╠ •HADEES E PAAK• ╣
Us Admi Ki Pehchan Jis Pe Aag Haram Hai
---------------

» Mahfum-e-HadeesHusn-e-Akhlaq Se Badh Kar Meezan Me Bhari Cheez Koi Nahi Hogi. 
– (Tirmizi Sharif)

» Mahfum-e-Hadees “Qayamat Ke Din Jab Tarazu Me Amaal Toley Jayenge Tou (Momin Ka) Sab Se Bhari Aamal Husn Akhlaq Hoga.”
– (Ibn Haban H-876)

» Mahfum-e-Hadees “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Laeta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai”.
– (Sahi Mustadrak Haakim: H-198)

» Mahfum-e-HadeesEmaan Ke Aitbar Se Sabse Kamil Wo Shakhs Hai Jo Akhlaaq Me Sabse Accha Aur Apni Biwi Ke Haq Me Sabse Zyada Narm Dil Ho.
– (Tirmizi Sharif)

» Mahfum-e-HadeesRasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya – Me Tumhe Es Aadmi Ki Pehchaan Batata Hun, Jis Par Jahannum Ki Aag Haraam Hai, Or Wo Aag Par haraam Hai, Ye Wo Aadmi Hai Jo Naram Mijaz Ho, Naram Tabiyat Ho or Narmi Se Baat Karne Wala Ho .“
– (Tirmizi Sharif)
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment