Rabi-us-sani, Rabi-Aakhir
Yeh "11vi Shareef" kya hai? Yeh Sheikh Abdul Qadir Jilani R.a. ke naam ki "Niyaz" hai. Jo Rabius Sani ki 11 ya 17 tarikh ko di jati hai. 11 ya 17 tarikh Sheikh Jilani R.a. ki tarikh-e-wafaat hai. kaha jata hai ki yeh niyaz inke yaum-e-wafaat par inke "Isal-e-sawaab" ke liye di jati hai. lekin haqeeqat yeh hai ki aisa nahi hai. Yeh ek aisa amal hai jo mushrikana aqeede se kiya jata hai. isko samajhne ke liye kuch baaten qabil-e-ghaur hain.

Yaum-e-wafaat par Isal-e-sawaab ke liye degen waghera pakwa kar taqseem karne ka islam me koi saboot nahi hai. Yeh saraasar gher muslimo ki naqqaali hai. unhi ke yahan apne akaabir ka yaum-e-wafaat aur yaum-e-milad manane ka riwaj hai. Aur Allah ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka farman hai- *"Jo kisi qaum ki mushabihat ikhtiyar karta hai woh unhi me se hai. (Sunan Abu Dawud-4031).

11vi ya 17vi shareef isal-e-sawaab ki shakl nahi hai balki yeh dar'asal Sheikh jilani ke naam ki nazr hai jo unki khushnoodi hasil karne aur unki narazi se bachne ke liye di jati hai. 11vi dene wale ka aqeeda hota hai ki mere is kaam se pear sahab khush honge jisse mere karobar me taraqqi hogi yahi wajah hai ki 11vi na dene ki surat me use yeh khauf aur andesha hota hai ki use karobar me nuqsan hoga, uski bhainso ka doodh khushk hoga aur woh azmaish se do char ho jaega. Iski daleel khud inka aqeeda hai jo yeh Sheikh jilani r. a. ke mutalliq apne dilon me basaye hue hain ki inhe har tarah ke ikhtiyaraat hasil hain. woh door aur nazdeek se har ek ki fariyad sunne aur uski zarurat puri karne par qadir hain. woh hamare dilon ke razon aur kaifiyaat se agah hain. jab hi to yeh log unse isi tarah madad talab karte hain jis tarah Allah taala se ki jati hai. isi tarah unko madad ke liye pukarte hain jis tarah Allah taala ko pukara jata hai. yeh log unke naam ki *"Salat-e-Ghausiya"* (Baghdad ki taraf muh karke) padhte hain jo saraasar Ghairullah ki ibadat hai. Aur isi tarah yeh log unki shaan me kuch is tarah ke mushrikana ash'aar bhi padhte hain.

_Khuda ke fazl se hum par hai saya Ghaus-e-azam ka_
_hame dono jahan me hai sahara ghaus-e-azam ka._
_hamari laaj kiske hath hai, baghdad wale ke_
_balaen taal dena kaam kiska, Ghaus-e-Azam ka_
_jo haq chahe woh yeh chahen, jo yeh chahen woh haq chahe_
_to mit sakta hai phir kis tarah chaha Ghaus-e-Azam ka_
(Nauzubillah min Zalik)

Zara ghaur karen ek taraf inka yeh aqeeda aur dusri taraf inka yeh kehna ki hum 11vi ki niyaz karke unko sawaab pahunchate hain yeh kahan tak durust ho sakta hai kyunki jis zaat ka chaha mit nahi sakta, jo har tarah ki balaen taal dene par qadir hai to phir use kisi gunahgaar ke sawaab ki zarurat hi kahan reh jati hai. Aur isal-e-sawaab to murdon ko pahunchaya jata hai jabki yeh log unhe zinda mante hain. Ek shakhs zinda bhi ho or phir use sawaab bhi pahunchaya jae. yeh kis tarah ke aqeede me mulawwiz ho gaya hai tu ai musalman. Zara ek bar to soch.

So 11vi ki yeh rasm na sirf bidat hai balki shirk bhi hai kyunki isme ghairullah ke naam par janwar paala aur zibah kiya jata hai. agarche zibah karte waqt naam Allah hi ka pukara jata hai lekin niyat to dil me yahi hoti hai ki yeh piran-e-pear ki niyaz ka hai. lihaza bawajud takbeer padh kar zibah karne ke yeh janwar haram hi rehta hai aur daleel iske haram hone ki farman-e-
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)- *"INNAMAL AAMAALU BIN NIYAAT"* hai yani *"Aamal ka daromadar niyaton par hai"* (??Sahih Al-Bukhari, Hadis No-1). Chunanche hijrat jaise azeem amal ke bare me farmaya ki jiski hijrat daulat duniya hasil karne ke liye ho ya kisi aurat se shadi karne ki gharz se ho pas uski hijrat unhi chizo ke liye hogi. bilkul yahi muamla ghairullah ke zabihe ka hai. agarche is par zibah ke waqt Allah hi ka naam liya gaya lekin niyat yeh thi ki usko 11vi ke moqe par bade pear sahab ki niyaz ke liye zibah kiya ja raha hai, phir amal ke zariye yahi kaam kiya gaya to aisa khana kaise halal ho sakta hai? Jabki Quran Majeed ki Surah Baqarah Ayat-173, Surah Mayda ki Ayat-3, Surah Anaam ki Ayat-145 aur Surah Nehel ki Ayat-14 me is qism ka khana khane ki sakhti se mumaniyat ki gai hai.

*"AULIYA ALLAH KI NAZRO NIYAZ AUR FIQH-E-HANAFI"* ?

Fiqh-e-hanafi ki mash'hoor kitab *"durr-e-mukhtar"* me likha hai-

"maloom hona chaiye ki aksar awaam murdo ke naam par jo nazr niyaaz dete hain, chadhawe chadhate hain, auliya ikram ka taqarrub hasil karne ke liye maali nazrane pesh karte hain, unki qabro par chiragh aur tel jalaate hain waghera, yeh sab chize bil ijmaa batil aur haram hain. 
("Durr-e-Mukhtar, Akhir Kitabus Saum, Page No-134)

*"FATAWA AALAMGEERI KA FATWA"*

isi tarah fatawa aalamgeeri jiske bare me kaha jata hai ki ise 500 hanafi ulama ne murattab kiya hai isme likha hai ki-

"aksar awaam me jo yeh riwaj hai ki woh kisi nek admi ki qabr par jakar nazr mante hain ki ai fala buzurg! agar meri yeh hajat puri ho gai to itna sona (ya koi aur chiz) tumhari qabr par chadhaunga, yeh nazr bil ijmaa batil hai_" ?
phir likha hai ki-
 _"pas jo dinar wa da
*~*--۩۞۩----Mumtaz Parveen-----۩۞۩---*~*- 
●▬▬▬▬▬۩۞۩▬▬▬▬▬●

3 comments:

Anonymous said...

JO LOG WAFFAT PR AATAY HAIN UNKO KHAANA KHILANA SAWAB ZARURI HAI.KOI GUNAAH NAI.GUNAAH KEHNAY WALON KO SUBOOT SIRF AUR SIRF QURANO HADEES SE SUBOOT DAINA HO GA.RAHI BAT SAWAB KI TO KISI KO KHAANA KHILAANAY K SAWAB PR BOHAT SI AHAADEES HAI.HADEES K MUTABIQ BEHTREEN ISLAM KHANA KHILAANAY KO KAHA GAYA HAI.KHANA KHILAANAY K MANA PR JAWAN K LIYAY QIYAMAT KI SUBO TAK TIME HAI NA JAIZ KEHNAY WALAY QURANO HADEES SE SUBOOT PESH KARAIN.KHOD SE HARAM YA NAJAIZ KEH DAINAY KI KOI HESIAT NAHI.LOGON KO ALLAH ALLAH SE MAT ROKA JAE.NABI AS BHALA KISI KA WASEELA ITNA KAISAY DAALAIN GAY.ZARURAT TO AAMATULMUSLIMEEN KO HAI.

Anonymous said...

Ijima hai KAYA.Har koi apnay Amal ko ijima kehta phirta hai.Ijima ki definition ka hi PATA nahi.Bass ummate Muhammadiya SA pr shirk k fatway lagaana in logon nay khidmate Deen samajh rakha hai.

Anonymous said...

Allah in NAAM nihaad aamil bil QURANO Sunnah ko hedayat de.Aameen.

Post a Comment