▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •AL-QURAAN• ╣

"Quran Ke Nuzool Ka Asal Maksad...!.."
--------------
"Bismilahirrahmanirrahim
 Al-Quraan:– Aaj Ilm Ki Kami Ki Wajah Se Hum Nuzul-E-Quraan Ke Asal Maksad Se Mehrum Reh Gaye, Aur Sirf Sawab Ke Lalach Me Quraan Ka Istemaal Karne Lag Gaye,..
Jaise Missal Ke Tour Per Humari Musalman Behne Sawab Ke Liye Quran Arbi Me Padhti Rehti Hai, Aur Padhte Hue Surah Nisa Ki Aayat 3 Aati Hai “Jaha Allah Ta’ala Fermata Hai Ke Aye Musalman Mard Aadmi Tum 2,3,4 Biwiyo Se Nikah Kar Sakte Ho.”
Ab Inhone Padha Arbi Me Aur Allah Se Dua Ki Ke “Aye Allah Har Harf Ke Badle 10-10 Neki Hona,.”
Lekin Jab Inka Shohar Kabhi Dusra Nikah Karne Gaya Tou “Kaisa Karta Dekhti Mai,..” MashaAllah
Arey Lekin Quraan Me Hukm Hai Na !
“Honga Quran Me Lekin Mujhe Kya ?….”

SubhanAllah! Andaza Bhi Hai Kya Sulooq Karte Hai Hum Allah Ki Nazil Karda Hidayat Ka,..
Zindagi Bhar Hum Isey Mehaj Sawab Ke Lalach Me Hi Padhte Hai Lekin Kabhi Iske Maney Mahfum Par Gouro Fikr Nahi Karte, Jabki Sawab Tou Bonus Hai Wo Tou Mil Jayega In’sha’Allah !!!
*Alahmdulillah! Quran Ki Tilawat Ki Faizlat Apni Jagah Hai, Lekin Quran Ka Asal Maksad Insaiyat Ki Hidayat Hai Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Quran-E-Kareem Me Farmata Hai Ke
**************
Aye Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Ye Mubarak Kitab (Quraan) Hai Jisey Humne Aapki Taraf Iss Liye Nazil Kiya Ke Log Iski Aayto Par Gaur Kare Aur Aqalmand Is Se Naseehat Hasil Karen.[Al-Quran Surah(38)Saad: Ayat-29]

*Tou Quran Ke Nuzul Ka Asal Maksad Hidayat Hai, Lekin Fir Bhi Hum Isey Mahaz Sawab Ke Liye Padhtey Hai, Yahi Wajah Hai Ke Hum Allah Ki Hidayat Se Mehrum Reh Gaye, Aur Jahalat Hum Par Taari Hui, Jiska Fayda Ummat Ke Baaz Sharr Pasand Logone Khub Uthaya,.
“Humey Maslaki Aur Firqawariyat Me Ulzaya, Quraan Se Hidatar Hasil Karne Ke Bajaye Isey Murdo Par Bakhswaya, Beshumar Biddate Ijad Kar Inhone Apni Batil Dukane Khub Chalayi
*************
Lekin
Kabhi Hume Quran Ke Asal Maksad Se Taruf Nahi Karwaya, Siway Ulemaye Haq Ke ,..
*Lihaja Mere Azeezo! Aaj Agar Hume Zillat Aur Ruzwayi Se Bahar Nikalna Hai Tou Hume Chahiye Ke Hum Quraane Kareem Ki Hidayat Ko Samjhey, Iske Maaney Mahfum Par Gour Kare ,. Aur Jitna Ho Sakey Ispar Khud Bhi Amal Kare Aur Dusro Ko Bhi Iski Dawat Dey..

 Dua bY Mumtaz !!!
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Aml Ki Taufik Ata Farmaye ,
*******************
☼ Fazail-e-Quraan (All-Parts)

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment