▁ ▂ ▄ ▅ ▆ ▇ █ ♥ Mumtaz ♥ █ ▇ ▆ ▅ ▄ ▂ ▁
╠ •HADEES E PAAK• ╣
★"Quraan Ki Fazilat aur Ahmiyat- Part 4"
--------------
♥ Mafhoom-e Hadees:– ALLAH Ka Quraan-e-Majeed
Ko Thaam Kar Log Kis Tarha Se Hidayat Yafta Hue Aayiye Chand Wakiyat Ke Jarye
Gour Karte Han ,..
# WAKIYA-1: Tufail Bin
Umro! Ye Yaman Ke “Kabile-Dous” Ke Sardar They! Aur Bohot Badey
Shayar They,.. Ek Martba Makka Tijarat Ke Silsiley Aana Hua ,.. Jaise Hi Makka
Pohochey , Logon Ne Kaha Ke Humare Shehar Me Ek Bohot Bada Fitna Macha Hai ,..
Ek Shakhs Hai Jiska Naam Mohammad-Bin-Abdullah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Hai,.. …
Jab Bhi Unhey Dekhna Kaano Me
Ungliya Daalna Aur Bhaag Jana,.. Unki Baat Na Sun’na ! Unki Baat Sunoge Tou Tum
Gumraah Ho Jaogey ,… MaazAllah
•» Tufail
Bin Umro Kehtey Hai Ke – “Mai Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ko Jab Bhi Dekhta Door Bhag Jata ,.. Agar Bazar Me Wo Ek Taraf
Se Aatey Tou Mai Dusri Taraf Se Nikal Jata ,..
•» Aur
Kabhi Aisa Hota Ke Kareeb Aajatey Tou Maine Ruyi Apne Paas Rakhi Thi ,. Wo Apne
Kaano Me Daalta,.. Ke Kahi Ye Muhammad (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Koi Baat Na Keh Dey Aur Mai Gumraah Na Ho Jau ,..
•» Wo
Kehtey Han Ke Aisa Mai Bohot Dino Tak Karta Raha ,.. Uske Baad Ek Martba Unhone
Socha Ke – “Mai Ek Shayar Hu,.. Mai Logon Ke Kalaam Jaanta Hu,.. Mai Qaahino Ke
Kalaam Jaanta Hu,.. Mai Majnoon Ke Kalaam Bhi Jaanta Hu,… Mai Jadugaro Ke Bhi Kalaam
Ko Jaanta Hu ,.. Fir Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke
Paas Aisa Kya Hoga Jo Mai Sun Kar Gumraah Ho Jaunga ,.. ”
•» Ye
Sochkar Thodisi Aqal Ne Unka Sath Diya Qoum Ki Behkaawe Se Nikal Kar Rasool’Allah
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Pohochey Aur Kaha Ke –
“Aye Muhammad
(Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Logon Ne Aapke Baarey Me
Mujhe Aisa Aisa Aur Aisa Bataya Hai,.. Aur Mai Ab Tak Aapsey Bhagta Raha ,..
Lekin Aisa Kya Kalaam Hai Aapke Paas
Jisko Sunakar Aap Logon Ko Behkaate Ho ?
*********
*********
Jara Mujhe Bhi Sunao….”
•» Aap
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha Ke –
“Kya Tum Apna Kalaam
Pehle Sunaoge Ya Mujhse Kuch Sunoge” ?
*Tou Kaha Ke – “Mai Kuch
Sunaana Chahta Hu”
• Unhone Khub Shayari Ki,.. Aap
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Suntey Rahe Aur Uskey Baad
Kaha Ke –
“Kya Mai Apna
Qlaam Sunau?”
Tou Kaha Ke: “Ha Ab Aap Apna
Qalaam Pesh Kijiye,..”
•» Fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam)
Ne “Surah Ikhlas , Surah Falaq Aur Surah Naas” Sirf Ye 3 Chotey-Chotey Surah Tilawat Kiye ,..
•» Ye Tino
Surah Suntey Hi Tufail Bin Umro Pareshan Ho Gaye ,.. Hosh Udd Gaye Inke ,..
Ke – “Ye Kya Qalaam Hai ? ”
Mai Khud Shayar Hu ,.. Mai
Janta Hu Ke Koi Insan Aisa Kalaam Nahi Likh Sakta ,..
Itne Kum Lafzo Me Itni Gehrayi,
Itna Mana Khaiz ,… Is Tarha Ka Kalaam Koi Insan Nahi Likh Sakta ,..”
•» Wo
Kehtey Hai Ke – “Mai Usi Roz Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Par Imaan La Liya ,.. ”
–
(Ref – “Companions of The Prophet”, Vol. 1, By:
Abdul Wahid Hamid.” )
* * * *
•» Is
Wakiye Me Gour Karne Waali Baat Hai Ke – “Allah Tala Ne Unhe Apne Fazl-o-karam
Se nawaaz Diya”aur Haq Ki Taraf Aa Gaye,...
✏ To
Be Continue …
*~*--ஜ۩۞۩ஜ----Mumtaz Parveen-----ஜ۩۞۩ஜ---*~*-
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
0 comments:
Post a Comment