▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •AL-QURAAN• ╣

"Quraan Ki Fazilat aur Ahmiyat- Part 6"
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Al-Quraan:– Hazrat Umar Bin Khattab (Razi’Allahi Anhu) Ke Talluk Se Riwayto me Aata Hai Ke ,.Aap Khud Imaan Laaney Ke Baad Farmatey Hai,.. Ke –

# WAKIYA-3: “Pahli Baar Jo Imaan Ki Kuch Ronak Ya Chamak Mere Jehan Me Aayi Thi Wo Uss Wakt Ki Baat Hai Jab Mai Khamoshi Se Ek Martba Raat Ke Andhere Me Gaya Aur Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Dekha ke Kaabe Ke Paas Khadey They Aur Namaz Padh Rahe They Aur Namaz Me Surah(69) Hakka Talawat Kar Rahe They ,.. ”
*Jab Maine Wo Qalaam Suna Tou Maine Apne Aap se Kaha Ke – “Shayad Ye Koi Shayar Hai” ,…. ….
#•»Surah Hakka Ki Nabi-e-AKaram Ne Wo Ayat Tilawat Ki
**************
 "Jisme ALLAH Ne Kaha Ke" ..“Ye Shayar Ka Kalaam Nahi Hai ! Bohot Kam Tum Allah Par Yaqeen Rakhtey Ho”…."– [Al-Quran (Surah) Al-Haqqa: Ayat-(41)]
*************
•»Hazrat Umar Bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Hairan Hogaye Aur Dil Hi Dil Me Kahne Lagey Ke – “Ye Baat Tou Maine Socha Aur Inhone Tou Apne Muuh Se Ada Kar Diya Kalaam ,…”
*Fir Aage Maine Socha Ke – “Ho Sakta Hai Ke Ye Qaahin Ho ! ,.. Jabhi Tou Mere Dil Ki Baat Jaan Li..”
,…. ….
#•»Fouran Uske Baad Ki Dusri Ayat Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Tilawat Ki – Jisme –
**************
"ALLAH Tala Farmata Hai"..... “Ye Kisi Qaahin Ka Kalaam Nahi Hai ! Bohot Kam Tum Dhyaan Karte Ho”…."– [Al-Quran (Surah) Al-Haqqa: Ayat-(42)]
**************
•»Aur Umar Bin Khattab Farmatey Hai Ke –
“Wo Pahla Wakt Tha Jab Islam Ki Kuch Roshni Mere Jehan Me Aa Gayi Thi ,.. Kuch Na Kuch Ek Dhakka Laga Tha Mujhe Wo Baat Sunkar ,.. Ke Na Ye Tou Qaahin Ka Qalam Hai Aur Naa Hi Shayar Ka ,.. Aur Tab Mai Pahli Martba Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Thoda Mutasir Hua ,.”
* * * * *
•»Fir Hum Jantey Hai Ke Umar Bin Khataab (RaziAllahu Anhu) Ko Allah Ta’ala Ne Basharf-e-Islam Kiya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Dua Aur Apne Behan Aur Behanoyi Ke Jarye ,..

# Tou Yaad Rakhiye ,..
•» Iss Kalaam Me Ye Khususiyat Hai Ke Sakht Se Sakht Kism Ke Dushman Bhi Iss Kalam Se Mutaseer Ho Gaye ,…
# Afsos!! Ki Aaj Khud Hamne Iss Kalaam Ki Ahmiyat Ko Nahi Samjha ..

 To Be Continue....

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment