▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Tahajjud Ki Namaz Ki Fazilat
--------------
 Mahfum-e-Hadees:Hazrat Abu Umama (radi allahu anhu) Se Riwayat Karte Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “Tahajjud Zarur Padha Karo, Kyuyki Woh Tumse Pahle Ke Logo Ki Ravish Hai Aur Tumhare Liye Apne Rab Ki Nazdiki Ka Zariya, Gunaho Ke Mitane Ka Saadhan (Aur Zyada) Gunaho Se Bachne Ka Sabab Hai.”
(Ibn Khuzaima, hadith-1135)

Tahajjud Ki Namaz Ka Bahut Zyada Sawab Hai, Ye Namaz Shuru Mein Farz Thi 
Jab 5 Time Ki Namaz Farz Nahi Thi, Lekin Jab 5 Time Ki Namaz Farz Ho Gai To Phir Ye Farz Nahi Rahi, Ab Nafil Ho Gai Hai, Lekin
Ye Namaz Farz Namazo Ke Baad Sabse Zyada Sawaba Waali Namaz Hai. 
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tahajjud Roz Ada Karte The, Iska Time Isha Ki Namaz Ke Baad Se Lekar Fajar Ke Time Se Pahle Tak Rahta Hai, Isliye Agar Koi Chahe To Tahajjud Ki Namaz Isha Ki Namaz Ke Baad Bhi Padh Sakta Hai, Lekin Fajar Se Pahle Padhna Zyada Behtar Hai, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Bhi Fajar Se Pahle Hi Ada Kiya Karte The.

Hazrat Abu Hurairah (radi allahu anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – "Hamara Rab Har Raat Aasman-E-Duniya Ki Taraf Nuzul Farmata Hai Us Waqt Jab Raat Ka Aakhri Tihayee Hissa Baqi Rah Jata Hai Aur Farmata Hai, (Aakhri Tihai Hissa Matalb Ye Fajar Se Pahle Ka Time Hai) {see-more}

Kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu?
Kaun hai jo Mujhse Mangta hai ki main usey du?
Kaun hai jo Mujhse maafi maangta hai ke mein uske gunah maaf karu?

Jo Tahajjud Ki Namaz Padh Kar Dua Maangta Hai, Besak Uski Dua Qabool Hotihai


[ Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 333]

Tahajjud Ki Namaz Ke Liye Sona Zaruri Nahi Hai. Isko 2 Rakat Se 12 Rakat Tak Padh Sakte Hain, Matalb Chaho To 2 Rakat Padh Lo, Chaho To 4 Ya 6 Ya 8 Ya 12 Padh Lo, Lekin Zyada Rakat Padhenge Utna Zyada Sawab Milega. Is Namaz Ko 2-2 Rakat Karke Padhenge, Aur Jese Aam Namaz Padhte Hain Wese Hi Isko Padhenge.

Kuch Log Aesa Bhi Karte Hain Ke Isha Ki Namaz Mein Jo Witar Padhi Jaati Hai Usko Tahajjud Ke Baad Ada Karte Hain, Lekin Humko Aesa Tab Hi Karna Chahiye, Jab Humko Pakka Yakeen Ho Ke Hum Tahajjud Mein Uth Kar Namaz Padhenge, Warna Kahi Aesa Na Ho Ke Witar Ki Namaz Rah Jaae. {Click-More..}


Kasrat Se "Allah" Ka Zikr Karne Wale: (Yani Raat Me Namaz Parhne Wale)
♥ Hazrat Abu Huraira Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool 'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:” Jab Aadmi Raat Ko Uthey Aur Apni Biwi Ko Bhi Uthae Aur Dono 2 Rak’at Namaz Adaa Karain To Allah Ta’la Inka Naam Kasrat Se (Zikar) Kerney Waley Mardon Aur Aurton Main Likh Deta Hai.
(Abu Dawood , Ibn-E-Majah) 

Tahajjud Rab Se Mulaqaat Ka Bhetreen Waqt Hai - Tahajjud Or Fajar Ke Beech Me Sona "Sunnah"

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment