▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •AL-QURAAN• ╣

"Quraan Ki Fazilat aur Ahmiyat- Part 3"
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Quraan-e-Kareem -  Iss Unwan Me Quraan Ke Fazail Ke Taaluk Se Hum Chand Ahem Fazilate Aapke Samne Rakhne Ki Koshish Karenge Jo Duniya Ki Zindagi, Qabr Ki Zindagi Aur Aakhirat Me Fayde Ka Bayis Hongi ,..
*Aur Isko Chorrne Se Duniya Me, Qabr Me, Aur Aakhirat Me Kya-Kya Nuqsaan Hoga ? ,.. Wo Badi-Badi Fazail In’shaa’Allah-Ul-Azeez!! Allah Ki Kitab Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Sunnat Ke Hawale Se Aapke Samne Rakhne Ki Hum Koshish Karenge ,..

» FAZAIL 1: QURAAN KITABE HIDAYAT HAI –
•» Sabse Pahli Baat Ke Quraan Kitabe Hidayat Hai! Jo Gumraahi Se Logon Ko Nikalti Hai Aur Sidhey Rastey Par Le Aati Hai,..  Kyun Ke Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Aaye Aur Apni Qoum Ko Jo Dawat Di Sabse Pahle Unko Gumraahiyo Se Nikaala Aur Hidayat Ki Taraf Bulaya ,..

•» Tou Quraan Kitabe Hidayat Hai ,.. Ye Iska Buniyadi Maksad Hai Ke Tamam Insano Ko Hidayat Ki Taraf Bulaye,.. Inhe Sirate Mustakim Bataye Aur Uspar Chalaye,..

•» Quraan Kitabe Hidayat Hai Yaad Rakhiye Aur Iska Padhne Wala Siway Hidayat Ke Aur Kuch Nahi Haasil Karta ,..

•» Iske Radd (Khilaaf) Me Baaz Log “Kuchh Galatfehmiyan Rakhte Hain” In’shaa’Allah Hum Aakhir Me Iss Bewakufana Baat Ke Talluk Se Wo Shako Shubhat Aapke Samne Rakhne Ki Jarur Koshish Karenge ,..

#•» Quraan Ke Kitabe-Hidayat Hone Ke Talluk Se ALLAH Tala Irshaad Farmata Hai..
**************
 "Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Aapke Paas Aapke Rab Ki Taraf Se Ek Khuli Daleel Aur Nishani Aa Chuki Aur Hidayat Aa Chuki Hai Aur Rehmat Aa Chuki Hai,..”” – (Surah(6) Al-Anaam: Ayat:157)------------.
Isi Tarha Ek Ayat Me Allah Farmata Hai- “Ye Quraan Tou Aye Nabi Hidayat Hai Momineen Ke Liye
– [Surah (27) Nahal: Ayat:77].
************
•»*…..Tou Quraan Insan Ko Haq Ki Taraf Bulata Hai,. Aur Iski Misaale Angeenat Aahadees Me Milti Hai ..
– Ke Kis Tarha Se Sahaba (Razi’Allahu Anhu) Ne Quraan Suna Aur Mutaseer Hue, Imaan Laye Aur Unki Zindgiya Jo Jahalat Me Thi, Gumraahi Me Thi Wo Kaisi Tabdil Hui Aur Iss Kitaab Ko Jab Apni Zindagi Me Le Liya Tou Kaise Duniya Ko In Logon Ne Badal Diya, Tabdil Kar Diya ,..

•»  …..Sahaba (Razi’Allahu Anhu) Jo Registaan me Bakariya Aur Unth Charatey They ,.. Lekin Jab Inhi Logon Ne Quraan Ko Thama Tou Aaj Ye Roshni Ke Minaar Ban Gaye ,.. Ye Sirat-e-Mustaqeem Par Meenar Jaise Kaam Karte Hai ,.. Logon Ke Liye Inki Zindagiya Hidayat Aur Namoona Ban Gayi ,..

•» Warna Inhe Koun Pehchanta ? Aise Hazaro Qoume Aur Nasle Aayi Aur Nesto-Nabood Bhi Ho Gayi,.. Aaj Koi Unka Naam Nahi Leta Hai ,.. *Lekin Ye Quraan Tha Jisne Unn Sahaba Ki Zindagi Me Tabdili Laayi Aur Inhe Aisa Badla Ke Rehti Duniya Tak Inka Naam Liya Jayega,. Iss Kitab Me Ye Taqat Hai ,…
• In’shaa’Allah !! Agley Part Me Hum Unn Chand Sahaba Ka Zikr Karenge Jinke Quraan Se Mutaaseer Ho Kar Imaan Laaney Ki Dastaan Aaj Bhi Kaabile Gour Hai Tamam Insaniyat Ke Liye,..

 To Be Continue … 

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment