╠ •HADEES E PAAK• ╣

Waseele Se Dua Mangna Kesa Hai
--------------
 Imam Abu Haneefa farmate han:

♥ Mafhoome-Hadees:-“ Duaa,ba haq Nabi aur Wali ke Wasila se Mangna na-pasandeeda amal hai is liye kyu ki Makluq ka kuch haq Allah par nahi.{Click-More..}– (Ref from Hanafai Fiqh : Hidaya page No : 226)

Ab Quran ki ayato ki hi misaal lele. Surah fatiha jise ummul dua bhi kahte hai jo har namazi apne namaz me padhta hai usme kahi bhi wasile ka zikr nahi hai. Ham padhte hai har namaz me اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ jiska tarjuma hai ki (Ae Allah) hame sidhi Raah dikha agar waseela lagana zara bhi behtar ya jaiz hota to is ayat me likha hota ki (Ae Allah) hame Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke wasile se sidhi raah dikha. Par aisa kuch bhi nahi hai. Jab ki Is surat ko Ummul Quran kaha gaya hai matlab pure Quran ki Maa. Aur sirf yahi surat nahi jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ne sikhai hai koi bhi aisi dua nahi hai jisme RasoolAllah ya kisi nek insan ka wasila laga ho.

Daleel No 2 - 
Islami shariat me hame Allah ke naam aur apne nek aamal ke zarye se mangne ki ijazat hai aur agar koi nek insan zinda hai to usse dua karwa sakte hai  lekin nek log jo faut ho gaye ho unka waseela laga kar dua mangna galat hai.

Allah Tala Farmate Hai:
(Ae Muhammad Rasullullah ) Jab meray banday meray baray mein aap say puche to aap keh den kay mein(apne bando se) boht hi qarib hun har pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai.
 (Surah Baqara ayat 186)

 (kuch log kah sakte hai ham unki ibadat thodi na karte hai balki ham to sirf unse dua karta hai to unke ilm ke izafe ke liye bata du ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Farmaya - Ke “DUA EK IBADAT HAI,”
 (Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul- Dua), Hadees-no:1297 )

Sawal:
Aaj ke kuch log kahte hain ke main siwaaye Allah ke kisi ki ibaadat nahi karta aur nek logon ki panaah lena aur tangi wa takleef me mushkil kushaai ke liye unhe pukaarna koi ibaadat toh nahi

JAWAB:
 Hazrat An-Nu`man bin Bashir {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Farmaya -“DUA EK IBADAT HAI,” phir Aapne “Surah-Tul-Momin” ki “Aayat-no-60” padhi, Tumhare Parwardigar ne Farmaya Mujhe Pukaro Main Tumhari Dua Qabool Karunga , Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-O-Khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.
Jamia -Tirmizi,Kitab-ul- Dua, Hadith-no: 3372. Classed as Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai.)


*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment