10 Nekiya Milti Hai,..” – (Jame
Tirmiji)
✏ To
Be Continue …
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment