╠ •HADEES E PAAK• ╣
Shohar Ke Huqooq Biwi Par
---------------
✦ Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa Aur Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Agar me kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurato ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.
– (Tirmizi sharif Jild 1,Bab 788,Hadees 1158,Safa 594)

Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam se daryaft kiya kiBehtarin Aurat ki pehchan kya he? Aapne farmaya"Jo Aurat apne Shauhar ki ita'at wa farmabardari kare."
– (Nisaai sharif Jild 2,Safa 364)

Hazrat Abu said radiallahu anhu seriwayat he ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Shauhar ki Na shukri karna ek tarah ka Kufra he aur ek kufra dusre se kam hota he.
– (Bukhari sharif Jild 1,Bab 21,Hadees 28,Safa 109)

Hazrat Abdullah ibne Abbas se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - Muze dozakh dikhai gayi maine waha Aurato ko jyada paya wajah ye he ki wah Kufra karti he.Sahaba-E-Kiram ne arz kiyaKya wo Allah ke sath Kufra karti he?Pyare Aaqa ne farmayaNahi ! wo shauhar ki Na-shukri karti he.Jo ke ek tarah ka kufra he aur Ehsan nahi manti agar tu kisi aurat se umar bhar ehsan aur neki ka sulook kare lekin 1 bat bhi khilafe tabiyat ho jaye to zat kah dengi"Maine tuzse kabhi aaram aur sukoon nahi paya"
– (Bukhari sharif Jild 1,Bab 21,Hadees 28,Safa 109)

Hazrat Umar Radiallahu anhu se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - "Tumko nahi malum Aurat ke liye Shirk ke bad subse bada gunah Shauhar ki Na-farmani he"
 (Gunyatuttalebin Safa 114)

Hazrat Abuhuraira radiallahu anhu se riwayat he ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Shauhar apni biwi ko jis waqt bistar par bulaye aur wo aane se mana karde to us aurat par khuda ke farishte subah tak La'ant karte rehte he.
– 
(Bukhari sharif Jild 3,Bab 115,Hadees 178,Safa 96)

"Allah Ta'ala" Irshad Farmata Hai - Wo tumhari libas he aur Tum unke libas.
– 
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 187)

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)  Ne Irshad Farmaya - Jab shauhar apni Hajat ke liye biwi ko bulaye to biwi agar roti paka rahi ho to usko lazim he ki sub kamchod kar shauhar ke pas hazir ho jaye.
– 
(Tirmizi sharif Jild 1,Bab 788,Hadees 1159,Safa 595)

Hazrat Aayesha radiallahu anha se marwi he Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat me 1 jawan aurat hazir hui aur arz kiyaYa Rasoolallah ! Me jawan aurat hu.Muze nikah ke paigam aate he magar me shadi ko bura samazti hu.Aap muze bataiye biwi par shauhar ka kya haq he!Pyare Aaqa ne farmaya Agar shauhar ki choti se edi tak peep ho aur woh use jaban se chate to bhi shauhar ka haq ada nahi kar payegi.Usne pucha:To me shadi na karu?Aapne farmaya Tum shadi karo kyunki isme bhalai he.
 – (Mukashefatul Kuloob Bab 95,Safa 617)

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment