▄    █ ♥ Mumtaz ♥ █    ▄  

╠ •HADEES E PAAK• ╣

Allah Ka Pasandeeda Amal –Agarche Thora Ho Hamesha Ho
--------------
" Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Aayesha (Razi’Allahu Anha) Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Din Unke Paas Aaye
Aur Unke Paas Uss Waqt Koi Aurat Bethi Thi.
Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Pucha Ke – “Kaun Hai?”
*Maayi 
Aayesha (RaziAllahu Anha) Boli Ke –
“Yeh Falaa Aurat Hai Aur Uski Namaz Ki Kasrat Bayaan Karne Lagi”.

* ♥ Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Thehro (Dekho) Tum Utney Hi Aamal Ki Jimmedari Apne Uper Lo Jin Ki (Hamesha Karne Ki)
Tum Ko Taaqat Ho Isliye Ke “
Allah Ta’ala” Sawaab Dene Se Nahi Thakta

Jab Tak Ke Tum Ibadat Karne Se Thak Jaao. Aur “Allah” Ke Nazdeek (Sab Se) Zyada Mehboob Woh Deen (Amal) Hai Jis Ko Karne Wala Hamesha Kar Sake”. {read-more}
 – 
(Sahih Bukhari, Vol 1, Hadith no.42)

 Mahfum-e-Hadees:– Hazrat Aayesha Radi Allahu Anha Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha Gaya Ki Kaunsa Amal “Allah Subhanahu” Ke Najdik Ziyada Pasand Hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Jis Par Hameshgi Ki Jaye (yani Constantaly Kiya Jaaye) Chahey Wo Thoda Hi Ho,
*************
Aur Farmaya Ki Neik Kaam Karne Mein Itni Hi Takleef Uthao Jitni Taqat Ho
{sahih Bukhari, Vol7, 646

*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

0 comments:

Post a Comment